Search
Jokes / Miscellaneous
Aleezay Abbasi
asad ko raat pishab ata hai
asad ko jab bi pishab ata hai hesay to his ammi mughe mutar ai hai.usski ammi usse samaghati hai ke jab guest arrive tum aggar mutar a jae to mutar mat kehna tum kehna mughe song a ya hai.usske guest a jate hain to raat ko wo kahta hai ke i will sleep with the guest usski ammi kehti hai acha.to raat ko usse mutar ajata hai to wo apni ammi ko awaz deta hai ke muje song aya hai to guest kehta hai ke song muje sonao to wo usske kan main pishab kar deta hai.
·
2 Like ·
Oct 20, 2018 at 19:10
Category: miscellaneous
Poetry / Sad
Abdul Kareem
Dekhaa Hua Sa Kuchh Hai To Sochaa Hua Sa Kuchh.
Dekhaa hua sa kuchh hai to sochaa hua sa kuchh
Har waqt mere saath hai uljhaa hua sa kuchh
Hotaa hai yuuN bhii raastaa khultaa nahiN kahiN
Jangal sa phail jaataa hai khoyaa hua sa kuchh
Saahil kii geelii ret pe bachchoN ke khel saa
Har lamhaa mujh meN bantaa bikhartaa hua sa kuchh
Fursat ne aaj ghar ko sajaayaa kuchh is tarah
Har shay se muskuraataa hai rotaa hua sa kuchh
DhuNdhlii sii ek yaad, kisii qabar kaa diyaa
Aur mere aas paas chamkataa hua sa kuchh....!!!

0 Like ·
Oct 20, 2018 at 11:10
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Abdul Qadeer
Kabhi Tu Ne Khud Bhi Socha K Ye Pyaas Hai To Kyon Hai.
Kabhi tu ne khud bhi socha k ye pyaas hai to kyon hai
tujhay paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyon hai
mujhay kyon azeez tar hai ye dhuaan dhuaan sa mosam
ye hawa-e-shaam-e-hijran mujhay raas hai to kyon hai
tujhay kho k sochta hon mere daaman-e-talab mein
koi khwaab hai to kyon hai, koi aas hai to kyon hai
main ujar k bhi hon tera, tu bicher k bhi hai mera
ye yaqeen hai to kyon hai, ye qayaas hai to kyon hai
mere tan-barehna dushman isi gham main ghul rahay hain
k mere badan pe saalim ye libaas hai to kyon hai
kabhi pooch is k dil se k ye khush mizaaj shaair
bohot apni shaayiri main jo udaas hai to kyon hai
tera kis ne dil bujhaaya mere AiTeBar SajiD
ye chiraagh-hijr ab tak tere pass hai to kyon hai...!

Oct 19, 2018 at 13:10
Category: sad
Quotes / Urdu Quotes
Samreen Qaisar
Iss Se Khamoshi Behtar Hai
iss se khamoshi behtar hai ke kisi ko humraaz bana kar usay kaha jaye ke kisi se nah kehna
Sheikh Saadi Rehmatullah
Sheikh Saadi Rehmatullah
·
4 Like ·
Oct 19, 2018 at 10:10
Category: urdu-quotes
Jokes / Miscellaneous
Muhammad Aftab
""hasna Mana Hai"".
howa yoon ke aik din main jara ha tha.aur mujhe chalte waqt kuch nazar nahin aata ahi.tu main apni dhoondh main jara ha tha.ke saamne se 2 khoubsorat lerkiyaan nazar aain.main ne un ko dekha hi nahin aur un ki upper gir gya.phir aap mat pochian ke mera kiya howa.un hone mujhe aisa sunaya ke mere 14 tabaq roshan ho gai.mere sath yeh waqiaa abhi kuch din pehley pech aaya tha.please dont smiling in your face.
·
1 Like ·
Oct 17, 2018 at 19:10
Category: miscellaneous
Quotes / Urdu Quotes
Sanam Baloch
Jo Shakhs Qana At Ikhtiyar Kar Leta Hai
jo shakhs qana-at ikhtiyar kar leta hai usay kabhi kisi cheez ki parwah nahee hoti aur uss par kabhi dukh ka saya nahee parta.
·
5 Like ·
Oct 17, 2018 at 19:10
Category: urdu-quotes
Quotes / Urdu Quotes
Safia Saeed
Nadanon Ki Baat Par Tahammul Karna Aqal Ki Zakat Hai
Nadanon ki baat par tahammul karna aqal ki zakat hai
·
4 Like ·
Oct 17, 2018 at 15:10
Category: urdu-quotes
Poetry / Relegious
Naila Ahmed
Bashar Hosakta Hai Noor Kaisay.
·
3 Like ·
Oct 17, 2018 at 05:10
Category: relegious
Quotes / Urdu Quotes
Shaheen Fatima
Dunya Ki Sab Se Mehangi Cheez Izzat Hai
There is nothing percious like self-esteem
·
2 Like ·
Oct 16, 2018 at 23:10
Category: urdu-quotes
Sponored Video