Search
Articles / Featured
Ijunoon
Muktasir Tareen Computer Jald Market Me Dastayab Ho Ga
ایک برطانوی کمپنی نے دنیا کا سستا اور مختصر ترین پرسنل کمپیوٹر ایجاد کر لیا ہے جس کی قیمت صرف پچیس ڈالر ہے۔ محض ایک کریڈٹ کارڈ کے حجم کے برابر پی آئی رسپ بیری نامی کمپیوٹر جنوری دو ہزار بارہ میں فروخت...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 26, 2016 at 23:10
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Chalay Jo Ho To Bata K Jao
Chalay jo ho to bata k jao
Ke kitni shaamein udaas aankhon mein kaatni hein
Ke kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein
Bata k jao Kh kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai
Ke kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein
Bata k jao kh chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai
Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai
Bata k jao kh kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke
Kh kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein
Bata k jao ke panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha
To kia kahoon ga???
Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga
Bichhar ke tujhse Habeeb..kis se mila karoon ga
Bata k jao kh aankh barsi to koUn moti chuna karay ga
Udaas lamhon mein dil ki dhadkan suna karay ga
Bata k jao kh mousamon ko payam dene hein ya nahin
Fallak ko, taron ko, jugnuon ko slaam dene hein ya nahin
Bata k jao kh kis peh hai aitebaar karna
To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyaar karna
Bata k jao kh ab ravviyoon ki chaal kiya ho
Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho
Arooj kiya ho, zawaal kiya ho
Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho
Bata k jao kh meri halat pe chandni khilkhila parri to
main kya karoon ga
Bata k jao kh meri soorat pe teergi muskara parri to
Main kiya karoon ga
Bata k jao kh tum ko kitna pukaarna hai
Bichhar k tujhse yeh waqt kaise guzaarna hai
Ujaarna hai? nikhaarna hai?
Chalay jo ho to bata kay jao
kh loutna bhi hai ya... ???????

2 Like ·
Oct 26, 2016 at 02:10
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Wo Ishq Jo Hum Say Routh Gia
Wo Ishq Jo Hum Say Routh Gia
Ab Us Ka Haal Sunaye Kia
Koii Mehar Nahi Koii Qehar Nahi
Phir Sacha Sher Sunaye Kia
Ak Hijar Jo Hum Ko Lahaq Hay
Ta Dair Usay Dohraye Kia
Wo Zehar Jo Dil Main Utaar Liya
Phir Us Kay Naaz Uthaye Kia
Phir Aankhain Lahoo Say Khali Hain
Ye Shamein Bujhnay Wali Hain
Hum Khud Bhi Kisi Kay Sawali Hain
Is Baat Per Hum Sharmaye Kia
Ak Aag Ghum -E- Tanhaii Ki
Jo Saray Badan Main Phail Gaii
Jab Jism Hi Sara Jalta Ho
Phir Daaman -E- Dil Bachaye Kia
Hum Nagma Sira Kuch Ghazlon Kay
Hum Surat Gar Kuch Khuwabon Kay
Be-Jazba -E- Shouq Sunaye Kia
Koii Khowab Na Ho Tu Bataye Kia
Ab Us Ka Haal Sunaye Kia
Koii Mehar Nahi Koii Qehar Nahi
Phir Sacha Sher Sunaye Kia
Ak Hijar Jo Hum Ko Lahaq Hay
Ta Dair Usay Dohraye Kia
Wo Zehar Jo Dil Main Utaar Liya
Phir Us Kay Naaz Uthaye Kia
Phir Aankhain Lahoo Say Khali Hain
Ye Shamein Bujhnay Wali Hain
Hum Khud Bhi Kisi Kay Sawali Hain
Is Baat Per Hum Sharmaye Kia
Ak Aag Ghum -E- Tanhaii Ki
Jo Saray Badan Main Phail Gaii
Jab Jism Hi Sara Jalta Ho
Phir Daaman -E- Dil Bachaye Kia
Hum Nagma Sira Kuch Ghazlon Kay
Hum Surat Gar Kuch Khuwabon Kay
Be-Jazba -E- Shouq Sunaye Kia
Koii Khowab Na Ho Tu Bataye Kia
·
1 Like ·
Oct 22, 2016 at 14:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Haseen Lagta Tha Hum Ne Jin Dino Mein Usko Dekha Tha

