Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Paana Bohat Kuch Chahta Hoon Magar
Paana Bohat Kuch Chahta Hoon Magar
Bas Aaj Khud Ko Kahin Khone Do
Karne Ko Baatein Hain Bahut Magar
Bas Aaj Mujhe Chup Rehne Do
Jhinjhod Diya Hai Zindagi Ne Aaj Itna
Ye Toofan Shaant To Hone Do
Apne Hi Jiwan Ki Raahon Mein Kaante
Apne Hi Haathon Se Phir Bone Do
Phir Se Bachpan Jeena Hai Mujhko
Koi Mere Woh Toote Khilone Do
Toote Hue Khwabon Ko Sametoon To Kaise
Mujhe Naye Kuch Sapane Salone Do
Pyar To Khud Se Bahut Kiya Hai
Aj Khud Se Nafrat Bhi Hone Do
Insaan Tha Shayad, Ye Kya Ban Gaya
Kuch Der Iska Ehsaas To Hone Do
Sapne Dekhne Hain Phir Se Mujhe
Kuch Der Ke Liye Bas Sone Do
Hansna Main Bhi Chahta Hoon Shayad
Aaj Magar Mujhe Kuch Rone Do
Bas Aaj Khud Ko Kahin Khone Do
Karne Ko Baatein Hain Bahut Magar
Bas Aaj Mujhe Chup Rehne Do
Jhinjhod Diya Hai Zindagi Ne Aaj Itna
Ye Toofan Shaant To Hone Do
Apne Hi Jiwan Ki Raahon Mein Kaante
Apne Hi Haathon Se Phir Bone Do
Phir Se Bachpan Jeena Hai Mujhko
Koi Mere Woh Toote Khilone Do
Toote Hue Khwabon Ko Sametoon To Kaise
Mujhe Naye Kuch Sapane Salone Do
Pyar To Khud Se Bahut Kiya Hai
Aj Khud Se Nafrat Bhi Hone Do
Insaan Tha Shayad, Ye Kya Ban Gaya
Kuch Der Iska Ehsaas To Hone Do
Sapne Dekhne Hain Phir Se Mujhe
Kuch Der Ke Liye Bas Sone Do
Hansna Main Bhi Chahta Hoon Shayad
Aaj Magar Mujhe Kuch Rone Do
·
1 Like ·
Sep 02, 2016 at 20:09
Category: sad
Poetry / Poetry Sms
Muzammil Shahzad
Aisi Kiran Hoon
Aisi kiran hoon, jise suraj ne kabhi apna nahin samjha,
Aisi khusbu hoon, jise phoolon ne apna nahin samjha.
Aisi dhadkan hoon, jise dil ne kabhi apna na samjha,
Lekin khushnaseeb hoon, jo is sharabi ko maikhane ne apna samjha
Aisi khusbu hoon, jise phoolon ne apna nahin samjha.
Aisi dhadkan hoon, jise dil ne kabhi apna na samjha,
Lekin khushnaseeb hoon, jo is sharabi ko maikhane ne apna samjha
·
1 Like ·
Aug 13, 2016 at 23:08
Category: poetry-sms
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jab Se Maykhaane Men Jaane Laga Hoon
Jab se Maykhaane men jaane laga hoon
Dard-e-dil ko bhulaane laga hoon
Piya hai jaam saaqi ke hathon jabse
Geet maiN us ke gaane laga hoon
Diye hain zakham zamaane ne mujhko
Marham maiN may ki lagaane laga hoon
Pakda hai daaman maye ne mera jabse
Sukun mai yahan par paane laga hoon
Kho gaya hoon mai yahan ki fizaon me
Kadam rangeeniyon me badhaane laga hoon
Nahin jaanta tha maye ki khoobiyon ko ' ishk '
Iss khayal se rozana maykhaane jaane laga hoon

Aug 12, 2016 at 18:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabbat Hoon Mohabbat Karke Dekh
Mohabbat hoon Mohabbat Karke dekh
Main Mohabbat na doon to kehna!
Main Muskurahat hoon mujhe Hansa ker dekh
Na sajun tere honton per to kehna!
Main Khushboo hoon mujhe Mehsoos karke dekh
Na mehkun teri zindagi main to kehna!
Main Dil hoon mujhe Sun ker dekh
Na Dharkoon tere Dil main to kehna!
Main Phool hoon mujhe Laga ker dekh
Na mehkoon din raat to kehna!
Main Mohabbat hoon mujhe Apna karke dekh
Na banon main tera to kehna!

