Search
Poetry / Love
Chalo Mohabbat Ki Nayi Bunyaad Rakhte Hain
chalo mohabbat ki nayi bunyaad rakhte hain
Khud paaband rehty hain usay aazad rakhte hain
Hamarey khoon me rab ne yehi taseer rakhi hai
Buraai bhool jatay hain achai yaad rakhte hain,
Mohabbt me kahin hum se gustakhi na ho jay
Hum apna har qadam us ke qadam ke baad rkhte hain...!

·
2 Like ·
Sep 08, 2017 at 11:09
Category: love
Poetry / Sad
Baat Thi Mohabbat Ki
Baat thi Mohabbat ki,
Umer Bhar ki Chahat ki,
Bheer main zamane ki,
Sath Sath Chalna Tha,
Imtehan Bhi Aney Thy,
Zindagi k Sab He Pal,
Sath Hi Bitane Thy,
Jane Us Ne Kia Socha,
Aik Pal Main Hi Us Ne Baat Khatam kar Dali,
Zindagi Jo Puri Thi,
Wo Adhuri Kar Dali,
Kon Us ko Samjhaye,
Mohabatoon k Mausam Bhi,
Roz To Nahi Atey,
Zindagi Main Apnon ko,
Choar To Nahi Jatey...!

1 Like ·
Aug 25, 2017 at 13:08
Category: sad
Advertisement

Aug 25, 2017 at 07:08
Category: sad
Poetry / Sad
Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai
Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai,
Unko Khona Bhi Mushkil Hai Unko Pana Bhi Mushkil Hai...
zara Si Baat Pe Aankhe Bhigokar Baith Jate Hain,
Unko To Apne DIL Ka Haal Batana Bhi Mushkil Hai...
Udasi Unke Chehre Par Gawara Bhi Nahi,
Uski Khatir Sitare Toor kar Lana Bhi Mushkil Hai...
Yaha Logon Ne Khud Par Itne Parde Daal Rakhe Hain,
Kis Ke DIL Me Kya Hai Nazar Aana Bhi Mushkil Hai...
Maana Ki Khwab Me Mulakat Hogi Unse Magar,
Unke Bina Neend Aa Pana Bhi Mushkil Hai...!

Aug 25, 2017 at 00:08
Category: sad
Poetry / Sad
Mohabbat Kar Nahi Paaya
December Kay Maheenay Ka
Woh Shayad Pehla Hi Din Tha!!
Baras Guzray Kayee Maine MoHABBAT
Lafz Likha Tha!!
Kisi Kaghaz Kay Tukray Par
Achanak Yaad Aaya hai
Kisi Say Baat Karni Thi
Usay Kehna Tha
JAAN-e-JAAN
Mujhe Tumse MoHABBAT hai
Magar Main Keh Nahi Paaya !!
Wo Kaghaz Aaj Tak LipTa Para hai
DhooL Mein Lekin
Kisi Ko Dey Nahi Paaya
Dobara Chah Kar bhi Main
MoHABBAT Kar nahi Paaya...!
Woh Shayad Pehla Hi Din Tha!!
Baras Guzray Kayee Maine MoHABBAT
Lafz Likha Tha!!
Kisi Kaghaz Kay Tukray Par
Achanak Yaad Aaya hai
Kisi Say Baat Karni Thi
Usay Kehna Tha
JAAN-e-JAAN
Mujhe Tumse MoHABBAT hai
Magar Main Keh Nahi Paaya !!
Wo Kaghaz Aaj Tak LipTa Para hai
DhooL Mein Lekin
Kisi Ko Dey Nahi Paaya
Dobara Chah Kar bhi Main
MoHABBAT Kar nahi Paaya...!
·
1 Like ·
Aug 21, 2017 at 17:08
Category: sad
Poetry / Sad
Mohabbat Hamsafar Meri
Wohi BeSimt Sa Rasta, Mohabbat Hamsafar Meri
Sarabon Ka Wohi Dhoka, Mohabbat Hamsafar Meri
Ghubaar-e-Raah Bhi Kuch Duur Tak He Sath Chalta Hai
Wohi Ek Main, Wohi Tanha Mohabbat Hamsafar Meri
Ye Lamhon Ki Nahi Hai Ye To Sadyon Ki Musaafat Hai
Kisi Ki Yaad Ka Sehra Mohabbat Hamsafar Meri
Koi Kashti Nahi Hai Jo Humain Uss Paar Le Jaye
Bhanwar, Biphra Hua Darya, Mohabbat Hamsafar Meri
Wohi Her Waqt Sochon Per Kisi Ki Yaad Ka Pehra
Wohi Din Raat Ka Jalna Mohabbat Hamsafar Meri
Yahan Had-e-Nazar Tak Bas Andheray He Andheray Hain
Na Wo Jugno, Na Wo Taara, Mohabbat Hamsafar Meri...!