Basanti Mosamon , Bheegi Ruton Mein Usko Dekha Tha
Usi K Aks Ne Ankhain Khumaar E Khuvaab Se Bhar Dain
Chamaktey Chand Jesey Aaiino Mein Usko Dekha Tha
Jisey Ab Rait K Kachey Gharondon Se Mohabbat Hai
Sumander K Sunehrey Paniyun Mein Usko Dekha Tha
Jo Tanhayee Ki Chadar Orh Kar Sota Hai Rasston Mein
Kabi Is Shehar Ki Sab Mehfilon Mein Usko Dekha Tha
Bagolon Ko Pehan Kar Ab Jo Sehra Mein Bhatakta Hai
Gulab-O-Yasmeen K Junglon Mein Usko Dekha Tha
Jo Apney Qarya E Dil Ki Udasi Se Behalta Hai
Ghataon Mein Ghiri Ghum Bastiyun Mein Usko Dekha Tha
Zaroorat Hai Jisey Ab Dhoop Ka Ujla Kafan Mohsin
Badan Par Baraf Orhey Parbaton Mein Usko Dekha Tha

Oct 20, 2016 at 15:10
Category: sad
Social Wall / Photos
Sehar Saeed
Jin Lamhon Mein Aap Muskuratay Ho Woh Lamhe Kabi Khtam Na Ho
·
2 Like ·
Oct 19, 2016 at 13:10
Category: photos
Social Wall / Photos
Sehar Saeed
Jin Lamhon Mein Aap Muskuratay Ho Woh Lamhe Kabi Khtam Na Ho
·
2 Like ·
Oct 19, 2016 at 03:10
Category: photos
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Zamana Ho Gaya Hai Un Ko Mehmaan Kiye Hue
Har Ek Harf-E-Aarzu Ko Dastan Kiye Hue
Zamana Ho Gaya Hai Un Ko Mehmaan Kiye Hue
Surur-E-Aish Talkhi-E-Hayat Ne Bhula Diya
Dil-E-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-E-Jan Kiye Hue
Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue Vo Ayenge
Vo Ayenge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue
Sukun-E-Dil Ki Rahaton Ko Un Se Mang Loon
Sukun-E-Dil Ki Rahaton Ko Bekaran Kiye Hue
Vo Ayenge To Ayenge Junun-E-Shauq Ubhaarne
Vo Jayenge To Jayenge Tabahiyan Kiye Hue
Main Un Ki Bhi Nigah Se Chhupa Ke Un Ko Dekh Loon
K Un Se Bhi Hai Aj Rashk Bad-Guman Kiye Hue

Oct 17, 2016 at 19:10
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tuu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apanaa Hai

Ke Ham Ko Teraa Nahin Intazaar Apanaa Hai
Mile Koi Bhi Teraa Zikr Chher Dete Hain
Ke Jaise Saaraa Jahaan Raazdaar Apanaa Hai
Wo Duur Ho To Bajaa Tark-E-Dosti Kaa Khayaal
Wo Saamane Ho To Kab Ikhtiyaar Apanaa Hai
Zamaane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Liyaa Dil Se
Is Aasre Pe Kh Ik Ghamgusaar Apanaa Hai
Faraz Raahat-E-Jaan Bhi Vahi Hai Kyaa Kije
Wo Jis Ke Haath Se Sinaafigaar Apanaa Hai

Oct 16, 2016 at 15:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Be Niyaaz E Gam E Paimaan E Vafaa Ho Jaanaa
Be-Niyaaz-E-Gam-E-Paimaan-E-Vafaa Ho Jaanaa
Tum Bhii Auron Kii Tarah Mujh Se Judaa Ho Jaanaa
Main Bhii Palakon Pe Sajaa Lon Ga Lahuu Kii Bondain
Tum Bhii Paabasta-E-Zanjeer-E-Hinaa Ho Jaanaa
Khalq Kii Sangzani Merii Khataaon Kaa Silaa
Tum To Maasoom Ho Tum Door Zaraa Ho Jaanaa
Ab Mere Vaaste Taryaaq Hai Ilhaad Kaa Zahar
Tum Kisii Aur Pujaari Ke Khudaa Ho Jaanaa

Oct 14, 2016 at 09:10
Category: sad
Sponored Video