Search
Jokes / Miscellaneous
Sana Ali
Anday Aur Danday Main Faraq
USTAD STUDENT SEY:- ANDAY AUR DANDAY MAIN FARAQ HAI
STUDENT:- ANDA UNDER SEY GARAM KARTA HAI AUR DANDA BAHIR SEY
STUDENT:- ANDA UNDER SEY GARAM KARTA HAI AUR DANDA BAHIR SEY
·
2 Like ·
Oct 23, 2017 at 09:10
Category: miscellaneous
Poetry / Sad
Tum Say Bichar Kar Kya Huun Main
Tum say bichar kar kya huun main
Ek adhoori nazam ka misra !!
Ya koi beemar parinda !!
kita men ek zinda titli !!
Ya ek murda peela patta !!
Aankh hoon koi khowab zada si !!
Ya aankhon mai toota sapna !
Palkon ki deewar k peechay !
Pagal qaidi....ya ek aansu !
Dhoop men lipta lamba sehraa !
Tooti hui chorri ka tukra !
Ya koi bhoola hoa waada !
Tum hi batao
Tum say bichar kar aya huun main
Ek purani qabar ka katba
ya
Ek matrook dua...!
Ek adhoori nazam ka misra !!
Ya koi beemar parinda !!
kita men ek zinda titli !!
Ya ek murda peela patta !!
Aankh hoon koi khowab zada si !!
Ya aankhon mai toota sapna !
Palkon ki deewar k peechay !
Pagal qaidi....ya ek aansu !
Dhoop men lipta lamba sehraa !
Tooti hui chorri ka tukra !
Ya koi bhoola hoa waada !
Tum hi batao
Tum say bichar kar aya huun main
Ek purani qabar ka katba
ya
Ek matrook dua...!
·
2 Like ·
Oct 18, 2017 at 01:10
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Main Uske Chehre Ko Dil Se Utaar Deti Hoon
Main uske chehre ko dil se utaar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi maar deti hoon,
Ye mera haq hai ke main usko thora dukh bhi doon,
Main chahat bhi to us ko beshumar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soajhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupke se maan leti hoon...!

1 Like ·
Oct 16, 2017 at 15:10
Category: love
Poetry / Sad
Ratjagon Ke Sehra Main Khwaab Jab Ujar Jaain
ratjagon ke sehra main khwaab jab ujaR jaain tum udaas mat hona
zindagii ke maile main hum agar bichaR jaain tum udaas mat hona
jin pe naam likhe hoon un ujaR shakhon per kab bahar aati hai
aarzuu ki tehni se jab gulaab jhaR jaain tum udaas mat hona
jaan kya zaroori hai dasht-e-narasai main ik dua bhi poori ho?
hum agar riwaajon ki souliyoun pe gaR jaain tum udaas mat hona
waqt ik darinda hai aur hum sabhi es dehshat ki zad main hain
jab ye besukoon lamhe apni zid pe arR jaain tum udaas mat hona
jabr ki fizaaon main muskura ke ji laina ye bhi ik ibaadat hai
chahe karb ke saye mere qad se baRh jaain tum udaas mat hona
kuch bhi ho mager apne dilnasheen tabassum se zabt ka bharam rakhna
chaahe hum bichaR jaain kyun na hum ujaR jaain tum udaas mat hona

Oct 15, 2017 at 10:10
Category: sad
Poetry / Humorous
Mere Aangan Main Sometimes Flower Khila Karte Thay
Mere Aangan Main Sometimes Flower Khila Karte Thay
Meri Eye Main Bhi Dreams Basa Karte Thay
Mujhko Circumstances ki Andhi Ne Giraya Otherwise
Mere Shadow Main Bhi Kuch People Raha Karte Thay
Hai Remember Hamain Rafaqat ki Wo Watches Ab Bhi
Dil Ki Beat Bhi Tere Sath Hear Karte Thay
Aaj Wo Function Main Stranger Banay Bethay Hain
Jo Sometimes Mujhe Apni Life Kaha Karte Thay
Ab Tarasti Hai Teri Deed Ko Eyes
Ek Period Tha Hum Everyday Mila Karte Thay...!

