Joined
Poetry / View
Muzammil Shahzad
Janay Do
zindagi dar kay nahi hoti basar, janay do
jo guzarni hai qiyamat woh guzar janay do
dekhte jana badal jaye ga manzar sara
yeh dhuwan sa tou zara nechay uttar janay do
phir chalay aaye ho tum meri masehaie ko
pehlay kuch ristay huay zakhm tou bhar janay do
aik khusbhoo ki tarah zindah raho duniya mein
aur phir kya hai agar khud ko bikhar janay do
arzoo apni badal daalo khuda ki khatir
in ki dehleez peh phodu na yeh sar, janay do
dil-e-nadaan ! tou samjhta he nahi duniya ko
kon rakhta hai bhala kisi ki khabar, janay do
saad ! tum aib nikalo na hamaray aisay
hum bhi rakhtay hain gilaay shikway, magar janay do

·
1 Like ·
Jan 17, 2018 at 19:01
Category: view
Poetry / View
Muzammil Shahzad
Mil Rahi Ho Barey Tapaak Ke Saath
Gaahe Gaahe bas ab yahi ho kya?
Tum se mil kar bahut khushi ho kya?
Ab meri koii zindagi hi nahin
Ab bhi tum meri zindagi ho kya?
Mil rahi ho barey tapaak ke saath
Mujhko yaksar bhula chuki ho kya?
Yaad hain ab bhi apne khwaab tumhein?
Mujh se mil kar udaas bhi ho kya?
Bas mujhe yunhi ek khyaal aaya
Sochti ho to sochti ho kya?
Kya kaha, ishq jaawidaani hai
Aakhri baar mil rahi ho kya?
Haan, fazaa yaan ki soyi soyi si hai
To bahut tez roshni ho kya?
Mere sab tanz be-asar hi rahe
Tum bahut door jaa chuki ho kya?
Dil mein ab soz-e-intizaar nahin
Shamm-e-ummid ! bujh gayi ho kya ?
Tum se mil kar bahut khushi ho kya?
Ab meri koii zindagi hi nahin
Ab bhi tum meri zindagi ho kya?
Mil rahi ho barey tapaak ke saath
Mujhko yaksar bhula chuki ho kya?
Yaad hain ab bhi apne khwaab tumhein?
Mujh se mil kar udaas bhi ho kya?
Bas mujhe yunhi ek khyaal aaya
Sochti ho to sochti ho kya?
Kya kaha, ishq jaawidaani hai
Aakhri baar mil rahi ho kya?
Haan, fazaa yaan ki soyi soyi si hai
To bahut tez roshni ho kya?
Mere sab tanz be-asar hi rahe
Tum bahut door jaa chuki ho kya?
Dil mein ab soz-e-intizaar nahin
Shamm-e-ummid ! bujh gayi ho kya ?
·
1 Like ·
Jan 10, 2018 at 00:01
Category: view
Poetry / View
Muzammil Shahzad
Us Ka Chehra Bhi Sunata Hai Kahani Us Ki
Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki..
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki..
Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki..
Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki..
Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki..
Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko,
Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki..
Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena,
Samne sab ke sunaa dena kahani us ki..

Jan 09, 2018 at 11:01
Category: view
Sponored Video