Search
Poetry / Sad

Yunhi Ranjishon Main Guzar Gaye

Yunhi ranjishon main guzar gaye
Kabhi wo khafa
Kabhi main khafa
Chahton k morr per
Kabhi wo ruka
Kabhi main ruka
Wohi rastey wohi manzilen
Na usy khabar
Na mujhe pata
Apni apni ana main gum
Kabhi wo juda
Kabhi main juda...!
Kabhi wo khafa
Kabhi main khafa
Chahton k morr per
Kabhi wo ruka
Kabhi main ruka
Wohi rastey wohi manzilen
Na usy khabar
Na mujhe pata
Apni apni ana main gum
Kabhi wo juda
Kabhi main juda...!
·
1 Like ·
Aug 18, 2017 at 08:08
Category: sad
Poetry / Sad

Qayal Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabh

Hoon To Khafa Us SE,
Par Janay Phir B Kiyn!
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai
Haqeeqat Se Hoon Door,
Ye Mujh Ko Hai Pata
Par Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai
Qayal Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai
Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga
Kuch Pal es Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai....!

Aug 17, 2017 at 06:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad

Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad

Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad, Chale Aana
Bhool Jana Apni Kahi Har Baat, Chale Aana
Judayi Ka Wo Lamha Aur Wo Manzar Dhalte Suraj Ka,
Yaad Tumko Jab Aane Lage Wo Shaam, Chale Aana
Bhool Jao Tum Agar Manzil Kabhi Apni,
Uthana Apne Kadam Phir Meri Taraf Chale Aana
Hadd Se Guzar Jaaye Jab Mera Zabt-E-Ghum,
Aur Main Pukarun Tumko Baar Baar, Chale Aana
Uske Bin Jeene Ka Ab Tasavvur Nahi Mujhe
Meri Maut Ka Gar Tumko Mile Payaam Chale Aana...!

Aug 15, 2017 at 17:08
Category: sad
Poetry / Love

Log Kehte Hain Main Sharaabi Hoon

Log Kehte Hain Main Sharaabi Hoon
Tumne Bhi Shaayad Yehi Soch Liya Hoga …
Log Kehte Hain Main Sharaabi Hoon
Kisipe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha
Kisike Dil Pe Mohabbat Ki Ravani Ka Nasha
Kisiko Daikhte hi Saanson Se Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahin Had Se Guzarta Hai Nasha
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Kise Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara
Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda
Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha
Hava Pe Khushboo Ka Badal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha
Nasha Sharaab Mein Hota To Nachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul
Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Log Kehte Hain Main Sharaabi Hoon....!

2 Like ·
Aug 09, 2017 at 04:08
Category: love
Poetry / Love

Khud Apney Dil Main Khowishain Utaarna Hongi

khud apney dil main khowishain utaarna hongi
abhi to jaag k raatain guzaarna hon gi
terey liye mujhe hans hans k bolna hoga
merey liye tuje zulafain sanwarna hongi
teri sada se tujhi ko tarashna hoga
hava ki chaap se shakalain ubhaarna hongi
abhi to teri tabyat ko jeetnay k liye
dil o nigah ki shartain bhi haarna hongi
terey vasal ki khowishon k tez rangon se
terey firaaq ki subhain nikhaarna hongi
yeh shairy yeh kitabain yeh ayatain dil ki
nishaniyan yeh sabhi tujh pe vaarna hongi...!

Jul 30, 2017 at 11:07
Category: love
Poetry / Sad

Ab K Mohabtoon Main Yeh Moajzay Huwey

Ab k mohabtoon main yeh moajzay huwey,
Ham khud ko sochtey hain tujhe sochtey huwey..
Ek baar tujh ko socha sar-e-sham or phir,
Ek or raat beet gai jagtey hoe..
Ham manzil adm k andheroon main kho gaye,
jab se alag tumare mere raastey hogaye.
Jab agey ki nabz thame to pata chala,
Kitne baras guzar gaey tujh se mile huway.
Maine kaha ke duniya main koi naheen mera,
Us ne kaha ke aaj se ham aap k hogaye...!

Jul 29, 2017 at 17:07
Category: sad
Poetry / Sad

Agar Usko Rula Main Doon

Agar usko rula main doon
Umr bhar k liye bhula main duun
Raahon main chhor k us ko
Hijar say us ko mila main duun
Usay mujrim bana kar ek din
Koi dard, ik saza main doon
Usay naey zakhm de kar
Us k dard ki na dwa main doon
Aisa karna to kabhi mumkin nahi
To acha hai usay ab ganwa main doon...!
Umr bhar k liye bhula main duun
Raahon main chhor k us ko
Hijar say us ko mila main duun
Usay mujrim bana kar ek din
Koi dard, ik saza main doon
Usay naey zakhm de kar
Us k dard ki na dwa main doon
Aisa karna to kabhi mumkin nahi
To acha hai usay ab ganwa main doon...!
·
1 Like ·
Jul 27, 2017 at 07:07
Category: sad
Poetry / Sad

Koi Mousam Ho Dil Main Hai Tumhaari Yaad Ka Mousam

Koi mousam ho dil main hai tumhaari yaad ka mousam
ke badla hee nahi jana, tumharay baad ka mousam
Nahi to aazma kay daikh lo kaisay badalta hai
tumharay muskuranay say dil-e-nashaad ka mousam
Ruton ka qaida hai waqt per yeh aati jati hain
hamaray shehar main kyun ruk gaya faryaad ka mousam
Kahin say us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
to us kay sath badlay ga dil-e-barbaad ka mousam
Qafas kay baam-o-dar main roshni si ati jati hai
chaman main aagaya shayad lab-e-azaad ka mousam
Na koi gham khizan ka hai, na khuahish hai bahaaron ki
hamary saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam...!!!

Jul 26, 2017 at 10:07
Category: sad
Poetry / Sad

Suno! Yeh Aankhon Main Udaasi Kesi

Suno! Yeh Aankhon Main Udaasi Kesi
Yeh Honton Pay Muskaan Kesi
Tanha Akeli Kaha Ghum Ho Tum
Kin Udasiyon Ko Dil Mai Basai Hoi Ho Tum
Lagta Hay Yon Kuch Kho Gaya Hain
Jisey Yoon Dhoond Rahi Ho Tum
Is Ghum Ko Bhula Do Tum
In Tanhiyoun Ko Rafa Ker Do Tum
Yaad Kero Apnay KHUDA Ko Tum
Yaqeen Aur Aitamaad Rekho Usi Per Tum
Muradain Pori Karnay Wala Hay Bas Ak Wohi
Khushyan Or Muskurahatain Mang Lo Usi Say Tum
Aao Mera Haath Thaam Lo Tum
Tanhaii Ko Chorr Ker Zindagi Ko Apna Lo Tum

Jul 23, 2017 at 01:07
Category: sad

Sponored Video