Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlaay Khatta K Hote Hain
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain
Wo Humara Hai es Tarah Se MOHSIN
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain!
Saray Jhagray Ana K Hote Hain
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlaay Khatta K Hote Hain
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain
Wo Humara Hai es Tarah Se MOHSIN
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain!
·
2 Like ·
May 12, 2017 at 22:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Wo DhoondTi K Ye Manzar Koii Na Dekh Saka
Talash Kartay Howay Ungliyaan Jala Daalain
Wo Tirgi Thi Keh Main Shama Bhi Na Dekh Saka
Mila Tha Shaam Mujhay Ak Bujha Howa Sooraj
Main Us Kay Baad Phir Roshni Na Dekh Saka
Jo Rabt Baaki Tha Sab Qata Kar Liya Us Nay
Wo Meharbaa Meri Be Chaargi Na Dekh Saka
Nigah Wesay Tu Baam -e- Falak Ko Choo Aaii
Mager Jis Zameen Pay Khara Tha Wahi Na Dekh Saka
Wahi Hay Aaina Khaana Wahi Hain Tasveerain
Main Umar Bhar Koii Soorat Naii Na Dekh Saka
Tamaam Shaher Main Wo Deedawar Howa Mashoor
Wo Apni Naak Say Aagay Kabhi Na Dekh Saka

1 Like ·
May 04, 2017 at 04:05
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Us Ka Milna Na Milna Qismat Ki Baat Hay
Us Kay Bina Ab Chup Chup Sa Rehna Acha Lagta Hay
Khamoshi Say Dard Ko Sehna Acha Lagta Hay
Jis Hasti Ki Yaad Main Aansoo Barastay Hain
Samnay Us Kay Kuch Na Kehna Acha Lagta Hay
Mil Kar Us Say Bichar Na Jao Darta Rehta Hoon
es Liye Bas Dour Hi Rehna Acha Lagta Hay
Janta Hoon K Chahat Main Aansoo Hi Miltay Hain
Kuch Bhi Ho Ab es Zehar Ko Peena Acha Lagta Hay
Jee Chahay Sab Khushyan Lay Kar Us Ko Day Don
Us Kay Pyaar Main Sab Kuch Khona Acha Lagta Hay
Us Ka Milna Na Milna Qismat Ki Baat Hay
Pal Pal Us Ki Yaad Main Rona Acha Lagta Hay
Us Kay Bina Sab Khushyan Ajeeb See Lagti Hain
Ro Ro Kar Us Ki Yaad Main Sona Acha Lagta Hay

May 02, 2017 at 11:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Naam Le Le Ker Na Mera Shehar Ki Nazron Mein Aa
Naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa
mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa
us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa
log tujh ko gungunayein meri khuwahish ki tarah
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa
be hunar logon ne phir maanga mere fun ka saboot
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa
ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage
aa meri tanhayi, meri muntazir bahon mein aa

Apr 28, 2017 at 01:04
Category: love
Social Wall / Videos
Bollywood Music Videos
Mai Kahu Na Kahu - ''Unforgettable''
·
0 Like ·
Apr 13, 2017 at 18:04
Category: videos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Na Koi Rang Na Hathoon Pay Hina Meray Baad
Na Koi Rang Na Hathoon Pay Hina Meray Baad
Wo Mukammal He Siya Posh Howa Meray Baad
Le Kay Jata Raha Her Shaam Wo Phool Or Chiragh
Bus Yehi Us Ne Kia, Jitna Jia Meray Baad
Roz Ja Kar Wo Samander Kay Kinaray Chup Chaap
Nao Kaghaz Ki Bahata He Raha Meray Baad
Us Kay Hontoon Se Mera Naam Nikl Jata Tha
Jis Ne Apnaya Usay Choar Dia Meray Baad
Mai Ne Girnay Na Deye Thay Kabhi Ansoo Us Kay
Shaid es Wastay Wo Roo Na Saka Meray Baad
Mai Bhi Waisa Na Raha Us Kay Bicher Janay Se
Koi Us Ko Bhi Na Pehchaan Saka Meray Baad
Sari Dunya Ne Usay Maal-e-Ghanimat Samjha
Jo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Howa Meray Baad
Us Ka Hansna Mujhay Bhata Tha So Wo Shaks Adeem
Baal Khulay Howay Hansta He Raha Meray Baad

Apr 13, 2017 at 09:04
Category: sad
Social Wall / Videos
Bollywood Music Videos
Mai Kahu Na Kahu - ''Unforgettable''
·
0 Like ·
Apr 13, 2017 at 07:04
Category: videos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tum Es Dard Say Guzray Ho Na?
Tum es dard say guzray ho Na?
wo rut jis mein jal jati hain Aankhien
tum Par Bhi guzrii hai
wo Shab jo Mahtab say Tapkay
Aansoo Aansoo Shabnam Shabnam
wo Shab mujh par bhi utri hai
wo Din wo Ghariyan So jaien
Lamhay Pathar Kay ho jaien
wo Din tum Nay Bhi Kata hai
wo Din Main Nay Bhi Kata hai
dono Kay Jismon Mein roohon Mein
Yaksaan dukh Ka Sanata
Phir kyon mujh say Poochtay ho tum
Meri Palkien kyon Purnum hain
Aakhir mujh Ko kon say gham hain
tum es dard say guzray ho na ?
wo rut jis mein jal jati hain Aankhien
tum Par Bhi guzrii hai
wo Shab jo Mahtab say Tapkay
Aansoo Aansoo Shabnam Shabnam
wo Shab mujh par bhi utri hai
wo Din wo Ghariyan So jaien
Lamhay Pathar Kay ho jaien
wo Din tum Nay Bhi Kata hai
wo Din Main Nay Bhi Kata hai
dono Kay Jismon Mein roohon Mein
Yaksaan dukh Ka Sanata
Phir kyon mujh say Poochtay ho tum
Meri Palkien kyon Purnum hain
Aakhir mujh Ko kon say gham hain
tum es dard say guzray ho na ?
·
1 Like ·
Apr 07, 2017 at 15:04
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Na Waada Hai Koi Tum Say
NA WAADA HAI KOI TUM SAY KOI RISHTA NIBHANAY KA,
NA KOI AUR HE DIL MEI TAHAIYA YA IRADA HAI!
KAEE DIN SAY MGAR DIL MEI,
AJAB ULJHAN C REHTI HAI,
NA TUM eS DASTAN KAY SARSARI KIRDAAR HO KOI,
NA QISSA ITNA SAADA HAI!
TAALUQ JO MEIN SAMJHA THA KAHIN US SE ZAYADA HAI!

Apr 04, 2017 at 18:04
Category: love
Sponored Video