Search
Poetry / Sad
Wafa Chaudhry
Jis Tak Janay Ke Liye
jis tak janay ke liye rooh tak khel jatay hain log
nikal jaye matlab to dil se nikal hi jatay hain log
nikal jaye matlab to dil se nikal hi jatay hain log
·
3 Like ·
Oct 30, 2018 at 21:10
Category: sad
Poetry / Sad
Na Janay Kon Sa Dukh Zehr Bn K Phela Hy...
Jisay Bhi Dekho, Wohi Shakhs Hy Udaas Boht..
Samreen Qaisar
Na Janay Kon Sa Dukh Zehr Bn K Phela Hy.
Na Janay Kon Sa Dukh Zehr Bn K Phela Hy...
Jisay Bhi Dekho, Wohi Shakhs Hy Udaas Boht..
·
1 Like ·
Aug 20, 2018 at 01:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Alishba Khan
Haathon Main Pighal Janay Ko Jee Chahta Hay.
haathon main pighal janay ko jee chahta hay
Aatish-e-shoaq main jal janay ko jee chahta hay?
Tujh say ik raaz ki sargoshi bhi karna chahoon
Phir wohi raaz nigal janay ko jee chahta hay?
Dil yeh chahay kay tere dil main rahoon dil ban kay
Phir usi dil say nikal janay ko jee chahta hay?
Wehshat abad makanon main nahi jee lagta
Sheher say door nikal janay ko jee chahta hay?
Hum say yeh rasm ki zanjeer bhi kab toot saki
Dil ki zidd par bhi machal janay ko jee chahta hay.

0 Like ·
Apr 27, 2018 at 01:04
Category: love
Poetry / Love
Ijunoon
Qais Jungle Mein Akela Hai Mujhe Janay Do
·
1 Like ·
Feb 05, 2018 at 13:02
Category: love
Poetry / View
Muzammil Shahzad
Janay Do
zindagi dar kay nahi hoti basar, janay do
jo guzarni hai qiyamat woh guzar janay do
dekhte jana badal jaye ga manzar sara
yeh dhuwan sa tou zara nechay uttar janay do
phir chalay aaye ho tum meri masehaie ko
pehlay kuch ristay huay zakhm tou bhar janay do
aik khusbhoo ki tarah zindah raho duniya mein
aur phir kya hai agar khud ko bikhar janay do
arzoo apni badal daalo khuda ki khatir
in ki dehleez peh phodu na yeh sar, janay do
dil-e-nadaan ! tou samjhta he nahi duniya ko
kon rakhta hai bhala kisi ki khabar, janay do
saad ! tum aib nikalo na hamaray aisay
hum bhi rakhtay hain gilaay shikway, magar janay do

Jan 17, 2018 at 19:01
Category: view
Poetry / Love
Na Janay Shaks Tha Kaisa
Meri Ankhon Pe Marta Tha
Meri Batoon Pe Hansta Tha
Na Janay Shaks Tha Kaisa
Muje Khonay Se Darta Tha
Muje Jab Bhi Wo Milta Tha
Yahe Har Baar Kehta Tha
Suno Agar Main Bhool Jaon Tu
Agar Mai Rooth Jaoon Tu
Kabhi Wapis Na Aoon Tu
Bhula Paao Gay Kya Mujko
Yun he Hanstay Raho Gay Kya?
Yun he Sajtay Raho Gay Kya
Yahe Batain Hain Bas Uss Ki
Yahe Yaddein Hain Bas Uss Ki
Muje Hay Bas Pata Itna
Muje Wo Pyar Karta Tha
Muje Khonay Se Darta Tha...!
Meri Batoon Pe Hansta Tha
Na Janay Shaks Tha Kaisa
Muje Khonay Se Darta Tha
Muje Jab Bhi Wo Milta Tha
Yahe Har Baar Kehta Tha
Suno Agar Main Bhool Jaon Tu
Agar Mai Rooth Jaoon Tu
Kabhi Wapis Na Aoon Tu
Bhula Paao Gay Kya Mujko
Yun he Hanstay Raho Gay Kya?
Yun he Sajtay Raho Gay Kya
Yahe Batain Hain Bas Uss Ki
Yahe Yaddein Hain Bas Uss Ki
Muje Hay Bas Pata Itna
Muje Wo Pyar Karta Tha
Muje Khonay Se Darta Tha...!
·
2 Like ·
Dec 11, 2017 at 06:12
Category: love
Poetry / Love
Na Janay Tujh Se Aqeedat Ka Kon Sa Bandhan Hay
Main apni soch ki har soch mein yehi sochun
Na janay tujh se aqeedat ka kon sa bandhan hay
Hai chahton ka taaluq ya dosti ki girah
Ya koi rishta-e-subh-e-azal hai roohon ka
Ke raat din teri sochon mein mast rehta hun
Main teri yaad k unmit naqoosh mein dooba
Youn tere pyar ki mojon mien mast rehta hun
Teray khyal ko meraj-e-ashiqi samjhun
Teray jamal ko meraj-e-shayri samjhun
Teray wisal ko meraj-e-zindagi samjhun
Magar main soch soch kar sochun
Ke tera hijr bhi aye ga aik din akhir
To mere zehn ki sub kehkashayen tooten gi
Na tere qurb k lamhaat laut payen ge
Na teri yaad ki ye kashtiyan hi doobe gi
Magar main husn-e-azal se sada dua go hun
Mere khuda mere dil ki ye iltija sun le
K ab ki baar jo lamhat-e-qurb-e-yaar ayen
Tamam aalam-e-mojood bhi gawahi de
Hum aik dosray ko dekhtay rahen shahi
Na dharkanon ki sada tak hamen sunai de
Mujhe jo qurb ki lazzat se ashna kar de
Wo raat lakhon baras pe muheet ho jaey
Tu aisi subho k sooraj ko andha kar dena
Jo mere yaar ko mujh se chura k le jaey....!

Dec 02, 2017 at 00:12
Category: love
Social Wall / Photos
Mehreen Ali
Sulemanki Sector Mein Qabzay Me Liya Janay Wala Bharti Tanker
·
3 Like ·
Sep 15, 2017 at 15:09
Category: photos
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Janay Wo Mangnay Jata Hai Duaaon Mai Kisa
Mom ki tarah pighaltay hue dekha us ko
Rut jo badli tu badaltay hue dekha us ko
wo jo kanton ko bhi narmi se chhua kerta tha
Hum ne pholon ko masaltay hue dekha us ko
Janay kis gham ko chupanay ki tamana hai usay
Aj har baat pe hanstay hue dekha us ko
Janay wo mangnay jata hai duaaon mai kisay
Hath uthatay hi sisaktay hue dekha uss ko

May 29, 2017 at 04:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Janay Kyun Shikast Ka Aazab Liye Phirta Hoon
Janay Kyun Shikast Ka Aazab Liye Phirta Hoon
Main Kia Hoon Or Kia Khowab Liye Phirta Hoon
Us Nay Ak Baar Kia Tha Sawal -e- Mohabbat
Main Har Lamha Wafa Ka Jawab Liye Phirta Hoon
Us Nay Pucha Kab Say Nahi Soye
Main Tab Say Raat Jagnay Ka Hisaab Liye Phirta Hoon
Us Ki Khowaish Thi Ke Meri Aankhon Main Pani Dekhay
Main Us Waqt Say Aansoon Ka Sailaab Liye Phirta Hoon
Afsoos Ke Phir Bhi Wo Mera Na Howa Kanwal
Main Jis Ki Aarzoo Ki Kitaab Liye Phirta Hoon

Apr 27, 2017 at 18:04
Category: sad
Sponored Video