Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tera Chehra Subha Ka Taara Lagta Hai
Tera chehra subha ka taara lagta hai
Subha ka taara kitna pyaara lagta hai
Tum se mil kar imlii meethii lagtii hai
Tum se bichaR kar shehad bhi khara lagta hai
Raat hamaare' saath tuu jaaga karta hai
Chaand bata tuu kyun hamaara lagta hai
Titlii chaman main phool se liptii rahtii hai
Phir bhi chaman main phool kunwara lagta hai
Kaif wo kal ka Kaif kahan hai aaj mian
Ye to koii waqt ka maara lagta hai

·
1 Like ·
Mar 02, 2016 at 16:03
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kabhi Us Ka Chehra
Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha,
Sab Ki Nazron Ka Woh Khuwab Hua Karta Tha,
Chand Sitaray Us K Samnay Maand Partay Thay,
Woh Toh Khud Mahtab Hua Karta Tha,
Lehja Aisa Tha Jaise Khilti Hui Kali,
Apni Baaton Mein Woh La-Jawab Hua Karta Tha,
Phir Yun Hua Ishq Ho Gaya Kissi Se,
Muhabbat Lafz Jis K Liye Mazak Hua Karta Tha......!!!!

Feb 18, 2016 at 19:02
Category: love
Advertisement
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Chehra Nahi Raha !
Dunia Ka Bhi Kuch Bura Tamasha Nahi Raha
Dil Chahta Tha Jis Tarah Waisa Bhi Nahi Raha
Tum Say Millay Bhi Hum , Judaaie Kay Mor Per
Kashti Hoyee Naseeb To Darya Nahi Raha
Kehtay Thay Ik Pal Na Jeeyen Gay Tere Baghair
Hum Donoo Reh Gaye , Woh Wada Nahi Raha
Katay Hain Tere Baad Is Tarah Roz -O-Shab
Main Saans Lay Raha Tha Per Zinda Nahi Raha
Ankhain Bhi Daikh Daikh K Khuwab, Aa Gai Hain Tung
Dil Main Bhi Ab Woh Shoq , Woh Lapka Nahi Raha
Kaysay Milaain Aankh Kissi Aainay Say Hum
Hamaray Paas To Ab Chehra Nahi Raha !

Aug 11, 2015 at 13:08
Category: general
Poetry / Sad
Ameera Gul
Ek Bhola Sa Chehra Daga De Gaya
Ek bhola sa chehra daga de gaya,
pyar hi to kiya thaa gunaah to nahi,
phir kis bat ki saza de gaya.
dil hi to diya thaa, zehar to nahi
jataya thaa pyar, dhaya kaher to nahi
ye pyar hi hamko dhagya le gaya
ek bhola sa chehra daga de gaya
apne hi gair hain jana hai
saye ko hi hamse bair hai pahechana nhai
ye saya hi hamko saza de gaya.

Jun 16, 2015 at 09:06
Category: sad
Poetry / 0
Koi Chehra Hua....
Koi chehra hua roshan na ujagar ankhain
Aina dekh rahi thin meri pathar ankhain
Le uri waqt ki aandhi jinhen apne hamrah
Aaj phir dhoond rahi hain wahi manzar ankhain
Phat niklein to kai shahar-e-tamanna dube
Ek qatre ko tarasti hui banjar ankhain
Tu nigahon ki zuban Khub samajhta hoga
Teri janib to utha karti hain aksar ankhain
Log marte na dur-o-bam se takara ke kabhi
Dekh lete jo 'Kamal' us ki samandar ankhain

Apr 18, 2015 at 09:04
Category: 0
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Woh Aik Ajnabi Chehra
·
1 Like ·
Dec 03, 2014 at 00:12
Category: love
Poetry / Poetry Sms
Ghazal Noor
Tera Chehra
Taiz barish mein kbhi sard hawaon me raha
Ik tera zikar tha jo meri sadaaon mein raha
Kitny logon se mery gehry marasam thy magr
Tera chehra hi faqat meri duaon mein raha
Ik tera zikar tha jo meri sadaaon mein raha
Kitny logon se mery gehry marasam thy magr
Tera chehra hi faqat meri duaon mein raha
·
1 Like ·
Oct 18, 2014 at 07:10
Category: poetry-sms
Islam / Ahadith
Muzammil Shahzad
Huzoor S.a.w.w Ka Chehra E Aqdas
·
0 Like ·
May 20, 2014 at 20:05
Category: ahadith
Sms / Love
Kashif Yaqoob
Khayal Mein Aata Hai Jab Uska Chehra.
"Khayal mein aata hai jab uska chehra" "To labon pe aksr muskaan aati hai Hum bhool jaty hai us k sary sitam Jab uski thori si mohabbat yaad aati hai.
·
1 Like ·
Jan 27, 2014 at 14:01
Category: love
Tags: Yaad Love Mohabbat Sms
Sponored Video