Aug 01, 2016 at 15:08
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Duniya Main Hoon Duniya Ka Talab Gaar Nahi Hoon
Duniya main hoon duniya ka talab gaar nahi hoon.
Baazaar se guzraa hoon Kharidaar nahi hoon
Zinda hoon magar zeest kii lazzat nahi baaqii
Har chand ki hoon hosh main hoshiyaar nahi hoon
Is Khaanaa-e-hastii se guzar jaunga belaus
Saayaa hoon faqat naqsh-e-diivaar nahi hoon
Afsurdaa hoon ibarat se dava kii nahi haajat
Gam kaa mujhe ye zauf hai biimaar nahi hoon
Wo gul hoon Khizaan ne jise barbaad kiyaa hai
Uljhon kisi daaman se main vo Khaar nahi hoon
Yaarab mujhe mehfooz rakh us but ke sitam se
main us kii inaayat kaa talabgaar nahi hoon

Jul 25, 2016 at 18:07
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hairaan Hoon K Yeh Kon Sa Dastoor E Wafa Hai
Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai,
Tu misl-e-rag e jaan hai to kioun mujh se juda hai,
Tu ehl-e-nazar to nahi tujh ko khabar kia,
Pehlu mein tere koi zamanay se khara hai,.
Likha hai mera naam samander peh hawa ne,
Aur dono ki fitrat mein sakoon hai na wafa hai,
Uthti hain jo pehlu se mere dard ki lehrein,
Betaab samander koi seenay mein daba hai,
Ay zeest k dozakh se guzartey huay lamho,
Socha hai kabhi tum ne keh jeena bhi saza hai

Jul 23, 2016 at 10:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabbat Tumse Hai Yeh Maanti Hoon Mein
Mohabbat tumse hai yeh maanti hoon mein
chahat bus tumhari hai yeh janti hoon mein
Aao apni zaat ke us pehlu se milaaaon tumhe
mein kya hoon aur kon hoon yeh bataaon tumhe
Mein apni maan ki tarbiyat mein dhala ik sancha hoon
apne baba ki umeedon se pur aik khaka hoon mein
Apne bhai ki ghairat hoon yeh jaanti hoon mein
is ghar ki izat hoon yeh maanti hoon mein
To phir behek jaaon phir mein yeh mumkin hi nahin
rishte aur bhi to hain sirf tum hi to nahin
Mohbabbat unhe bhi hai sirf tum ko to nahin....!!!!,

Jul 15, 2016 at 20:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Ko Jeenai Jarahi Hoon
Andhaire Mai Roshni Ka Diya
Jalane Jarahi Hoo'n
Raaho Ko Ujala Dai Vo
Jugnoo'n Ko Bulane Jarahi Hoo'n
Iss Gaihri Kaali Raat Mai
Ummid Ka Chirag Roshan
Rakhna
Mai Saher Ke Savairo Ko Laine
Jarahi Hoo'n
Mere Chaman Mai Khizao'n
Ka Muasam Thaira He Sahe
Kal Ki Aass Par Baharo Ko Laine Jarahi Hoo'n
Ghamo Say Ab Bhot Dino Tak Rahi Judi Hue
Massarto Ki Kalyo Dil Ki
Khushyuo Ko Mananai Jarahi
Hoo'n
Saihra Ki Tapish Mai
Chatakhti Hue Aarzoo'n
Aankho Ke Kuch Purane Khuwabo Jagane Jarahi Hoo'n
Raat Ke Sitaro Bhatke Musaafir Ko Rasta Dikha Do
Roshan Karo Ye Rahai
Zindagi Ko Jeenai Jarahi Hoo'n,

Jun 18, 2016 at 19:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sochta Hoon Ke Use Neend Bhi Aati Hogi
Sochta Hoon Ke Use Neend Bhi Aati Hogi,
Ye Meri Tarah Faqt Ashq Bahati Hogi,
Wo Meri Shakal Mera NaaM Bhulane Wali,
Apni Tasveer Se Kya Aankh Milati Hogi,
Is ZaMeen Par Bhi Hai Sailab Mere Ashqon Ka,
Mere MataM Ki Sada Arsh Hilati Hogi,
ShaaM Hote Hi Wo Chaukhat Pe Jala Ke ShaMa,
Apni Palkon Pe Kayi Khwaab Sulati Hogi,
Mere Tareek ZaMane Se Nikalne Wale,
Roshni Tujhko Meri Yaad Dilati Hogi,
Dilki MasooM Ragein Khud Hi Sulagti Hogi,
Joonhi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi...,

Jun 14, 2016 at 19:06
Category: sad
Sponored Video