Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Koi Hum Sukhan Bhi To Chahiye
Koi Hum-Sukhan Bhi To Chahiye
Koi Hamnawa Bhi To Chahiye
Ye Safar Kitna Taveel Hay
Koi Rahnuma Bhi To Chahiye
Mere Sath Hay Mera Humsafar
Woh Ghamon Say Hay Mere Be-Khabar
Jo Alm Ko Mere Qalam Kare
Koi Dil Ruba Bhi To Chahiye
Ye Jahan Kitna Ajeeb Hay
Jo Tabeeb Hay Wo Raqeeb Hay
Mein Karun To Kis Say Gila Karun
Mujhey Mashwara Bhi To Chahiye
Mein Gham-E-Alm Ki Misal Hon
Tumhe Ae Dost Ye Khabar Nahi
Mujhey Dekh Lo Zara Ghor Say
Tumhe Aina Bhi To Chahiye.....
Koi Hamnawa Bhi To Chahiye
Ye Safar Kitna Taveel Hay
Koi Rahnuma Bhi To Chahiye
Mere Sath Hay Mera Humsafar
Woh Ghamon Say Hay Mere Be-Khabar
Jo Alm Ko Mere Qalam Kare
Koi Dil Ruba Bhi To Chahiye
Ye Jahan Kitna Ajeeb Hay
Jo Tabeeb Hay Wo Raqeeb Hay
Mein Karun To Kis Say Gila Karun
Mujhey Mashwara Bhi To Chahiye
Mein Gham-E-Alm Ki Misal Hon
Tumhe Ae Dost Ye Khabar Nahi
Mujhey Dekh Lo Zara Ghor Say
Tumhe Aina Bhi To Chahiye.....
·
1 Like ·
Sep 18, 2016 at 17:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisi Ki Hum Dua Hone Lage Hain
Kisi Ki Hum Dua Hone Lage Hain
Buhat Ashufta Paa Hone Lage Hain
Khuda K Naam Lewaaon Ko Dekho
Zameen Peh Khud Khuda Hone Lage Hain
Wo Mujh Se Is Tarah Milta Hai Jaise
Umer Bher Ko Juda Hone Lage Hain
Ho Mere Sheher Ka Allah Nigehban
Muhafiz Raah-zan Hone Lage Hain
Ajab Hai KASH Shehre Dil Ka Alam
K Hum Khud Se Khafa Hone Lage Hain,
Buhat Ashufta Paa Hone Lage Hain
Khuda K Naam Lewaaon Ko Dekho
Zameen Peh Khud Khuda Hone Lage Hain
Wo Mujh Se Is Tarah Milta Hai Jaise
Umer Bher Ko Juda Hone Lage Hain
Ho Mere Sheher Ka Allah Nigehban
Muhafiz Raah-zan Hone Lage Hain
Ajab Hai KASH Shehre Dil Ka Alam
K Hum Khud Se Khafa Hone Lage Hain,
·
2 Like ·
Sep 16, 2016 at 20:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tum Ne Hamen Bhula Diya, Hum Na Tumhain Bhula Sakey
Hum Main Hi Thi Na Koi Baat, Yaad Na Tum Ko Aa Sakey
Tum Ne Hamen Bhula Diya, Hum Na Tumhain Bhula Sakey
Tum Hi Na Sun Sako Agar, Qissa-E-Gham Sune Ga Kaun
Kis Ki Zubaan Khule Gi Phir, Hum Na Agar Suna Sakey
Raunaq-E-Bazm Ban Gaye, Lab Pe Hikaayaten Raheen
Dil Main Shikayaten Raheen, Lab Na Magar Hila Sakey
Shouq-E-Wisaal Hai Yahan, Lab Per Sawal Hai Yahan
Kis Ki Majaal Hai Yahan, Hum Se Nazar Mila Sakey
Hum Main Hi Thi Na Koi Baat, Yaad Na Tum Ko Aa Sakey
Tum Ne Hamen Bhula Diya, Hum Na Tumhain Bhula Sakey..

