Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Jaag Jati Hay
Suno ay chand c larki
Abhi tum keh rahi thi na
Tumhain mujh se mohabbat ho nahi sakti
Chalo maana k yeh such hai
Magar aye chand c larki
Mujah itna batao tum
K jab mosam badalte hain
Gulon main rang bharte hain
To phir kiyu muztarib ho kar
Akele pan se ghabra kar
Hawa ko raaz deti ho
Mujah awaaz deti ho
Suno aye chand c lerki
Tumhare saamne koi mera jab naam leta hai
To phir kiyu chonk jaati ho
Chalo maana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti
Magar itna samajh lo tum
Jahan chahat nahi hoti
Wahan nafrat k hone ka koi imkaan nahi hota
Mera dawa hai chahat main
Jahan nafrat nahi hoti
Wahan aksar yeh dekha hai
Agar kuch waqt kat jaye
Samay ki dhool chhat jaye
Tou wehshat bhaag jati hai
Mohabbat jaag jati hay....

·
1 Like ·
Jun 05, 2017 at 06:06
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ye Ajab Khail Hay
ye ajab khail hay
Es meiN hota hay youN
ham jisy chahtay haiN dil-o-jaN se wo
chahta hay dil-o-jan hi se
kisi aur ko
khail k zabtoN k mutabiq hmaiN
donoN janib k jazboN ka
ik sath hi rakhna hota hay pas
laikin aksar ye dekha gaya hay
k es khail meiN
her khilaRi
apny jazbat ki ro mei behtay hoe
aik janib hi rakhta hay apni nazar
dosri samt ka us ko ehsas kya
koi us ki tawajo ka talib rahy
us k wapas palaTnay ki hasrat liay
ik charag-e-sar-e-rehguzar ki tarha
khoon-e-dil ko jalaye, rahy muntazar
laikin us ki shab tar ki
ho na paaye sahar
ye ajab khail hay
ye ajab khail hay
es meiN youN bhi hua
jeet k shoq meiN
kitny hi zorawar khilaRi jo thy
munh k bal wo giray
beshtar in meiN aisy thy jo
na idher k rahy na udher k rahy
sirf chaand ik thy wo
surkhuru jo huay
ye ajab khail hay..
Es meiN hota hay youN
ham jisy chahtay haiN dil-o-jaN se wo
chahta hay dil-o-jan hi se
kisi aur ko
khail k zabtoN k mutabiq hmaiN
donoN janib k jazboN ka
ik sath hi rakhna hota hay pas
laikin aksar ye dekha gaya hay
k es khail meiN
her khilaRi
apny jazbat ki ro mei behtay hoe
aik janib hi rakhta hay apni nazar
dosri samt ka us ko ehsas kya
koi us ki tawajo ka talib rahy
us k wapas palaTnay ki hasrat liay
ik charag-e-sar-e-rehguzar ki tarha
khoon-e-dil ko jalaye, rahy muntazar
laikin us ki shab tar ki
ho na paaye sahar
ye ajab khail hay
ye ajab khail hay
es meiN youN bhi hua
jeet k shoq meiN
kitny hi zorawar khilaRi jo thy
munh k bal wo giray
beshtar in meiN aisy thy jo
na idher k rahy na udher k rahy
sirf chaand ik thy wo
surkhuru jo huay
ye ajab khail hay..
·
1 Like ·
Jun 02, 2017 at 20:06
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tera Daaman To Bhara Hay Sitaron Say
Mujhy jeenay ki umeed dobara day do
Meri doobti kashti ko kinara dy do
Main dard k sahil pay tanha khara hun
Phir aa k apni baahon ka sahara day do
Tera daaman to bhara hay sitaron say
Mujhy sadqay mein ik sitara day do
Mery aangan mein aj andhera ha bohat
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do
Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas
Maine kab kaha waqt apna mujhy sara day do

