Search
Poetry / Love
Tumhara Aur Maira Woh Taaluq Hai
Tumhara Aur Maira Woh Taaluq Hai
Jo Kisi Kitaab Mein Darj Nahin
Tumhari Awaaz Aur Mairi Samaat Ne
Hum Dono Ke Darmiyaan
Aik Rabt Qayam Kiya Hai
Humarey Darmiyaan
Koi Rishta Nahin Hai
Phir Bhi Hum Aik Doosrey Ke Liye
Laazim o Malzoom Hain!!
Tum Mairey Liye...
Behtey Darya Ki Maanind Ho
Jo Har Rishtey Ko Sairaab Karta Jaata Hai!!
Aur Main Tumharey Liye...
Aik Moj Ki Maanind
Jo Darya Say Alag Ho Jaaye To...
Tishnagi Uss Ka Muqadar Ban Jaati Hai!!
es Liye Mairi Dua Hai Ke
Mairi Tum Say Chahat Ko...
Kabhi Zawaal Na Aaye!!!!!

·
1 Like ·
Jun 09, 2017 at 11:06
Category: love
Poetry / Love
Teri Saanson Mein Gulaabon Si Mehak Lagti Hai
Teri saanson mein gulaabon si mehak lagti hai
Husun jis rung mein ho teri jhalak lagti hai
Shaam hotay hi nigaahon mein uter aatay ho
Dil ki dherkan teray pairon ki dhamak lagti hai
es liye phool main collar mein saja layta hoon
es ki khushboo teray aanchal ki mehak lagti hai
Kisi baarish k barastay hi jo ghar aati hai
Teri aankhon mein wo rangon ki dhanak lagti hai
es hi liye to main chand k husun ka garweedah hoon
es k paikar mein teri aankhon ki chamak lagti hai
Jaanay kiun wo meri aankhon ko bhala lagta hai
Jis k chehray pay zara teri jhalak lagti hai.

Jun 09, 2017 at 04:06
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Agarchay Tu Koi Suraj Nhi Hai
AGARCHAY TU KOI SURAJ NHI HAI
MGAR MERI ZAMEEN K AASMANON PAR
JAHAN TAK BHI NAZAR JAAEY
FAQT TERA UJALA HAI
TU MERI ZAAT KA ROSHAN HAWALA HAI
MGAR MERI ZAMEEN K AASMANON PAR
JAHAN TAK BHI NAZAR JAAEY
FAQT TERA UJALA HAI
TU MERI ZAAT KA ROSHAN HAWALA HAI
·
1 Like ·
Jun 06, 2017 at 09:06
Category: love
Poetry / Sad
Yeh Pehlay Hijar Ka Qissa Hai
Yeh Pehlay Hijar Ka Qissa Hai
Go Aaj k Din Ki Baat Nhi
Kuch Umar Bhi Thi Deewanon c
Kuch Chaal Bhi Thi Mastanoon c
Hathon Mein Phool Sajatay Thay
Sajh Dhaj Kar college Jatay Thay
Kab Itnay Seedhay Sadhay Thay
Uss Waqt Tu Hum Shehzaday Thay
Phir Ik Chehra Bha Sa gia
Nazdeek Wo Dil k Aa Sa gia
Phir wo Tha Aur Baatain Us ki
Din Sab Uss k Ratain Uss ki
Phir Aisa Bichra Mila Nhi
es Dil ka Phool Phir Khila Nhi
Phir Uss k Badd Jo Log Milay
es Dil ko Jitnay Rog Milay
Har Sans Ussi k Naam Rahi
Har Sham Ussi ki Sham Rahi
Ye Pehlay HIJAR ka Qissa Hay
Jo Aaj Bhi Hum Pe Taari Hai
Ye HIjr abhi tk jaari hay..
Go Aaj k Din Ki Baat Nhi
Kuch Umar Bhi Thi Deewanon c
Kuch Chaal Bhi Thi Mastanoon c
Hathon Mein Phool Sajatay Thay
Sajh Dhaj Kar college Jatay Thay
Kab Itnay Seedhay Sadhay Thay
Uss Waqt Tu Hum Shehzaday Thay
Phir Ik Chehra Bha Sa gia
Nazdeek Wo Dil k Aa Sa gia
Phir wo Tha Aur Baatain Us ki
Din Sab Uss k Ratain Uss ki
Phir Aisa Bichra Mila Nhi
es Dil ka Phool Phir Khila Nhi
Phir Uss k Badd Jo Log Milay
es Dil ko Jitnay Rog Milay
Har Sans Ussi k Naam Rahi
Har Sham Ussi ki Sham Rahi
Ye Pehlay HIJAR ka Qissa Hay
Jo Aaj Bhi Hum Pe Taari Hai
Ye HIjr abhi tk jaari hay..
·
1 Like ·
Jun 06, 2017 at 03:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usay Kehna
Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna
Kabhi milay to yehi baat usay kehna
Wo sath thi to zamana tha hamsafar mera
Magar ab koi nahi mere sath usay kehna
Usay kehna k bin us k din nahi guzarti
Sisak sisak k katti hai raat usay kehna
Ussay pukaroon ya khud hi pohanch jaoon us k pass
Nahi rahe ab wo halaat usay kehna
Agar wo phir b na lotay to aye meharbaan
Hamari zeest k halaat usay kehna
Her jeet us k naam kar raha hoon main
Main manta hoon apni haar usay kehna...

