Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Zindagi Ka Safar Hai Yeh Kaisa Safar
Zindagi Ka Safar Hai Yeh Kaisa Safar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi
Hai Yeh Kaisi Dagar Chalte Hai Sab Magar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi
Zindagi Jo Bahut Pyaar Humne Diya
Maut Se Bhi Mohabbat Nibhaye ge Hum
Roote Roote Zamane Mein Aaye Magar
Hanste Hanste Zamane Se Jaain ge Hum
Jaain ge Par Kidhar Hai Kise Yeh Khabar
Koi Samjhe Nahi Koi Jaana Nahi
Aise Jeevan Bhi Hai Jo Jiye Hee Nahi
Jinko Jeene Se Pehle Hee Maut Aagayi
Phool Aise Bhi Hai Jo Khile Hee Nahi
Jinko Khilne Se Pehle Fiza Kha gai
Hai Pareshan Nazar Thak Gaye CharAgar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi!

·
1 Like ·
May 31, 2017 at 06:05
Category: love
Poetry / 0
Ijunoon
Zindagi ek Raat hai
Zindagi ek
Raat hai
Jis main Na Jaane
Kitne Khuwab
hain
Jo mil Jayen wo
Apne hain
Jo Toot Jayen wo
Sapne hain!
Raat hai
Jis main Na Jaane
Kitne Khuwab
hain
Jo mil Jayen wo
Apne hain
Jo Toot Jayen wo
Sapne hain!
·
2 Like ·
May 29, 2017 at 23:05
Category: 0
Advertisement
Poetry / Love
Pichlay Mausam Ki Yaad Baaqi Hai
aaj barson kay baad dekha hai
ab bhi aankhon ka rang gehra hai
aur mathay ki sanwali si lakeer
dil main kitnay diye jalati hai
teri qaamat kay saaye ki khushboo
guftgo main bahaar ka mausam
be sabab aitbaar ka mausam
kyun mujhay saaray dhang yaad rahay
kitni hairaan ho gayi khud per
main tujhay aaj tak nahiin bhooli
pichlay mausam ki yaad baaqi hai
ab bhi aankhon ka rang gehra hai
aur mathay ki sanwali si lakeer
dil main kitnay diye jalati hai
teri qaamat kay saaye ki khushboo
guftgo main bahaar ka mausam
be sabab aitbaar ka mausam
kyun mujhay saaray dhang yaad rahay
kitni hairaan ho gayi khud per
main tujhay aaj tak nahiin bhooli
pichlay mausam ki yaad baaqi hai
·
1 Like ·
May 29, 2017 at 16:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Janay Wo Mangnay Jata Hai Duaaon Mai Kisa
Mom ki tarah pighaltay hue dekha us ko
Rut jo badli tu badaltay hue dekha us ko
wo jo kanton ko bhi narmi se chhua kerta tha
Hum ne pholon ko masaltay hue dekha us ko
Janay kis gham ko chupanay ki tamana hai usay
Aj har baat pe hanstay hue dekha us ko
Janay wo mangnay jata hai duaaon mai kisay
Hath uthatay hi sisaktay hue dekha uss ko

May 29, 2017 at 04:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Rooh Mei Teri Muhabbat Ka Asar Hai Ab Tak
ROOH MEI TERI MUHABBAT KA ASAR HAI AB TAK
JISM TO KHAAK HUA AANKH TO TAR HAI AB TAK
RANG JO CHHOR GAEE HAATH PAY MERAY TITLI
MERAY NAGHMON MEI WOHI RANG E HUNAR HAI AB TAK
CHAND KA TUKRA KAHA THA TUJHAY MAIN NAY IK SHAB
JUSTAJU MEI TERI SARKARDAAN QAMAR HAI AB TAK
BUN GAEY FARISHTAY SUB HE JO THAY INSAAN YAHAN
DAR PAR TERAY JO KHARRA HAI WO BASHAR HAI AB TAK
CHHOR K JA BHI CHUKA MUJHKO WO TANHA LEKIN
DEKHTA HOON TO TA HAD E NAZAR HAI AB TAK

