Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisee ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya chean ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be qarari tujhe ay dil kabhi aisi to na thi
chashm-e-qaatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi
un ki aaNkhoN ne Khudaa jaane kyaa kia jaaduu
ke tabiyat meri maail kabhi aisi to na thi
aks-e-ruKh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamkaya
taab tujh meN maah-e-kaamil kabhi aisi to na thi
kya sabab tuu jo bigaRtaa hai Zafar se har baar
Khuu terii huur-e-shamil kabhi aisi to na thi

·
1 Like ·
Feb 15, 2017 at 03:02
Category: sad
Poetry / Sad
Baar Haa Bichray The Lekin Youn Tujhe Khoya Na Tha
baar haa bichray the lekin youn tujhe khoya na tha
ab tou wo kata hai ham ne jo kabhi boya na tha
Khowab woh daikha k jo khowabon main basta tha kabhi
Raat youn soya hoon jaisey umr bhar soya na tha
Khul k roney se bhi dil ka bojh kab halka huwa
Taiz baarish ne bhi terey naqsh ko dhoya na tha

Woh bhi din the naam mera wird e jaan tha aur ab
Berukhi aisi taalluq hi kabhi goya na tha
Yeh achanak baithay baithay kya huwa tujhey
Iss se pehley to kabhi tu iss tarah roya na tha

Feb 14, 2017 at 06:02
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey

Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey
Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey
Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey
Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey
Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dikhla Na Sakey
Khilti Kaliyon Kay Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey

Feb 13, 2017 at 16:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aisa Ho Sakta Hai Na
Aisa Ho Sakta Hai Na
K Mai Ney Jaan Liya Ho,
Tujhe Teri Zaat Ki geharie Tak,
Terey Mehel Sey Leker Teri Tanhai Tak,
Aisa Ho Saktaa Hai Na
K Mai Ney Bohat Karb Saha Ho,
Tairay Sitam Sey Leker Teri Masihai Tak,
Aur
Aesa Bhi Tou Ho Sakta Hai Na,
K Tujhey Koi Dukh Na Ho,
Marey Milney Sey Leker Meri Judai Tak,
Han Yaqeen Karo,
Aisa Ho Sakta Hai Shayed
K Umer Bher K Liye Kafi Ho
Yehi Dukh,
K Mai Ney Safar Kia
Apni Zaat Sey Lekar Teri Zaat Ki Rasayi Tak

Feb 08, 2017 at 12:02
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Na Wo Sin Hay Fursat E Ishq Ka , Na Wo Din Hay Kshf E Jamal Kay
na wo sin hay fursat-e-ishq ka , na wo din hay kshf e jamal kay
magar ab bhi dill ko jawaaN rakhein wohi shobday khad o khal kay
yeh jo gard baad-e-hayat hay , koi iss ki zad say bacha nahi
magar aaj tak teri yaad ko men rakhon sanbhaal sanbhaal kay
mein ameen o qadr shanas thaa , mujhay sans sans ka pass tha
yeh jabeeN pay hein jo likhay hoey , yeh hisaab hein mah o sal kay
wo kabhi shafaq ka fasooN kahein , kabhi gull kahin kabhi khooN kahein
kay hein meri subh-e-urooj mein abhi rang sham-e-zawaal kay
meri hasratooN ko hara rakhay , meri kash-e-jaaN ko bhara rkhay
yeh yaqeeN , kuch pay khulein gay darr kisi roz bash-e-shumaal kay
shab-e-tar say na dara mujhay , ay khuda jamal dikha mujhay
kay teray saboot hein beshtar , teri shaan jah o jalal kay
koi kohkan ho k qais ho , Meer ho kay Nadeem ho
sabhi naam ek he shakhs kay , sabhi phool ek he daal kay

2 Like ·
Feb 03, 2017 at 02:02
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hum Se Uss Ki Yadon K Chiragh Sanbhale Na Gae
Hum se uss ki yadon k chiragh sanbhale na gae,
Waqt k taqazay thay jo tallay na gae
Woh badal gaya us se rabtay na rahay,
Meri baton se mgar us k hawale na gae
Ek anjan manzil ki jaanib kia tha jo safar,
Aaj tak paaon se us musafat k chhalay na gae
Mere dard ka maseeha rehta hai jis Nagri mein,
Buss us janib mere qaaflay waley na gae
Hum se pucho kitna lutf hai muhabbat k aansu rone ka,
Us se mgr ye anmol dard palay na gae

Jan 27, 2017 at 14:01

Jan 27, 2017 at 05:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ye Soch Kar K Teri Jabeen Par Na Bal Paday
Ye soch kar k teri jabeen par na bal paday !
Bus door hi se dekh liya or chal paday !
Dil mein phir ik kasak si uthi muddaton k baad !
Ek umar k ruke hue aansu nikl paday !
Seene mein be-qaraar hein murda muhabbatein !
Mumkin hai ye charaag kabhi Khud hi jal paday !
Ay dil tujhe badalti hui rut se kya mila ?
Poudoun mein phool or darakhton mein phal paday !
Ab kis k intazaar mein jagain tamaam shab ?
Wo saath ho to neend mein kaise Khlal paday ?
'Shehzad' dil ko zabt ka yaara nahein raha !
Nikla jo Maah taab samundar uchal paray !

Jan 24, 2017 at 07:01
Category: love
Articles / Featured
Ijunoon
Na Maloom Tak Rasai
دنیا کے سرد ترین علاقے قطب جنوبی ، جسے براعظم انٹارکٹیکا کے نام سے جانا جاتا ہے، سینکڑوں پرانی منجمد جھیلیں موجود ہیں ، جن میں ووستک جھیل بھی شامل ہے۔ برف کی تین کلومیٹر تہہ کے نیچے دفن اس جھیل کے پان...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jan 12, 2017 at 12:01
Category: featured
Sponored Video