Jun 04, 2017 at 16:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Chalo Ishq Nahi, Chaahne Ki Adat Hai
Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
Kya karein k Hamein Dusrey ki Adat hai
Tuu apne Sheesha-Gari ka na ker Hunar Zaya
Mai Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai
Wisaal mai b wohi Faasley Sarab k hain
Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jage ki Adat hai
Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi!!
Na Wo Sakhi hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai
Ye Khood-Aziyati kab tak FARAZ
Tu b usay na ker Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai

Jun 04, 2017 at 10:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aaj Udaasi Nay Phir Chera Hai Saaz
Aaj udaasi nay phir cheRa hai saaz
Aaj dard phir kuch sunaye ga
Tanhai nay baNdhay haiN ghuNgro
Aaj waqt bhi thahar jaayega
ChaNd ! apni chaNdni idhar rakh jana
Aanay haiN aaj kuch bhoolay huay say chehray
Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lena
Behal jaayeN aisay hi shaayad ehsasoN kay safinay
Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna
Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai
In lamhoN ka hai chalan aisaa
Ki aaj tarpay gi takhleeq lafz dar lafz
Khaamoshi ka zehr sab ko pilaya jay ga
Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai
Aaj jalaiN gay khwaahishoN kay alaoo
HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRayi
Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai
Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
MehmaanoN kay qafilay pounchanay waalay haiN
Dard-e-dil ko saMbhaloon ab main
Ai fazao tum hawaaoN pay likh lena
BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main

Jun 03, 2017 at 08:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Suno Yeh Waqt E Rukhsat Hai
Suno Yeh Waqt-E-Rukhsat Hai,Sakoot-E-Safar Tari Hai
Khatam Umron Ka Zar,Baqi Lamhon Ki Raizgari Hai
Suno Aankhain To Gumsum Hain,Dilon Main Aah O Zaari Hai
Suno Ye Zabt Ka Mousam Nahin,Bay Ikhtiari Hai
Suno Ye Aas Ki Dori Utha Lo Hath Say Meray
Mere Hathon Main Kache Dhagon Ki Be Aitbari Hai
Suno Main Khuwab Ab Bhi Dekhti Hoon Dil K Kehne Se
Meri Aankhon Main Ab Bhi Zakhm,Dil Me Be Qarari Hai
Suno Ye Raz Bhi Sun Lo Ke Dil Ka Khel Jitna Tha
Ye Bazi Tum Ne Jiti Hai,Hamesha Hum Ney Hari Hai
Suno Tum Sath Rehte Thay Meri Har Ek Sans Main
Tumhare Naam Karti Hoan Jahan Jitni Guzari Hai
Suno Aankhon Se Parh Lena Wo Sari An Kahi Batain
Koi Pochay To Keh Dena,Bohat Hi Razdari Hai
Suno Palkon Pe Jitne Khuwab The Unko Utha Lena
Meri Aankhon Pe In Ka Bojh Meri Taqat Sey Bhari Hai
Suno Hum Lotne Wale Nahi ,Sab Keh Lo Sun Lo Aaj
Bohat Hi Door Jana He,Barri Lambi Udaari Hai
Suno Ye Waqt-E-Rukhsat Hai,Suno Ye Hurf-E-Aakhir Hai
Suno Ye Dard Hijar Ka Har Eik Hijrat Se Kaari Hai

Jun 02, 2017 at 01:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Sath Bohat Hai
Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah
Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Sath Bohat Hai
Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm
Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Sath Bohat Hai
Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Sath Bohat Hai.

Jun 01, 2017 at 13:06
Category: sad
Sponored Video