Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey

Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey
Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey
Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey
Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey
Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dikhla Na Sakey
Khilti Kaliyon Kay Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey

·
1 Like ·
Feb 13, 2017 at 16:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mera Aaina, Mera Aks Bhi
Mera Aaina, Mera Aks Bhi,
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa,
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan,
Meri Aarzu, Meri Justajoo,
Meri Chashm-e-Tar,
Mera Har Safar,
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye,
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya,
Meri Hastiyan, Meri Bastiyan,
Meri Shairy, Meri Raagni,
Mere Saath Jinka Guzar Howa,
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa,
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan,
Meri Aarzu, Meri Justajoo,
Meri Chashm-e-Tar,
Mera Har Safar,
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye,
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya,
Meri Hastiyan, Meri Bastiyan,
Meri Shairy, Meri Raagni,
Mere Saath Jinka Guzar Howa,
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
·
2 Like ·
Feb 07, 2017 at 16:02
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Main Lafzon Main Kuch Bhi Izhaar Nahi Karti

Is Ka Matlab Ye Nahi Keh Main Tujh Say Pyaar Nahi Karti
Chahati Hoon Main Tujhay Aaj Bhi Per
Teri Soch Main Apna Waqt Barbaad Nahi Karti
Tamasha Na Ban Jaye Kahii Mohabbat Meri
Is Liye Apna Dard Ko NamoDaar Nahi Karti
Jo Kuch Mila Hay Usi Main Khush Hoon Main
Teray Liye KHUDA Say Taqrar Nahi Karti
Per Kuch Tu Baat Hay Teri Fitrat Main Zalim
Warna Main Tujhay Chahanay Ki Khatta Baar Baar Nahi Karti

Jan 30, 2017 at 04:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jab Bhi Milta Hay Ak Zakham Naya Deta Hay

Kuch Is Tarah Meri Wafaon Ka Sila Deta Hay
Yon Tu Meri Aankhon Say Usay Pyaar Bohat Hay
Jab Bhi Jee Chahay Us Main Ashk Saja Deta Hay
Khud Ko Ganwa Kar Usay Main Nay Paya Hay
Is Baat Ki Bhi Wo Mujh Ko Saza Deta Hay
Wo Jo Ak Shaks Meray DIL Pay Raaj Karta Hay
Kabhi Hukum Deta Hay Marnay Ka, Kabhi Jeenay Ki Dua Deta Hay
Gila Jo Karon Us Say Be Rukhi Ka Main
Khud Hansta Hay Or Mujh Ko Rula Deta Hay

3 Like ·
Jan 28, 2017 at 02:01
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Udasion Ka Sabab Ju Likhna Tu Yeh Bhi Likhna
udasion ka sabab ju likhna tu yeh bhi likhna
k chand jaisa chehra,shahabi ankhain badal gayi hain
woh lamhe ju teri raahoon main,tere anay k muntazir thay
woh thak k sayuon main dhal gaye hain
woh teri yaadain khayal tairay,woh teri batain,sawal tairay,
woh tujh se mere tammam rishtey ujar gaye hain bikher gaye hain
kapkapatay hontoon per larkharati dua k suraj,pighal gaye hain
tammam sapne jall gaye hain,pal pal tarapti shaamain badal gayi hain,
tanhaiyoun main machalti hoi raatain jal gayi hain
payar k jalte hoye chiraagh bujh gaye hain

Jan 26, 2017 at 04:01
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki

Had ye k Dharakne Ki Jasarat Bhi Nahi Ki
Tabeer Ka Ayzaaz Hua Hai Ussey Haasil
Jis ne Mere Khuabon Mein Sharakat Bhi Nahi Ki
Ulfat To Bari Baat Hai Humse To Sar-e-Shehar
Logon Ne Kabhi Dhang se Nafrat Bhi Nahi Ki
Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhate Hain Jinhon Ne
Do Chaar Qadam Tay, Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki
Kya Apni Safai Mein Bayaan Dete K Humne
Na Karda Gunaah ki Wazaahat Bhi Nahi Ki
Khaamosh Tamashayi Ki Maanind Sar-e-Bazm
So Zakham Sahay Dil Pe , Shikayat Bhi Nahi Ki
is Ghar K Sabhi Log Mujhey Chorney Aaye
Dehleez Talak Uss Ne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki
Ussne Bhi Ghulamoon Ki Safoon Mein Humein Rakha
is Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki

Jan 24, 2017 at 16:01
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Fizaye Allodgi Bhi Dil Ke Dooray Ka Sabab Banti He
فضائی آلودگی بھی دل کا دورہ پڑنے کے خطرے میں اضافہ کر دیتی ہے۔ امریکن میڈیکل ایسوسی ایشن اور پیرس کارڈیو ویسکولر ریسرچ سینٹر کی تحقیقاتی رپورٹ کے مطابق آلودہ ماحول میں سانس لینے سے بھی دل کا دورہ پڑنے...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jan 22, 2017 at 08:01
Category: health
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dard Mein Bhi Ab Hum Hasna Seekh Gaye
Dard Mein Bhi Ab Hum Hasna Seekh Gaye
Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye
Pehle Rulate Ho Phir Hansate Ho Kis Liye

Dard Badh Gaya Hai Jalan Bankar Humare Liye

Ghamon Ko Na Bhula Paaye Yeh Kaise Dard Mile
Kuchh Haseen Palon Ko Yaad Karke Hasna Bhool Gaye
Saamne Hote Ho Tum Phir Kuchh Na Kaho Mere Liye
Har Pal Jo Khilta Tha Chehara Usse
Hum Pahchan Na Bhool Gaye
Khwaabon Mein Aakar Jo Neend Chura Gaye
Ab Mera Hosh Aur Meri Saason Ko Bhi Le Gaye
Aur Kya Rakha Hai Ab Iss Zindagi Ke Liye
Tum Bhi Humen Dard Mein Hi Rukhsat Kar Gaye
Zulm Na Ho Iss Zindagi Pe Ye Sandesh Le Aaye
Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye
Pehle Rulate Ho Phir Hansate Ho Kis Liye
Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye
Dard Badh Gaya Hai Jalan Bankar Humare Liye
Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye
Ghamon Ko Na Bhula Paaye Yeh Kaise Dard Mile
Kuchh Haseen Palon Ko Yaad Karke Hasna Bhool Gaye
Saamne Hote Ho Tum Phir Kuchh Na Kaho Mere Liye
Har Pal Jo Khilta Tha Chehara Usse
Hum Pahchan Na Bhool Gaye
Khwaabon Mein Aakar Jo Neend Chura Gaye
Ab Mera Hosh Aur Meri Saason Ko Bhi Le Gaye
Aur Kya Rakha Hai Ab Iss Zindagi Ke Liye
Tum Bhi Humen Dard Mein Hi Rukhsat Kar Gaye
Zulm Na Ho Iss Zindagi Pe Ye Sandesh Le Aaye
·
1 Like ·
Jan 22, 2017 at 08:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mujrim Bhi Tha Mohsin Bhi Mera Lagta Tha
Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
Dast-e-katil bhi mujhy dast-e-HinA lgta tha
Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
Han wo shaks mohabt ka KHUDA lagta tha
kanton bhari shakh nazar aata tha kabi
Phool lagta tha kabi baad-e-saba lagta tha
Ab logon sy pochta phirta hai maire ghar ka pata
Main jisy sare zamany sy bura lgta tha
Us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
Sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha

Jan 10, 2017 at 04:01
Category: love
Sponored Video