Search
Poetry / Sad
Mujh Ko Lota Do Meri Umar Guzashta Ki Kitaab
Mujh ko shikwah hai mairay bhai kay tum jatay huay
lay gaye saaath meri Umar guzashta ki kitaab
es mein tou meri bohat qeemti tasveren theen
es mein bachpan tha mera, aur mera ehad shabab
is kay badlay mujhay tum day gaye jatay jatay
apnay gham ka yeh damakta howa khoon rang gulaab
kya karoon bhai, yeh aizaz mein kiyon kar pehnoon
mujh say lay lau meri sab chaak qamizoon ka hisaab
aakhri baar hai, lau maan lau ik yeh bhi sawal
aaj taq tum say mein lota nahi mayoos jawaab
aa kay lay jao tum apna yeh damakta howa phool
mujh ko lota do meri Umar guzashta ki kitaab

·
1 Like ·
May 27, 2017 at 04:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Us Nay Kaha Mujh Say Tumhen Kitna Pyar Hai
US NAY KAHA MUJH SAY TUMHEN KITNA PYAR HAI
MEIN NAY KAHA SITARON KA BHI KOI SHUMAAR HAI
US NAY KAHA KON TUMHEN HAI BOHAT AZEEZ
MEIN NAY KAHA DIL PAY JISAY IKHTIYAR HAI
US NAY KAHA KON SA TOHFA HAI MANPASAND
MEIN NAY KAHA WO SHAM JO AB TAK UDHAAR HAI
US NAY KAHA KHIZAAN MEI MULAQAT KA JAWAZ
MEIN NAY KAHA QURB KA MATLAB BAHAAR HAI
US NAY KAHA SAINKRON GHAM ZINDAGI MEI HAIN
MEIN NAY KAHA KEH GHAM NHI JAB GHAMGUSAAR HAI
US NAY KAHA SATH KAB TAK NIBHAO GAY
MEIN NAY KAHA JITNI YEH SAANSON KI TAAR HAI
US NAY KAHA MUJH KO YAQEEN AAEY KIS TARAH
MEIN NAY KAHA KE NAAM MERA AITBAAR HAI

May 26, 2017 at 09:05
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazer K Kamal Mein
Rehna tha mujh ko teri nazer k kamal mein
Lekin main din guzaar rahi hon zawaal mein
Ghaera hay es tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khwab mere doob gaye es malaal mein
Mujh se nazer chura k guzarne lagi hawa
Ane lagi ju hijer ki khushbo wisaal mein
Hon saat e azaab mein kyoun main abhi talak?
Ik umer se ghiri hon isi ik sawaal mein
Bechaniyan tamam hi main us ki oorh lon
Shamil mujhe kare tou kabhi apne haal mein
Main sun rahi hon phir se judayi ki aahatain
Jeena pare na phir se unhi maah o saal mein
Qismat se raah mein ju jazeere humain mile
Tere guman mein the,na mere khayal mein

May 14, 2017 at 01:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Chalo Tum Chorr Do Mujh Ko
Chalo Tum Chorr Do Mujh Ko
Main Wapis Lout Jata Hoon
Tumhain Manzil Mubarak Ho
Naya Saathi
Mubarak Ho
Mager Phir Ay Meray
HumDum
Mujhay Itna Tu
Batla Do ?
Keh Wapis Kis Taraf Jaon ?
Kahan Say Saath
Laaye Thay ?
Mujhay Itna Tu
Samjha Do ?
Ager Aisa Nahi Mumkin
Tu Mujh Ko
Is Tarah Torro
Keh Main Yaksar
Bikhar Jaon
Bhataknay Say Tu Behtar Hai
Tumharay
Pass
Marr Jaon!
Main Wapis Lout Jata Hoon
Tumhain Manzil Mubarak Ho
Naya Saathi
Mubarak Ho
Mager Phir Ay Meray
HumDum
Mujhay Itna Tu
Batla Do ?
Keh Wapis Kis Taraf Jaon ?
Kahan Say Saath
Laaye Thay ?
Mujhay Itna Tu
Samjha Do ?
Ager Aisa Nahi Mumkin
Tu Mujh Ko
Is Tarah Torro
Keh Main Yaksar
Bikhar Jaon
Bhataknay Say Tu Behtar Hai
Tumharay
Pass
Marr Jaon!
·
1 Like ·
Apr 23, 2017 at 17:04
Category: sad
Poetry / Sad
Ussey Mujh Se Ye Shikwa Hai
ussey mujh se ye shikwa hai
safer kion mukhtasir hai?
faslay kyu kar simat jaatey hein lamhon mein
tumharay saath chalnay mein
ye ek nuksaan sa kiya hai ke jonhi hum ne
waqt ek saath bitanay ka irada bandha
ye shaam yon lapki
ke jaisey muntazir thi buss humari hee
ab usse kaisey batain ke
safer kion mukhtaser hai?
usse kaisey bataon k
ye shikwa aap musafir hai!!!

Apr 03, 2017 at 10:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Wo Bicharnay Laga Mujh Say Tu Ana Toot Gaii
Wo Bicharnay Laga Mujh Say Tu ANA Toot Gaii
Routh Jana Hi Ada Hay Mujhay Maloom Na Tha
Subah Honay Pay Bhi Aankhon Say Andhera Na Gia
Raat Suraj Say Khafa Hay Mujhay Maloom Na Tha
Routh Janay Pay Manana Usay Aata Hi Nahi
Ye Bhi Meri Hi Khataa Hay Mujhay Maloom Na Tha
Zindagi Jurm -e- Anasar Hay Zamanay Main
Saans Laina Bhi Saza Hay Mujhay Maloom Na Tha

Mar 02, 2017 at 16:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kachi Divaar Hun Thokar Na Lagana Mujh Ko
kachi divaar hun Thokar na lagana mujh ko
apni nazaron men basa kar na girana mujh ko
tum ko aankhon men tasavvur ki tarah rakhata hun
dil men dhaDakan kii tarah tum bhi basana mujh ko
baat karne men jo mushkil ho tumhen mahafil men
main samajh jaaunga nazaron se batana mujh ko
vada utna hi karo jitna nibha sakate ho
Khowab pura jo na ho vo na dikhana mujh ko
apne rishte kii nazakat ka bharam rakh lena
main to ashiq huun divana na banana mujh ko

2 Like ·
Jan 01, 2017 at 15:01
Category: love
Poetry / Sad
Yuun Na Mil Mujh Se Khafaa Ho Jaise
yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahein
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai Danish
ek bejurm sazaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahein
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai Danish
ek bejurm sazaa ho jaise
·
1 Like ·
Nov 09, 2016 at 11:11
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Wo Apni Saari Nafratein Mujh Peh Lutata Raha
wo apni saari nafratein mujh peh lutata raha…
mera dil jis ko sada mohabbtain sikhata raha…
us ki adat ka zara yeh pehlo toh dekho…
mujh say kiay waday woh kisi aur say nibhata raha…
kuch khaber nahi woh shaks kya chaahta tha…
K taluq torr kar bhi mujh ko aazmata raha

Oct 01, 2016 at 09:10
Category: sad
Sponored Video