Search
Poetry / 0
Hafeez Ur Rehman
Wafa Say Choot Lagti Hai
mohabbat say anayaat say wafa say choot lagti hai
bikharta phool hoon mujh ko hawa say choot lagti hai
mairi ankhoon mein ansoo ki tarhaan aik raat aa jaoo
takaluf say banawat say adaa say choot lagti hai
mein shapnam ki zubaan say pholoon ki awaz sunta hoon
ajab ehsaas hai apni sadda say choot lagti hai
tujhay khud apni majboori ka andaza nahi shaid
na kar ehad e wafa, ehad e wafa say choot lagti hai..

·
3 Like ·
Jun 06, 2021 at 01:06
Category: 0
Poetry / General
Mooria Ul Ain
Mujhay Achi Lagti Hain Meray Haath Ki Sabhi Ungliyaa''n.
Mujhay Achi Lagti Hain Meray Haath Ki Sabhi Ungliyaa''n....
Janay Kis Ungli Ko Pakar Kar,
Meri Maa''n Nay Mujhay Chalna Sekhaya Tha....
Janay Kis Ungli Ko Pakar Kar,
Meri Maa''n Nay Mujhay Chalna Sekhaya Tha....
·
1 Like ·
Sep 30, 2018 at 17:09
Category: general
Advertisement
Poetry / Sad
Mohammad Yaseen
Pahale Pahal To Khwabon Ka Dam Bharne Lagti.
pahale pahal to khwabon ka dam bharne lagti hai
phir aankhen palkon mein chup kar rone lagti hai
jane tab kyon suraj ke khvahish karte hain log
jab barish mein sab divaren girane lagti hai
tasviron ka rog bhi aakhir kaisa hota hai
tanhai mein baat karo to bolane lagti hai
sahil se takarane vali vahashi maujen bhi
zinda rahane ke khvahish mein marane lagti hai
tum kya jano lafzon ke aazar ke shiddat ko
yaden tak sochon ke aag mein jalne lagti hai.

Jul 03, 2018 at 13:07
Category: sad
Poetry / Sad
Safia Saeed
Bojh Mohabbat Lagti Hai
Ye Piyar Mohabbat Kuch B Nahi Bas Jazbon Ki Ik Shiddat Hey,
Jab Jazbay Thandy Parr Jayein To Bojh Mohabbat Lagti Hey....
Jab Jazbay Thandy Parr Jayein To Bojh Mohabbat Lagti Hey....
·
1 Like ·
May 07, 2018 at 22:05
Category: sad
Jokes / Ustaad Aur Shagird
Obaid Kayani
Aap Achi Lagti Hain
student- : miss home work kya tha lekin copy ghar par reh gayi .
teacher : to khud bhi ghar par reh jatay .
student- : aap achi lagti hain is liye aata hon .
teacher : to khud bhi ghar par reh jatay .
student- : aap achi lagti hain is liye aata hon .
·
4 Like ·
Mar 18, 2018 at 02:03
Category: ustaad-aur-shagird
Jokes / Miscellaneous
Shahbaz Ishaq
Har Cheez Meezan Mai Achi Lagti Hai
"Ye keh kar usne meri Pepsi mai TAIL Daal diya"
Faraz..
"Har cheez meezan mai achi lagti hai"
(-_-)/
<) ) Dekho yar
/ [ 65 ki li thi
64 pe maar di
Faraz..
"Har cheez meezan mai achi lagti hai"
(-_-)/
<) ) Dekho yar
/ [ 65 ki li thi
64 pe maar di
·
1 Like ·
Jan 19, 2018 at 01:01
Category: miscellaneous
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kuchi Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai
Kuchi Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Barf Ke Pighalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Os Ne Hans Kar Dekha Tou Muskura Dye Ham Bhee
Zaat Se Nikalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Hijr Ki Tamaazat Se Wasl Ke Alao Tak
Larkion Ke Jalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Baat Jaisi Be-Maainay Baat Aur Kia Hogi ?
Baat Ke Mukarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Zaim Kitna Kartay Ho Ik Charaagh Per Apnay ?
Aur Hawa Ke Chalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Jab Yaqeen Ki Baanhon Per Shak Ke Paaon Par Jaayein
Choorian Bikharnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?

Jan 04, 2018 at 01:01
Category: love
Poetry / Sad
Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai
Jab Tanhayi Raqs Karti Hai
Jab Waqt Tham Sa Jata Hai
Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai
Jab Naghmagi Bhi Shor Bannay Lagti Hai
Jab Unsiat Bhi Aziat Ban Jati Hai
Jab Khawb, Azaab Lagnay Lagtay Hai
Jab Ihsas Kay Samandar Ka
Har Moti Toot Toot Jata Hai
Jab Mout ,zidagi Ban Jati Hai
Aur Zindagi,mout Ban Jati Hai
Tab Aisay Main Jana
Teri Yaad Aur Bhi Stati Hai
Jab Waqt Tham Sa Jata Hai
Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai
Jab Naghmagi Bhi Shor Bannay Lagti Hai
Jab Unsiat Bhi Aziat Ban Jati Hai
Jab Khawb, Azaab Lagnay Lagtay Hai
Jab Ihsas Kay Samandar Ka
Har Moti Toot Toot Jata Hai
Jab Mout ,zidagi Ban Jati Hai
Aur Zindagi,mout Ban Jati Hai
Tab Aisay Main Jana
Teri Yaad Aur Bhi Stati Hai
·
1 Like ·
Jul 12, 2017 at 12:07
Category: sad
Poetry / Love
Teri Saanson Mein Gulaabon Si Mehak Lagti Hai
Teri saanson mein gulaabon si mehak lagti hai
Husun jis rung mein ho teri jhalak lagti hai
Shaam hotay hi nigaahon mein uter aatay ho
Dil ki dherkan teray pairon ki dhamak lagti hai
es liye phool main collar mein saja layta hoon
es ki khushboo teray aanchal ki mehak lagti hai
Kisi baarish k barastay hi jo ghar aati hai
Teri aankhon mein wo rangon ki dhanak lagti hai
es hi liye to main chand k husun ka garweedah hoon
es k paikar mein teri aankhon ki chamak lagti hai
Jaanay kiun wo meri aankhon ko bhala lagta hai
Jis k chehray pay zara teri jhalak lagti hai.

Jun 09, 2017 at 04:06
Category: love
Social Wall / Text
Sehar Saeed
Har Cheez Apnay Waqt Pe Achi Lagti Hai
har cheez apnay waqt pe achi lagti hai
neki kamany ka sahi waqt jawani hai, hum nekian us waqt karte hai jab hum buraiya karne ke qabil nahee rehte.
neki kamany ka sahi waqt jawani hai, hum nekian us waqt karte hai jab hum buraiya karne ke qabil nahee rehte.
·
0 Like ·
May 26, 2016 at 18:05
Category: text
Sponored Video