May 26, 2017 at 21:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Us Nay Kaha Mujh Say Tumhen Kitna Pyar Hai
US NAY KAHA MUJH SAY TUMHEN KITNA PYAR HAI
MEIN NAY KAHA SITARON KA BHI KOI SHUMAAR HAI
US NAY KAHA KON TUMHEN HAI BOHAT AZEEZ
MEIN NAY KAHA DIL PAY JISAY IKHTIYAR HAI
US NAY KAHA KON SA TOHFA HAI MANPASAND
MEIN NAY KAHA WO SHAM JO AB TAK UDHAAR HAI
US NAY KAHA KHIZAAN MEI MULAQAT KA JAWAZ
MEIN NAY KAHA QURB KA MATLAB BAHAAR HAI
US NAY KAHA SAINKRON GHAM ZINDAGI MEI HAIN
MEIN NAY KAHA KEH GHAM NHI JAB GHAMGUSAAR HAI
US NAY KAHA SATH KAB TAK NIBHAO GAY
MEIN NAY KAHA JITNI YEH SAANSON KI TAAR HAI
US NAY KAHA MUJH KO YAQEEN AAEY KIS TARAH
MEIN NAY KAHA KE NAAM MERA AITBAAR HAI

May 26, 2017 at 09:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ek Vada Hai Kisi Ka Jo Vafaa Hota Nahi
ek vada hai kisi ka jo vafaa hota nahi
marmari taron bhari raaton men kya hota nahi
ji men ata hai ulaT den un ke chehare se naqab
hausala karte hain lekin hausala hota nahi
shama jis ki aabaroo par jaan de de jhuum kar
vo patanga jal to jata hai fana hota nahi

May 25, 2017 at 01:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Samne Hai Jo Usay Log Bura Kehate Hain
samne hai jo usay log bura kehate hain
jisko dekha hi nahi usko Khuda kehate hain
zindagi ko bhi sila kehate hain kahnay wale
jeenay wale to gunahon ki saza kehate hain
fasale umar ke kuch or barha deti hai
jane kyu log usay phir bhi dava kehate hain
chaand masoom se patton ka lahuu hai "Fakir"
jis ko mahabuub ke haathon kii hinaa kahate hain

May 22, 2017 at 11:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Teri Khushbu Ka Pataa Karti Hai
TERI KHUSHBU KA PATAA KARTI HAI
MUJH PAY EHSAAN HAWA KARTI HAI
SHAB KI TANHAI MEI AB TO AKSAR
GUFTAGU TUJH SAY RAHA KARTI HAI
DIL KO US RAAH PAY CHALNA HEE NAHI
JO MUJHAY TUJH SAY JUDA KARTI HAI
ZINDAGI MERI THEE LEKIN AB TO
TERAY KEHNAY MEI RAHA KARTI HAI
US NAY DEKHA HE NAHI WARNA YEH AANKH,
DIL KA EHWAAL KAHA KARTI HAI
SHAAM PARTAY HI KISI SHAKHS KI YAAD
KOOCHA E JAAN MEI SADAA KARTI HAI
MUJH PAY EHSAAN HAWA KARTI HAI
SHAB KI TANHAI MEI AB TO AKSAR
GUFTAGU TUJH SAY RAHA KARTI HAI
DIL KO US RAAH PAY CHALNA HEE NAHI
JO MUJHAY TUJH SAY JUDA KARTI HAI
ZINDAGI MERI THEE LEKIN AB TO
TERAY KEHNAY MEI RAHA KARTI HAI
US NAY DEKHA HE NAHI WARNA YEH AANKH,
DIL KA EHWAAL KAHA KARTI HAI
SHAAM PARTAY HI KISI SHAKHS KI YAAD
KOOCHA E JAAN MEI SADAA KARTI HAI
·
1 Like ·
May 19, 2017 at 16:05
Category: love
Sponored Video