Aug 11, 2017 at 11:08
Category: sad
Poetry / Sad
Mohabbat naam hai mera
Kabhi veeran raaston par
Koi anjaan si dastak
Agar tum ko sunai de
Sada ki shakal main aa kar kahay
Mohabbat naam hai mera
Palat kar dekhna mat tum
Keh es kaar-e-Mohabbat main
Aziyat hi aziyat hai...!
Koi anjaan si dastak
Agar tum ko sunai de
Sada ki shakal main aa kar kahay
Mohabbat naam hai mera
Palat kar dekhna mat tum
Keh es kaar-e-Mohabbat main
Aziyat hi aziyat hai...!
·
1 Like ·
Aug 08, 2017 at 15:08
Category: sad
Poetry / Sad
Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia
Aise bhi mohabbat ki saza deti hai dunia
mar jaye tu jenay ki dua deti hai dunia
hum kon say momeen thay jo ilzam na sehtay
pather ko bhagwan bana deti hai dunia
ye zakham mohabbat ka hai dikhnana na kisi ko
La kar saray bazar saja deti hai dunia
Qismat per karo naz na itna bhi faqeero
haton ki lakeeron ko mita deti hai dunia
marne ke liye majboor tu karti hai ye lekin
Jeenay kay tareeqay bhi sekha deti hai dunia...!

Aug 03, 2017 at 09:08
Category: sad
Poetry / Sad
Ajub Din The Mohabbat K
Ajub din the mohabbat k
Ajub mousam the chahat k
Kabhi ger yaad aa jayen
Tou palkon per sitare jhilmilate hain
Kisi ki yaad mein raaton ko
Aksar jaagna mamool tha apna
Kabhi ger neend aa jati tou hum yeh sochne lagte
Abhi to Woh humare waaste roya nahin ho ga
Abhi soya nahin ho ga
Abhi hum bhi nahin rotay
Abhi hum bhi nahin sotay
So phir hum jaagte the aur Usko yaad kerte the
Aikele beth ker veeran dil abaad kerte the
Humare samne taaron k jhurmat mein
Akela chaand hota tha
Ju Us k husn k agay bohat hi maand hota tha
Falak per raqs kerte un'ginat roshan sitaron ko
Ju hum tarteeb dete the
Tou US ka naam banta tha
Hum aglay roz jab milte tou
Guzri raat ki bekali ka ziker kerte the
Her ik qissa sunate the
Kahan kis waqt
Kis tarah se dil dharka batate the
Main jab kehta k
JANAN..!! AAJ TOU MAIN RAAT KO IK PAL NAHIN SOYA
Tou woh khamosh rehti thi
Mager us ki neend mein doobi hoyi 2 jheel si ankhain
Achanak bol uthti theen
Main jab us ko batata tha k
Main ne raat ko roshan sitaron mein
TUMHARA NAAM DEKHA HAY
Tou woh kehti' tum jhoot kehte ho
Sitare main ne dekhe the
Aur un roshan sitaron mein tumhara naam likha tha
Ajub masoom lerki thi,mujhe kehti thi
Lagta hay k ab apne sitare
Mil hi jayen gaye
Mager usko kya khaber thi
Kinare mil nahin sakte
Mohabbat ki Kahani me
Mohabbat kerne walon k
Sitare mil nahin sakte....!!!!

Jul 31, 2017 at 12:07
Category: sad
Sponored Video