Search
Articles / Health
Ijunoon
Amraz Qalb Ka Aalmi Din Aaj Manaya Ja Raha Hai
دنیا بھرمیں امراض قلب کا عالمی دن آج منایا جا رہاہے۔ دنیا کی طرح پاکستا ن میں بھی آج دل کی بیماریوں کا عالمی دن منایا جارہا ہے۔ اس دن کو منانے کا مقصد لوگوں میں دل کی بیماریوں کے متعلق مکمل آگاہی اور ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Dec 28, 2017 at 07:12
Category: health
Jokes / Miscellaneous
Ijunoon
Ek Sharabi Nashe Men Tun Hokar Ja Raha Tha
Ek Sharabi Nashe men Tunn hokar ja raha tha
tou peche se ek Tangay wala Aya, us ne kaha,
hat jao hat jao, Sharabi hat gaya or side per
ek ghar k darwazey k sahare khara hogaya,
wahan us ko neend aa gai. subha ghar k malik
ne darwaza khola tou sharabi neche gir gaya,
aor chilatey howey bola, yar itna tou side deya tha,
phir bhee takar maar di.

2 Like ·
Dec 05, 2017 at 19:12
Category: miscellaneous
Advertisement
Poetry / Love
Seenay Say Lipat Ja Meray Khawabon Say Nikl Ker
seenay say lipat ja meray khawabon say nikl ker
ik baar milain hum bhi hijaboon say nikl ker
kirnon ki tarah baant zamanay main ujala
khusbu ki tarah phail gulabon say nikl ker
mey khano ki soorat hain teri jheel c aankhain
doobay hain jahan log sharabon say nikl ker
mjh ko b gawara nhi aub tujh say bicharna
dil bhi pareshan sarabon say nikl ker
rehnay do abhi gardish-e-doran main he mohsin
behlay gi tabiat nay azabon say nikl ker...!

Dec 01, 2017 at 11:12
Category: love
Poetry / Sad
Aur Phir Tuut Ja
Aur phir tuut ja?
Khiloney
muskara
Kisi se dil laga
Aur phir tuut jaa
Khushi dhunde ga tu
Mileen ge lakh gham
Tujhay thukrayeen ge
Yeh pathar k sanam
Yeh dhokah tu bhi kha
Kisi ko aazmaa
Aur phir tuut jaa
Mile gi aik din
Mohabbat ki saza
Urye ga rang bhi
Jale ga dil tera
Yaqeen kar pyaar ka
Yeh sadma bhi utha
Aur phir tuut jaa...!
Khiloney
muskara
Kisi se dil laga
Aur phir tuut jaa
Khushi dhunde ga tu
Mileen ge lakh gham
Tujhay thukrayeen ge
Yeh pathar k sanam
Yeh dhokah tu bhi kha
Kisi ko aazmaa
Aur phir tuut jaa
Mile gi aik din
Mohabbat ki saza
Urye ga rang bhi
Jale ga dil tera
Yaqeen kar pyaar ka
Yeh sadma bhi utha
Aur phir tuut jaa...!
·
2 Like ·
Nov 15, 2017 at 15:11
Category: sad
Poetry / Love
Mohabbat Ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti
Mohabbat ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti
Shehr Bhar se to Adawat Nahi Ki Ja Sakti
Mera Chehra Meri Aankhain hain Salamat Ab Bhi
Kon Kehta Hai Wazahat Nahi Ki Ja Sakti
Baat ye Hai k koi Toot k Chahay to Sahi
Her kisi se to Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti
Ankh Kehti Hai Kahin Aur Chalay Jayen Hum
Dil ye Kehta Hai k Hijrat Nahi Ki Ja Sakti
Loh-e-Dil par Yehi Tahreer Likhi hay Mohsin
Ishq Walon ko Naseehat Nahi Ki Ja Sakti...!

Nov 11, 2017 at 16:11
Category: love
Poetry / Friendship
Bhut Qareeb Aa Kar Door Ja Raha Hai Koi
Bhut Qareeb Aa Kar Door Ja Raha Hai Koi
Dosti Ka Hath Mila Kar Door Ja Rha Hai Koi
Chaar Din Ki Zindagi Hai Phir Wapis Jana Hai
Phir kyu Mujh Ko Behad Sata Raha Hai Koi
Mere Hisse Ki Zindagi Bhi Us K Naam Kar De
Baargah E Elahi Mai Hath Utha Rha Hai Koi
Zindagi Bhar Kabi Bhi Hum Juda Na Hon Ge
Wo Waade,Wo Qasmein Bhula Raha Hai Koi
Wo Hath Jin Se Hameesha Duaein Mangein Thein
Aj Unhein Hathon K Sath Mayyat Saja Rha Hai Koi
Bhut Jee Chuke Ho Ab Araam Kar Lo Sanwal
Mout Ka Paighaam Le Kar Bula Rha Hai Koi...!

3 Like ·
Oct 14, 2017 at 16:10
Category: friendship
Poetry / Sad
Baat Chali Teri Aankhon Say Ja Pohnchi Paimanay Tuk
baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk
ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk
ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayem rakhna, tum meray mar jaanay tuk
itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa he gay tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk...!

Oct 08, 2017 at 02:10
Category: sad
Poetry / Love
Ik Din Shararatan Us K Kamre Me Ja Kar
Ik din shararatan us k kamre me ja kar.
Diwar pe likhe kuch huroof parhna chahe.
Ja baja hath se bani tasveeron ko samjhna chaha.
Kahin sukhay gulab ki patiya thin.
Kahin takiya ansuon se nam tha.
Phir kitabon se, aisi kitab mere hath lagi.
Jis k safha-e-awal pe mera naam tha.
Kuch lafz likhay the, mera hath laraz utha.
Chehra pasine se tar tha.
Meri sada mere kanon min gonjne lagi.
Mujhe khabar bhi nhi.
K wo khamosh sa shakhs.
Mujhe es qadar chahta tha....!

Sep 09, 2017 at 07:09
Category: love
Poetry / Sad
Suraag De Ga Kaheen Ja K Maah O Saal Mein Tu
Suraag de ga kaheen ja k maah o saal mein tu
Kahan rahe ga mere koza-e-khayal mein tu
Parayi dhoop se aangan ki teergi achi
Ulajh raha hai yeh kis roshni k jaal mein tu
Tujhe khaber nahin urti hai khaak-e-jaan kaise
Ghira nahin kisi andisha-e-zawal mein tu
Main dekhta hon lakeeron ki sarhadon mein tujhe
Likha hua hai mere dast-e-kamal mein tu
Tujhe main mang raha hon yeh kis bahane se
Chupa hua hai meri khwahish-e-sawal mein tu
Kisi ki ankh se khwabon ki kirchian chun ker
Ab aik umer se baitha hai kis malaal mein tu
Kahan gaya tere andar ka khud parast Zafer
Bikher gaya hai kisi k jamal mein tu...!

Aug 11, 2017 at 04:08
Category: sad
Sponored Video