Search
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Utar Kar Ai Hai Ankhon Talak Bahar Ki Sham
اتر کر آئی ہے آنکھوں تلک بہار کی شام
نظر بچا کے شب و روز کے تسلسل سے
وہ موسموں کا گزرگاہِ زندگی پہ سفر
ہَوائے یاد کی ویران بستیوں کی طرف
کہ جن کی راہ میں دیوار تھی عجیب کوئی
وہ سنگ و خشت کی دیوار
یا ارادے کی
وہ راستے، جو فقط راستوں کے سائے تھے
وہ واہموں کی حدیں، مضطرب ارادوں پر
کہیں سرکتی، کسی سمت سرسراتی ہوئی
وہ شاخ شاخ پہ مثلِ خزاں برستی ہوئی
وہ پھول پھول کے دل کو
بہت ڈراتی ہوئی
خزاں سے عہد نہ تھا اور موسمِ گل سے
کبھی ملن نہ ہوا، وعدہِ وفا نہ ہوا
وہ موسموں کی حکایت کتابِ دل میں رہی
فسانہ اہلِ چمن کا کہیں لکھا نہ گیا
کبھی پڑھا نہ گیا اور کبھی سنا نہ گیا
زمیں جو پاؤں کے نیچے، زمیں کا دھوکہ تھی
کبھی ہری نہ ہوئی، دُوب لہلہائی نہیں
مسافتوں کے سروں پر کھڑے یہ شاہ بلوط
جو اب سیاہ ہوئے انتظارِ ہستی میں
ہَوا کے دوش پر آتا نہیں کوئی پیغام
نگاہِ ہجر میں کھلتا ہے صرف ایک گلاب
بس ایک خواب
فقط ایک خوابِ عشق مآب
مہ و ستارہ، گل و برگ، طائر و اشجار
صدائے خواب پہ ' لبیک' کہہ رہے ہیں تمام
اتر کر آئی ہے آنکھوں تلک
بہار کی شام
نظر بچا کے شب و روز کے تسلسل سے
وہ موسموں کا گزرگاہِ زندگی پہ سفر
ہَوائے یاد کی ویران بستیوں کی طرف
کہ جن کی راہ میں دیوار تھی عجیب کوئی
وہ سنگ و خشت کی دیوار
یا ارادے کی
وہ راستے، جو فقط راستوں کے سائے تھے
وہ واہموں کی حدیں، مضطرب ارادوں پر
کہیں سرکتی، کسی سمت سرسراتی ہوئی
وہ شاخ شاخ پہ مثلِ خزاں برستی ہوئی
وہ پھول پھول کے دل کو
بہت ڈراتی ہوئی
خزاں سے عہد نہ تھا اور موسمِ گل سے
کبھی ملن نہ ہوا، وعدہِ وفا نہ ہوا
وہ موسموں کی حکایت کتابِ دل میں رہی
فسانہ اہلِ چمن کا کہیں لکھا نہ گیا
کبھی پڑھا نہ گیا اور کبھی سنا نہ گیا
زمیں جو پاؤں کے نیچے، زمیں کا دھوکہ تھی
کبھی ہری نہ ہوئی، دُوب لہلہائی نہیں
مسافتوں کے سروں پر کھڑے یہ شاہ بلوط
جو اب سیاہ ہوئے انتظارِ ہستی میں
ہَوا کے دوش پر آتا نہیں کوئی پیغام
نگاہِ ہجر میں کھلتا ہے صرف ایک گلاب
بس ایک خواب
فقط ایک خوابِ عشق مآب
مہ و ستارہ، گل و برگ، طائر و اشجار
صدائے خواب پہ ' لبیک' کہہ رہے ہیں تمام
اتر کر آئی ہے آنکھوں تلک
بہار کی شام
·
1 Like ·
Mar 11, 2016 at 22:03
Category: general
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Jeena Isi Ka Naam Hai Release Date
·
0 Like ·
Mar 11, 2016 at 02:03
Category: when
Advertisement
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Tapish Hai Kaisi December Ki In Hawaaon Mein
tapish hai kaisi December ki in hawaaon mein
sulag raha hai yahan badan bhi to chaaon mein
na aaya laut k aur intizaar chhor gaya
kahan talaash krain uss ko ab khalaaon mein
na daikha uss nay palat kr na meri baat suni
KHUDAYA itna asar bhi nahi sadaaon mein!!!
hansi dikhawa hai, rishta hai aansoon say mera
k mera janam hua hai inhi ghataaon mein
nazar mila k jitayee hui ghazab Ulfat
shumaar hum ko kiya uss nay bewafaaon mein
luta hai koi, kisi ka hua hai qatl yahan?
lahoo barasta hai sawan ki kiyon ghataaon mein?
wafa bhi jurm hai saghar k hai gunah-e-azeem
kari hai iss ki saa dahr ki sazaaon mein

