Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mat Pooch Mujh Se Dost Marey
mat pooch mujh se dost marey
ku sham dhale in aankhon main
benam see ik udasee ki
ghanghoor ghatain rehtee hain
ku be khood ho ker is lamhe
dhlta hua sooraj takta hoon
aankhon main kisi ka aks liey
ku band kitabain takta hoon
mat pooch waqt hi aisa hay
mujhe dil peh zor nahi rehta hay
main lakh chupata hoon lakin
ashkoon ko rok nahi sakta
ik qarz chukane ki khatir
ye kuch lamhoon ki choree hay
bus yun hi samjh le YAAR marey
YE SHAM MERI KAMZOREE HAY
ku sham dhale in aankhon main
benam see ik udasee ki
ghanghoor ghatain rehtee hain
ku be khood ho ker is lamhe
dhlta hua sooraj takta hoon
aankhon main kisi ka aks liey
ku band kitabain takta hoon
mat pooch waqt hi aisa hay
mujhe dil peh zor nahi rehta hay
main lakh chupata hoon lakin
ashkoon ko rok nahi sakta
ik qarz chukane ki khatir
ye kuch lamhoon ki choree hay
bus yun hi samjh le YAAR marey
YE SHAM MERI KAMZOREE HAY
·
1 Like ·
Sep 17, 2016 at 22:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jala K Tu Bhi Agar Aasra Na De Mujh Ko
Jala K Tu Bhi Agar Aasra Na De Mujh Ko
Ye Khauf He K Hawa Phir Bujha Na De Mujh Ko
Mein Is Khayal Se Mur Mur K Dekhta Hun Usay
Bichar K Bhi Wo Kahin Phir Sada Na De Mujh Ko
Isi Khayal Se Shab Bhar Mein So Nahi Sakta
K Khof-E-Khuwab-E-Guzashta Jaga Na De Mujh Ko
Tere Baghair Bhi Teri Tarah Mein Zinda Rahoon
Ye Hosla Bhi Dua Ker, Khuda Na De Mujh Ko
Mein Is Liey Bhi Usay Khud Phir Bolon Ga MOHSIN
K Mujh Se Roothnay Wala Kahin Bhula Na De Mujh Ko

Sep 06, 2016 at 17:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko

Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko
Din Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh Ko
Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko
Uoon To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko
Bewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Sar-E-Sham Bujhaya Mujh Ko
Kaisay Bhoolon Ga Wohi Wasl Kay Lamhay
Yad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko..

2 Like ·
Sep 03, 2016 at 23:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aa Kay Lay Jaain Meri Aankh Ka Pani Mujh Say

Kiun Hasad Karti Hay Darya Ki Rawani Mujh Say
Gosht Nakhun Say Alag Kar Kay Dikhaya Main Nay
Us Nay Poochay Thay Judaai K maani Mujh Say
Teri Khushbu KI Lehad Par Main Bara Tanha Tha
Ro Pari Mil K Galay Raat Ki Raani Mujh Say
Khatam Honay Laga Jab Khoon Bhi Ashkon Ki Tarah
Kar Gaay Khawab Meray Naqal Makani Mujh Say
Sirf ik Shakhs K Gham Main Mujhay Barbaad Na kar
Roz Rotay Huay Kehti Hai Jawani Mujh Say...

Aug 29, 2016 at 12:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ab Teri Yaad Say Wehshat Naheen Hoti Mujh Ko

Zakham Khulney Se Aziyat Naheen Hoti Mujh Ko
Ab Koi Aaye Chala Jaye Main Khush Rehta Hoon
Ab Kisi Shakhs Ki Aadat Naheen Hoti Mujh Ko
Aesa Badla Hoon Teray Sheher Ka Paani Pi Kar
Jhoot Boloon To Nidaamat Naheen Hoti Mujh Ko
Main Ne Bhi Ki Hey Mohabbat, So Kisi Ki Khatir
Koi Marta Hai To Hairat Naheen Hoti Mujh Ko
Itna Masroof Hoon Jeenay Ki Hawas Main Yaaro
Saans Leney Ki Bhi Fursat Naheen Hoti Mujh Ko

Aug 25, 2016 at 07:08
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tumhain Mujh Say Muhabbat Hay
Musalsal Sooch Main Rehna
Kisi Say Kuch Nahi Kahna
Kisi Gooshay Main Chup Kay
Khud Say Mehw-E-Guftgu Rehna
Achanak Dil Main Koe Metha Metha Dard Uthna
Bay Sabab Bay Cheen Ho Jana
Akelay Beth Kay Roona
Kaee Raatain Nahi Soona
Wo Pehron Bethay Bethay
Janay Kis Manzer Main Kho Jana
Kisi Aahat Kisi Bhi Chaap Say
Phir Choonk Si Perna
Meray Saaey Ay Bachana
Samnay Aanay Say Katrana
Suno Pagal Si Ae Larki
Kahi Or Ankahi Kay Dermiyan
Sooli Pay Latki Ho
Tumhain Maloom Hay Tum Jaan Kar
Manzil Say Bhatki Ho?
Yea Mana Tum Bohat Khuddar Ho
Per Yea Haqeeqat Hay
Ana Ik Had Tak Achi Hay
Magar Is Had Kay Aagay
Yea Mehaz Ik Khud Farebi Hay
Azeeyat Sah Rahi Ho Or Chup Ho
Kia Qiyamat Hay
Tum Akhir Kyun Nahi Kehtin
Tumhain Mujh Say Muhabbat Hay.

Aug 24, 2016 at 13:08
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai

Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai
Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jaon To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai
Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai
Us Ek Pal Ke Sadqe Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai
Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai
Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai
Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Khayal Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Ha

Aug 15, 2016 at 22:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujh Se Kehta Hay Kabhi Dil Me Malal Aate Hain

Kaise Kaise Meray Dushman Ko Sawal Aate Hain
Yeh Jo Hum Rote Hain Chup Ker Kabhi Tanhai Me
Rufta Rufta Tujhay Aankhon Se Nikaal Aate Hain
Hum Mohabbat Pe Bhi Ahsan Koe Rakhte Nahi
Nekian Kerte Hain Daryaon Me Daal Aate Hain
Buss Isi Khauf Se Soye Nahi Ik Muddat Se
Hijr Milta Hay Agar Khawab-e-Wisal Aate Hain
Phool Khil Jayein Tou Is Shakhs Se Kum Kum Milna
Aisay Mausam Me Mohabbat Pe Zawal Aate Hain

Aug 08, 2016 at 10:08

Aug 08, 2016 at 04:08
Category: sad
Sponored Video