Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gazal Sun Ker Pareyshan Ho Gaey Kya
Gazal Sun Ker Pareyshan Ho Gaey Kya
Kisi K Dihan Main Tum Kho Gaey Kya
Ya Bay-Gana Ravi Pahlay Nahi Thi
Kaho Tum Bhi Kisi K Ho Gaey Kya
Abhi Kuch Dair Pahlay Tak Yahin Thay
Zamana Ho Gaya Tum Ko Gaey Kya
Kisi Taza Rafaqat Ki Lalak Hai
Puranay Zakham Achay Ho Gaey Kya
Palat Ker Chara Ger Kun Aa Gaey Hain
Shab-E-Furqat K Maray Soo Gaey Kya
Faraz Itna Na Itra Hoslay Per
Isay Bhoolay Zamanay Ho Gaey Kya
Kisi K Dihan Main Tum Kho Gaey Kya
Ya Bay-Gana Ravi Pahlay Nahi Thi
Kaho Tum Bhi Kisi K Ho Gaey Kya
Abhi Kuch Dair Pahlay Tak Yahin Thay
Zamana Ho Gaya Tum Ko Gaey Kya
Kisi Taza Rafaqat Ki Lalak Hai
Puranay Zakham Achay Ho Gaey Kya
Palat Ker Chara Ger Kun Aa Gaey Hain
Shab-E-Furqat K Maray Soo Gaey Kya
Faraz Itna Na Itra Hoslay Per
Isay Bhoolay Zamanay Ho Gaey Kya
·
1 Like ·
Oct 13, 2016 at 11:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hum To Abhe Aur Zindagi K Talabgar Thay Jana
Moat Ne Is Khamoshi Se Hum Ko Abdi Nend Sulaya Shoaib
Hum To Abhe Aur Zindagi K Talabgar Thay Jana
Yeh Sb Us Bewafa Ki Mehrbanian Hen Kh Aj
Hamara Janaza Utha Itnay Zakham Khanay Ke Baad
Ab Jb Soay Hen Is Jahan Ko Chhor Ke Agaye Hen Phir Woh Jaganay
Yad Hamen Agaye Hen Woh Beetay Din Puranay
Phool Rakh Ke Hamari Qabar Pe Muskura Rahe Hen Woh
Jesay Hamari Bebasi Pe Khilkhila Rahey Hen Woh
Shoaib Ab Qabar Se Jaen To Jaen Kahan
Ab Subh-e-Sham Hamari Qabar Pe Anay Lagay Hen Woh

Oct 08, 2016 at 16:10
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aaiinaa E Khuloos O Wafaa Chuur Ho Gaye
Aaiinaa-E-Khuloos-O-Wafaa Chuur Ho Gaye
Jitne Chiraagh-E-Noor The, Benoor Ho Gaye
Maaloom Ye Huaa Keh Wo Raaste Ka Saath Thaa
Manzil Kareeb Aayii To Ham Duur Aa Gaye
Manzoor Kab Thii Hamko Watan Se Ye Dooriyaan
Haalaat Ki Jafaaon Se Majbuur Ho Gaye
Kuch Aa Gayii Ham Ahl-E-Wafaa Mein Bhi Tamkanat
Kuch Wo Bhii Apne Husn Pe Maghroor Ho Gaye
Jalte Chaara Garon Ki Aisii Inaayat Hui Hafeez
Jo Zakhm Bhar Chale The Wo Naasoor Ho Gaye

2 Like ·
Oct 07, 2016 at 06:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Qalam Par Qarz Hai Jaan Ka Ada To Ho Raha Ho Ga
Qalam Par Qarz Hai Jaan Ka Ada To Ho Raha Ho Ga
Magar Gumnaam Goshay Mai Koi To Ro Raha Ho Ga
Koi Ho Ga Kisi Sachi Azziyyat K Nashay Mai Gum
Koi Jhooti Khushi Ko Be Irada Dho Raha Ho Ga
Kisi Ko Yaad Aaye Ja Rahi Hogi Gai Patt Jharh
Koi Taaza Ruton K Beej Dil Mai Bo Raha Ho Ga
Koi Ukta Raha Ho Ga Kisi Purr Shor Mehfil Say
Koi Jadoo Bhari Tanhaiyon Mai Kho Raha Ho Ga
Kaheen Pardais Mai Be-Khuwab Aankhain Jagti Hongi
Koi Ik Yaad Orhay Apnay Ghar Mai So Raha Ho Ga
Har Ik Pal Ki Khabar Rakhnay Ki Aisi Kya Zaroorat Hai
Bhari Dunya Hai Iss Mai Kuch Na Kuch To Ho Raha Ho Ga

Oct 04, 2016 at 09:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Phir Aaj Koi Ghazal Us K Naam Na Ho Jaye
Phir Aaj Koi Ghazal Us k Naam Na Ho Jaye
Aaj Kahin Likhte Likhte Sham Na Ho Jaye
Kar Rahe Hain Intezar Us k Izhar-e-Mohabbat ka
Isi Intezar Mien Kahin umar tamam Na Ho Jaye
Nahi Laite Hain Uska Naam Sar-e-Aam Is Darr Se
Kahin Naam Uska Badnaam Na Ho Jaye
Mangtay Hain Dua Jab Wo Yaad Atay Hain
K Judai Mere Pyar Ka Anjam Na Ho Jaye
Sochte Hain Aksar Darte Hain Tanhai Mien
Uske Dil Mai Kisi Aur Ka Mukam Na Ho Jaye