Mar 10, 2016 at 03:03
Category: occassional-events
Social Wall / Photos
Mooria Ul Ain
Dua e sehat ki appeal hai.
·
2 Like ·
Mar 08, 2016 at 00:03
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tu Jo Bichraa To Sunsaan Nagar Lagta Hai
Tu Jo Bichraa To Sunsaan Nagar Lagta Hai
Hai Shehar Apna Anjaan Magar Lagta Hai
Khof-e-Tanhai Hai Mujh Pey Musallat Aise
Dil Dharakta Hai To Dharkan Say Bhi Darr Lagta Hai
Na Koi Rasta Hai Na Koi Nishaan-e-Manzil
Bin Tere Zindagi Aik Aisa Safer Lagta Hai
Aa Zara Dekh To Sahi Mere Ghar Ka Aalam
Tu Nahi To Veraan Khandarr Lagta Hai
Dard Ehbaab Say Itney Mile Hain Mujhe
Ab To Apney Hi Saaye Say Darr Lagta Hai

Mar 03, 2016 at 17:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tera Chehra Subha Ka Taara Lagta Hai
Tera chehra subha ka taara lagta hai
Subha ka taara kitna pyaara lagta hai
Tum se mil kar imlii meethii lagtii hai
Tum se bichaR kar shehad bhi khara lagta hai
Raat hamaare' saath tuu jaaga karta hai
Chaand bata tuu kyun hamaara lagta hai
Titlii chaman main phool se liptii rahtii hai
Phir bhi chaman main phool kunwara lagta hai
Kaif wo kal ka Kaif kahan hai aaj mian
Ye to koii waqt ka maara lagta hai

Mar 02, 2016 at 16:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Pehlu Mein Mere Dekh Wahi Dil Hai Aaj Bhi
Pehlu mein mere dekh wahi dil hai aaj bhi
Roshan isi charagh se mahfil hai aaj bhi
Ab bhi hai kehkashan tere partu se raah-e-shoque
Pur noor sham-e-jaada-e-manzil hai aaj bhi
Ab bhi hyat-e-shaque ki kashti hai taiz ra'o
Her mauj ek ummeed ka saahil hai aaj bhi
Ab bhi hai eik kaif umeed-e-karam k saath
Ek lutf intezaar mein shamil hai aaj bhi
Ab bhi hai mujh ko ishq ki hikmat pe aitmaad
Dil ko umeed-e-hal-e- masaael hai aaj bhi
Ab bhi hai her nigah teri rooh-e-aarzoo
Tu jaan-e-shaque ban k muqabil hai aaj bhi
Woh dil k mujh ko naaz raha jis pe muddaton
E dost!tere naaz k qabil hai aaj bhi.....!!!!

Mar 01, 2016 at 02:03
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Khauf E Sharar Lage Hai Mujhe
Na Khauf-e-barq, na Khauf-e-sharar lage hai mujhe
Khud apne baagh ke phoolon se dar lage hai mujhe
Ajeeb dard ka rishta hai saarii duniya main
Kahein ho jalta makaan, apna ghar lage hai mujhe
Main aik jaam hoon kis kis ke hont tak pohnchoon
Ghazab kii pyaas liye har bashar lage hai mujhe
Taraash laita hoon us se bhii aaeine Manzoor
Kisii ke haath ka patthar agar lage hai mujhe

Feb 28, 2016 at 01:02
Category: general
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Ajeeb Ek Fasana Hai
~* Wo Baagh Ki Sair Ka Qissa Bhi *~
~* Ajeeb Ek Fasana Hai *~
~* Ek Phool Ko Daik Ke Aisa Laga *~
~* Jaisay Wo Kissi Ka Saaya Hai *~
~* Phir Bhait Ke Usko Daikthay Rehna *~
~* Kaha Dil Walon Ka Shaiwa Hai *~
~* Dil Ne Kaha Ke Choo Loon Unko *~
~* Phir Mann Mera Ghabra Sa Gaya *~
~* Aakhir Haath Bada Ke Mein Ne *~
~* Choo Liya Ek Pankhrri Ko *~
~* Mein Bhool Gaya Phir Duniya Ko *~
~* Buss Aankhon Mein Tasveer Bani *~
~* Phir Un Pankhrion Ko Ginthay Rehna *~
~* Ye Bhi Alag Ek Zindagi Thee *~

Feb 26, 2016 at 05:02
Category: general
Sponored Video