Oct 13, 2017 at 06:10
Category: humorous
Poetry / Love
Musafaton Main Kabhi Yuon Bhi Moatbar Thehro
Musafaton Main Kabhi Yuon Bhi Moatbar Thehro
Ke Do Qadam He Sahi Us Ka Humsafar Thehro
Tumhi Batao Bhala Kis Tarhan Ye Mumkin Hay
Wo Mere Shehar Main Aye Or Main Be-Khabar Thehro
Teri Talaash Main Ab Kuch es Tarhan Niklon
Ke Dasht Dasht Phiron Or Darbadar Thehro
Najane Kab Wo Dar-e-Jaan Pe Aakar Dastak De
Isi Umeed Pe Har Waqt Apne Ghar Thehro...!

Oct 11, 2017 at 11:10
Category: love
Poetry / Love
Behar E Ishq Main Doob K Daikh Kabhi
behar-e-ishq main doob k daikh kabhi
jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi
her taraf tera hi aks nazar aye ga
meri aankhon mein pyar say daikh kabhi
ghuror hay tujhey apni zulfon ki chaaon ka
meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi
kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein
meray dil k angan say bahar aa k daikh kabhi
kitni hoti hay mithas jazba-e-dar guzar main,
kisi rothay hoe ko mana k tu daikh kabhi
kerti hay kaisay khushboo gul say parwaz
ik baar mujh say door ja k daikh kabhi...!

Oct 08, 2017 at 20:10
Category: love
Poetry / Sad
Main Jal Raha Tha Barsoon Sey
Ik Diya Hoon
Taiz Hawaon Key Jhonkon Sey,
Bus Bujh Gaya Hoon
Main Jal raha Tha Barsoon Sey,
Roshan Raha Tha sadion Sey
Ab Bujh Gaya Hoon
Haan Main Ik Diya Hoon
Jalta Tha To Roshni Thi,
Andhairoon Mai Ghir Gaya Hoon
Main Bujh Gaya Hoon
Main Ik Diya Hoon
Mujh Sey Wabasta lamhoon Ney,
Moo Mujhsey Morr Liya Hey
Merey Andhairoon Ko
Merey Sang Akaila ChoAr Diya Hey
Bus Abb Aandhiyoun Ka Intizar Hey,
Mera Abb Rahna Bekaar Hey
Main ab Bujh Gaya Hoon
Haan Main Ik Diya Hoon...!
Taiz Hawaon Key Jhonkon Sey,
Bus Bujh Gaya Hoon
Main Jal raha Tha Barsoon Sey,
Roshan Raha Tha sadion Sey
Ab Bujh Gaya Hoon
Haan Main Ik Diya Hoon
Jalta Tha To Roshni Thi,
Andhairoon Mai Ghir Gaya Hoon
Main Bujh Gaya Hoon
Main Ik Diya Hoon
Mujh Sey Wabasta lamhoon Ney,
Moo Mujhsey Morr Liya Hey
Merey Andhairoon Ko
Merey Sang Akaila ChoAr Diya Hey
Bus Abb Aandhiyoun Ka Intizar Hey,
Mera Abb Rahna Bekaar Hey
Main ab Bujh Gaya Hoon
Haan Main Ik Diya Hoon...!
·
1 Like ·
Oct 04, 2017 at 14:10
Category: sad
Poetry / Sad
Uss Nay Khat Main
Uss nay Khat main
Ishq ka Matlab Pooch liya hai
Mein nay Likha hai
Jab Koi Chehra
Dhiyaan Mein Akar
Man Angan mein Phool Khila de
Jab Koi Naam Labon ko Choo kar
Dharkano ki Tarteeb Bhula de
Jab koi Jazba Kar-e-Junoon se
Atish ko Gulzar bana de
Laikin Itna Dhiyaan mein Rakhna
Koi Siraat-e-Ishq se Guzry Tab Khulta hai
ISHQ se Pehle ISHQ ka Matlab kab Khulta hai...!

Oct 02, 2017 at 00:10
Category: sad
Sponored Video