May 28, 2017 at 16:05
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Kya Jurum Ka Talouq Jeanz Se Hay?
آپ نے اکثر یہ پڑھا اور سنا ہوگا کہ بری صحبت ، غربت اور حالات انسان کو مجرم بنادیتے ہیں،لیکن اب ایک حالیہ تحقیق سے ظاہر ہوا ہے کہ اکثر جرائم پیشہ افراد پیدا ہی مجرم ہوتے ہیں، حالات صرف ان کے اندر چھپے ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
May 26, 2017 at 06:05
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aankhain Bhi Wahi Hain Dareecha Bhi Wahi Hay
Aankhain Bhi Wahi Hain Dareecha Bhi Wahi Hay
Or Soch Kay Aangan Main Utarta Bhi Wahi Hay
Jis Nay Meray Jazbon Ki Sadaqat Ko Na Jaana
Ab Meri Rafaqat Ko Tarasta Bhi Wahi Hay
es Dil Kay Kharabay Say Guzar Kis Ka Howa Hay
Aankhain Bhi Wahi Hain Hont Bhi Wahi Hay Lehja Bhi Wahi Hay
Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhaii Nay Tujh Say
es Shaher Ki Deewar Pay Likha Bhi Wahi Hay
Woh Jis Nay Dia Mujh Ko Mohabbat Kay Khazanay
Badal Ki Tarah Aankh Say Barsa Bhi Wahi Hay

May 23, 2017 at 23:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meri Jaan Tum Se Itna Pyar Koun Kerta Hay
Meri jaan tum se itna pyar koun kerta hay
Marz dene lage taskeen tou chara koun kerta hay
kayi gumnaam khushian phootti hain raat bher dil mein
Na jane khwab mein aa ker ishara koun kerta hay
Kabhi socha nahin tum ne k tum ko aik muddat se
Samay ki oot mein chup ker pukara koun kerta hay
Abhi tou mil k chalte hain samander ki musafat ko
Phir us k baad dekhain gaye kinara koun kerta hay
Ghatayen koun lata hay meri ankhon k mousam mein
Phir us k baad barish ka nazara koun kerta hay

May 23, 2017 at 11:05
Category: love
Poetry / Love
Humaray Rishtay Ka Naam Kia Hay
Kabhi Socha Hay
Humaray Rishtay Ka Naam Kia Hay
Mohabbat, Zarorat, Khowahish, Janoon, Ishq Ya
Wo Rishta Jo
Aasmaan Ka Zameen Say Hay
Barish Ka Sehra Say Hay
Haqiqat Ka Khowabon Say Hay
Din Ka Raat Say Hay
Yeh Kabhi Ak Dosray Say
Mil Nahi Paatay
Lakin Ak Dosray Kay Bagair Adhoray Bhi Hain
Shayed Aisa Hi Kuch Rishta
Mera Or Tumhara Bhi Hay

2 Like ·
May 16, 2017 at 13:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kuch Bhi To Nahi Hay
Maine Hmesha yhi chaha
K tumhen aisa tohfa paish krun
Jo sary jug se nirala ho
Jis men taron ki chamak
Gulabon ki mehak
Or jazbon ki dhanak shamil ho
Mgr Hmesha ki tarha ab bhi
Ae Achy Dost tumhary liye
Mere dareeda daman men
Dua k liye uthti
do Khali hathelion k siwa
kuch
bhi to
nahi
hay
K tumhen aisa tohfa paish krun
Jo sary jug se nirala ho
Jis men taron ki chamak
Gulabon ki mehak
Or jazbon ki dhanak shamil ho
Mgr Hmesha ki tarha ab bhi
Ae Achy Dost tumhary liye
Mere dareeda daman men
Dua k liye uthti
do Khali hathelion k siwa
kuch
bhi to
nahi
hay
·
1 Like ·
May 10, 2017 at 14:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ishq Kuch Aisay Mitata Hay Nishaan e Hasti
AashK Girtay Hain Tu Har Saans Pighal Jati Hay
Day K ik Dard Naya Har Shaam Dhal Jati Hay
Tujh Ko Seenay Say Laga Kar Mujhay Jannat Ka Sakoon
Tujh Say Bichron Tu Meri Jaan Nikal Jati Hay
Ishq Kuch Aisay Mitata Hay Nishaan -e- Hasti
Jaisay K Raat Ujaalay Ko Nigal Jati Hay
Tu Ager DIL Pay Meray Haath Rakh Day Tu
Tootti Saans Bhi Kuch Dair Sambhal Jati Hay
Zakham Bharta Hi Nahi Teray Judaii Ka Mager
Phir Teri YaaD Naya Dard Ugal Jati Hay

May 04, 2017 at 12:05
Category: sad
Sponored Video