Sep 16, 2016 at 14:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ho Ghazal Or Dil Aashiqana Ho
Ho Ghazal Or Dil Aashiqana Ho,
Dil Sambhlne Ka Kuch Bahana Ho,
Or Kiya Chahiye Zamaney Ko,
Kehney Sunney Ko Ik Fasana Ho,
Zindagi Nazar Karna Parti Hai,
Ik Lamha Agar Churana Ho,
Ham Jo Kehtey Hain Kar Guzrte Hain,
Soch Lena Agar Aazmana Ho,
Dushmani Bhi Hamain Gawara Hai,
Shart Yeh Hai Ke Mukhlisana Ho...
Dil Sambhlne Ka Kuch Bahana Ho,
Or Kiya Chahiye Zamaney Ko,
Kehney Sunney Ko Ik Fasana Ho,
Zindagi Nazar Karna Parti Hai,
Ik Lamha Agar Churana Ho,
Ham Jo Kehtey Hain Kar Guzrte Hain,
Soch Lena Agar Aazmana Ho,
Dushmani Bhi Hamain Gawara Hai,
Shart Yeh Hai Ke Mukhlisana Ho...
·
1 Like ·
Sep 16, 2016 at 01:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ye Zaroori Hay K Hum Tumse Muhabbat Karlen
Ye Zaroori Hay K Hum Tumse Muhabbat Karlen
Or Phir Hum Tumhen Paayen Ye Zaroori To Nahi
Ye Zaroori Hay K Hum Ehd E Wafa Bhi Karlen
Or Phir Usko Nibhayen Ye Zaroori To Nahi
Haan Zaroori Hay K Ik Saath Chalain Hum Donon
Or Manzil Ko Bhi Paayen Ye Zaroori To Nahi
Gar Zaroori Hay Tumhen Tark E Taaluq Karna
Chorr Kar Hum Bhi Chale Jaayen Ye Zaroori To Nahi
Ye Zaroori Hay Sunayen Unhen Afsana E Dil
Zakhm E Dil Sab Ko Dikhaayain Ye Zaroori To Nahi
Gar Zaroori Hay Teri Bazm E Sukhan Main Shirkat
Sher Hum Apne Sunaayen Ye Zaroori To Nahi

Sep 12, 2016 at 12:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Is Zamanay Say Hum Ne Koi Gilaa Rakhain Gay
Is Zamanay Say Hum Ne Koi Gilaa Rakhain Gay
Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay
Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay
Jaan De Dain Ge Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gay
Sab Hata Dain Ge Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay
Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gay Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gay.

Sep 09, 2016 at 03:09
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Rawan Saal Ka Aakhri Sooraj Girhan 25 November Ko Ho Ga
رواں سال کا آخری سورج گرہن جمعہ 25 نومبر کو ہوگا تاہم پاکستان سے اس کا مشاہدہ نہیں کیا جا سکے گا۔ محکمہ موسمیات کے مطابق 25 نومبرکو جزوی سورج گرہن ہوگا۔ پاکستانی وقت کے مطابق سورج گرہن صبح 9 بج کر 23...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Sep 05, 2016 at 02:09
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sub Ki Khushyun K Liye Hum Kia Nahi Karte
Sub Ki Khushyun K Liye Hum Kia Nahi Karte
Aur Khud Apne Dukhoun Ki Parwa Nahi Karte
Afsana Banati Hai To Banati Rahe Dunya
Hum Aise Hain K Murd Kar Kabhi Dekha Nahi Karte
Har Ranj Musibat Ko Hans Kar Saha Hum Ne
Shaano Pe Rakh K Sar Kisi K Hum Roya Nahi Karte
Halaat Badalne Se Badal Jaate Hain Kuch Log
Hum Mausamon Ko Dekh Kar Bhi Badla Nahi Karte
Guzar Hi Gai Kuch Aur Guzar Jaaye Gi
Hum Beetay Dino Ki Janib Ishara Nahi Karte
Raat K Sannatay Mein Na Royen Gen Kabhi
Hum Din Se Kabhe Aisa Wada Nahi Karte...

Sep 03, 2016 at 16:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho
Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho
Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho
Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho
Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho
Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho
Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho
Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho.
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho
Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho
Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho
Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho
Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho
Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho
Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho
Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho.
·
1 Like ·
Sep 01, 2016 at 23:09
Category: sad
Sponored Video