Search
Poetry / Sad
Iqra Raheem
Zikr E Shab E Firaq Se Wahshat Usey Bhi Thi.
Zikr-e-shab-e-firaq se wahshat usey bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka
Rasta badal ke chalane ki adat usey bhi thi
Us raat dair tak wo raha mahw-e-guftaguu
Masroof main bhi kam tha faraGhat usey bhi thi
Mujh se bichhar ke shehar mein ghul mil gaya wo shaKhs
Halanke shahar bhar se raqabat usey bhi thi
Woh mujh se barh ke zabt ka adi tha jee gaya
Warna har ek sans qayamat usey bhi thi
Sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zaroorat usey bhi thi
Tanha huwa safar mein tu mujh pe khula yeh bhaid
Saye se pyar, dhoop se nafrat usey bhi thi
Mohsin mein ousse keh na saka yun bhi haal-e-dil
Dar pesh aik tazaa musibat usey bhi thi.

·
0 Like ·
Aug 26, 2018 at 16:08
Category: sad
Poetry / Sad
Mahrukh Nida
Aawaargi Mien Mohsin Ess Ko Bhi Hunar Jana.
Aawaargi Mien Mohsin Ess Ko Bhi Hunar Jana....
Iqraar-e-Wafa Karna Phir Uss Sey Mukar Jana,,,,
Jab Khawab Nahi Koi Kya Zindagi Ka Karna....
Har Subha Ko Jee Uth''na, Har Raat Ko Mar Jana,,,,
Aesa Na Ho Darya Mien Tum Baar-e-Garaa''n Thehro....
Jab Log Ziyaada Hun Kashti Sey Uttar Jana,,,,,
Suqraat K Peenay Sey Kya Mujh Pay Aayaa''n Hota....
Khud Zehar Piyaa Mian Nay, Tab Uss Ka Assar Jana,,,,
Jab Bhi Nazar Aao Gay,Hum Tum Ko Pukaarien Gay....
Chaaho To Thehar Jana,Chaaho To Guzar Jana,,,,

Aug 19, 2018 at 18:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Zafar Ali Khan
Me Tujh Pe Apni Jaan Bhi Lotadun.
·
0 Like ·
Aug 18, 2018 at 08:08
Category: sad
Poetry / Love
Yousuf Ahmed
Aye Jaan Tujhe Jaan Se Bhi Ziyada Chahunga,
Aye Jaan Tujhe Jaan Se Bhi ziyada Chahunga,
Tere Har Gam Ko Khushi Mein Badal Ke Dikhaoga,
Kiya Hua Jo Tu Paas Nahi Mere,
Main Door Reh Kar Bhi Paas Hone Ka Ehsas Dilaoga...!!!!
Tere Har Gam Ko Khushi Mein Badal Ke Dikhaoga,
Kiya Hua Jo Tu Paas Nahi Mere,
Main Door Reh Kar Bhi Paas Hone Ka Ehsas Dilaoga...!!!!
·
3 Like ·
Aug 15, 2018 at 13:08
Category: love
Poetry / Sad
Asiah Rahi
Mujhko Yaqin Hai Sach Kahati Thin Jo Bhi Ammi Kahati Thin.
mujhko yaqin hai sach kahati thin jo bhi ammi kahati thin
jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahati thin
ik ye din jab apanon ne bhi hum se rishta tod liya
ik wo din din jab ped ke shakhe,n bojh hamara sahati thin
ik ye din jab lakhon gham aur kal pada hai aansu ka
ik wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahati thin
ik ye din jab sari sadaken ruthi ruthi lagti hain
ik wo din jab ‘ao khelen’ sari galiyan kahati thin
ik ye din jab jagi raten deewaron ko takati hain
ik wo din jab shakhon ke bhi palaken bojhal rahati thin
ik ye din jab zahan mein sari ayyari ke baten hain
ik wo din jab dil mein sari bholi baten rahati thin
ik ye ghar jis ghar mein mera saz-o-saman rehta hai
ik wo ghar jisamen meri budhi nani rahati thin.

Aug 14, 2018 at 10:08
Category: sad
Poetry / Sad
Safia Saeed
Mohabbaton Mein Marnewale Bhi Ajeeb Hai.
mohabbaton mein marnewale bhi ajeeb hai
azem hai hamari dastaan jaan-e-man
faaslon pe rehte hai lekin kareeb hai
hamko maalom hain ishq masoom hain
dil se ho jaati hain galtiyaan
sabr se ishq mehroom hain.
azem hai hamari dastaan jaan-e-man
faaslon pe rehte hai lekin kareeb hai
hamko maalom hain ishq masoom hain
dil se ho jaati hain galtiyaan
sabr se ishq mehroom hain.
·
0 Like ·
Aug 03, 2018 at 11:08
Category: sad
Poetry / Sad
Kashif Qureshi
Ye Aarzoo Hai Kay Jab Bhi Galay Lagaon Usay.
Ye aarzoo hai kay jab bhi galay lagaon usay
Hisaar-e-zaat se baahar nikaal laon usay
Woh aj raha tha kadi dhoop ki tamazat mein
Mila jo ab tou urhahonga apni chaaon usay
Ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-ahad-e-vafaa
Woh aazmaaye mujhe aur main aazmaaon usay
Woh shahar shahar-e-chiraaghan sahi magar ik din
Hawayein yaad dilayengi apna gaaon usay
Woh apnay khwaab mein shayad mujhay ko dekhta ho
Main tishna lub sahi sotay mein kya jagaon usay.

1 Like ·
Jul 25, 2018 at 09:07
Category: sad
Poetry / Sad
Gulzar Ahmed
Jo Bhi Dukh Yaad Na Tha Yaad Aya.
Jo bhi dukh yaad na tha yaad aya
Ajj kya janiye kya yaad aya
Phir koi hath hai dil par jaise
Phir tera ahd-e-wafa yaad aya
Jiss tarah dhund main liptey huwe phool
Aik aik naqsh tera yaad aya
Aisi majboori kay aalam main koi
Yaad aya bhi tu kya yaad aya
Aye rafiqoon sar-e-manzil ja kar
Kya koi abla''pa yaad aya
Yaad aya tha bicharna tera
Phir nahi yaad kay kya yaad aya
Jab koi zakhm bhara daagh bana
Jab koi bhool gaya yaad aya
Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz
Jis ko bhoole woh sada yaad aya.
Ajj kya janiye kya yaad aya
Phir koi hath hai dil par jaise
Phir tera ahd-e-wafa yaad aya
Jiss tarah dhund main liptey huwe phool
Aik aik naqsh tera yaad aya
Aisi majboori kay aalam main koi
Yaad aya bhi tu kya yaad aya
Aye rafiqoon sar-e-manzil ja kar
Kya koi abla''pa yaad aya
Yaad aya tha bicharna tera
Phir nahi yaad kay kya yaad aya
Jab koi zakhm bhara daagh bana
Jab koi bhool gaya yaad aya
Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz
Jis ko bhoole woh sada yaad aya.
·
2 Like ·
Jul 24, 2018 at 03:07
Category: sad
Social Wall / Photos
Ijunoon
Tasveer Bhi Zaban Rakhti Hai
·
8 Like ·
Jul 21, 2018 at 20:07
Category: photos
Sponored Video