Oct 03, 2016 at 08:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tujhey Ishq Ho Khuda Karay
• Tujhey Ishq Ho Khuda Karay .....
Koe Tujh Ko Uss Sey Juda Karay....
Tere Hont Hansna Bhool Jaayen...
Teri Ankh Purnam Raha Karay....
To Uss Ki Batain Kya Karay....
To Uss Ki Batain Suna Karay....
Ussay Dekh Kar To Ruk Paday....
Woh Nazar Jhuka Kar Chala Karay...
Tujhey Hijjar Ki Woh Jharri Lagay....
To Milan Ki Her Pall Dua Karay....
Tere Khuwab Bikhrain Tot Kar ....
To Kirche Kirche Chunna Karay....
To Nagar Nagar Phira Karay....
To Galli Galli Sada Karay.....
Tujhey Ishq Ho Phir Yakeen Hoo....
Ussay Tasbihoon Per Parha Karay....
Main Kahoon "Ishq Dhong" Hai....
To Nahin Nahin Kaha Karay.....!
Koe Tujh Ko Uss Sey Juda Karay....
Tere Hont Hansna Bhool Jaayen...
Teri Ankh Purnam Raha Karay....
To Uss Ki Batain Kya Karay....
To Uss Ki Batain Suna Karay....
Ussay Dekh Kar To Ruk Paday....
Woh Nazar Jhuka Kar Chala Karay...
Tujhey Hijjar Ki Woh Jharri Lagay....
To Milan Ki Her Pall Dua Karay....
Tere Khuwab Bikhrain Tot Kar ....
To Kirche Kirche Chunna Karay....
To Nagar Nagar Phira Karay....
To Galli Galli Sada Karay.....
Tujhey Ishq Ho Phir Yakeen Hoo....
Ussay Tasbihoon Per Parha Karay....
Main Kahoon "Ishq Dhong" Hai....
To Nahin Nahin Kaha Karay.....!
·
2 Like ·
Sep 29, 2016 at 12:09
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Maindak Zalzalay Se Paishge Agah Ho Jate Hain
قدرتی آفات میں عموماً سب سے مہلک زلزلے ثابت ہوتے ہیں کیونکہ ابھی تک کوئی ایسا نظام وضع نہیں کیا جاسکا جو اس ناگہانی خطرے کی پیشگی اطلاع دے سکے۔ لیکن اب سائنس دانوں کو معلوم ہوا ہے کہ مینڈک کا حسیاتی ن...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Sep 28, 2016 at 18:09
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Na Tujhe Chhor Saktey Hain Tere Ho Bhi Nahi Saktey
Na Tujhe Chhor Saktey Hain Tere Ho Bhi Nahi Saktey
Yeh Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Roo Bhi Nahi Saktey
Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamen Tarpaye Rakhta Hai
Tumhari Yaad Aati Hai Tou Phir Soo Bhi Nahi Saktey
Chupa Saktey Hain Aur Na Dikha Saktey Hain Logun Ko
Kuch Aise Dagh Hain Dil Par Jo Hum Dho Bhi Nahi Saktey
Kaha Tou Tha Chhor Denge Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhe Paa Tou Nahi Saktey Magar Kho Bhi Nahi Sakte
Hamara Ek Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab Tou
Jeeyein Kaise Kh Tum Sey Door Reh Bhi Nahi Saktey
Yeh Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Roo Bhi Nahi Saktey
Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamen Tarpaye Rakhta Hai
Tumhari Yaad Aati Hai Tou Phir Soo Bhi Nahi Saktey
Chupa Saktey Hain Aur Na Dikha Saktey Hain Logun Ko
Kuch Aise Dagh Hain Dil Par Jo Hum Dho Bhi Nahi Saktey
Kaha Tou Tha Chhor Denge Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhe Paa Tou Nahi Saktey Magar Kho Bhi Nahi Sakte
Hamara Ek Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab Tou
Jeeyein Kaise Kh Tum Sey Door Reh Bhi Nahi Saktey
·
2 Like ·
Sep 28, 2016 at 18:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Dalo
Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo
Tum Ne Bhi Suni Ho Gi Bari Aam Kahawat Hai
Anjaam Ka Ho Khatra Aaghaz Badal Dalo
Pur Soz Dilo Ko Jo, Muskan Na De Paye
Sur Hi Na Mile Jis Se Woh Saaz Badal Dalo
Dushman Ke Irado Ko Hai Zahir Agar Karna Ho
Tum Khel Wohi Khelo Andaaz Badal Dalo
Ay Dost Karo Himmat Kuch Door Sawera Hai
Gar Chahte Ho Manzil To Parwaz Badal Dalo

Sep 25, 2016 at 20:09
Category: sad
Sponored Video