Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Kuch Bhi Ho Jana
Mohabbat Kuch Bhi Ho Jana
Mohabbat Dars Deti Hay
Mohabbat Zabt Deti Hay
Mohabbat Barishain Aisi
Koii Tu Doob Jata Hay
Koii Tu Paar Hota Hay
Ye Wo Unwaan Hay Jana
Jisay Ham Likh Nahi Saktay
Koii Anjaam Ho es Ka
Suhail Itna Zara Socho
Mohabbat Jeet Jati Hay
Mohabbat Haar Deti Hay
Kise Ko Zinda Rakhti Hay
Kese Ko Maar Deti Hay
Mohabbat Dars Deti Hay
Mohabbat Zabt Deti Hay
Mohabbat Barishain Aisi
Koii Tu Doob Jata Hay
Koii Tu Paar Hota Hay
Ye Wo Unwaan Hay Jana
Jisay Ham Likh Nahi Saktay
Koii Anjaam Ho es Ka
Suhail Itna Zara Socho
Mohabbat Jeet Jati Hay
Mohabbat Haar Deti Hay
Kise Ko Zinda Rakhti Hay
Kese Ko Maar Deti Hay
·
1 Like ·
Mar 23, 2017 at 16:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ik Burg Sabz Shaakh Se Karr K Juda Bhi Daikh
ik burg sabz shaakh se karr k juda bhi daikh
mai phir bhi jee raha hoon mera hausla bhi daikh
maana k tera mujh sey koi waasta naheen
milney k baad mujh se zara aaina bhi daikh
auron k paas ja k meri dastaan na pooch
jo kuch hai merey chehrey pe likha huwa bhi daikh
tu ney jo musht e khaak samajh kar urha diya
abb mujh ko apni raah mai bikhra huwa bhi daikh
chehrey ki chandni pe na itna bhi maan kar
waqt e sehar tu rung kabhi chand ka bhi daikh

3 Like ·
Mar 20, 2017 at 20:03
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Merey Wehm O Guman Se Bhi Zyada Toot Jata Hai
Merey wehm o guman se bhi zyada toot jata hai
Ye dil apni hadoon mein reh k itna toot jata hai
Mein roaon to dar o deewar mujh pey hansnay lagtey hain
Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai
Mein jis lamhey ki khawahish mein safar karta hoon sadyon sey
Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai
Merey khawaboon ki basti sey janazey uthtay jatey hain
Meri aankhein jisey choo lein who sapna toot jata hai
Najaney kitni mudat se hai dil mein ye amal jari
Zara si theeas lagti hai zara sa toot jata hai
Muqadar mein merey sagar shikast o rakhat itni hai
Mein jis ko apna keh doon wo sitara toot jata hai

Mar 12, 2017 at 18:03
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hay
abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
ke ashk rokna tum se mohal hona hay
her aik lab pe hen meri wafa ke afsanay
teray sitam ko abhi zawal hona hay
baja ke khaar hay lekin bahaar ki rut main
ye tay hay ab ke humain bhi nihal hona hay
tumhen khabar hi nahi tum to loat jao gay
tumharay hijar main lamha bhi saal hona hay
hamari rooh pe jab bhi azaab utrain gay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay
kabhi to roye ga wo bhi kisi ki banhoon main
kabhi to uski hansi ko zawal hona hay
milain gi humain bhi apnay naseeb ki khushiaan
bas intizar he kab ye kamal hona hay
her aik shakhs chalay ga hamari raahon per
muhabaton main humain wo misal hona hay
zamana jis ke kham o paich main ulajh jayee
hamari zaat ko aisa sawal hona hay
Wasi yaqeen he mujh ko wo loat aye ga
usay bhi apnay kiye ka malal hona hay

Mar 11, 2017 at 14:03
Category: sad
Poetry / Sad
Ye Baam O Dar Bhi Meray Saath Khowab Daikhain Gay
Ye Baam o Dar Bhi Meray Saath Khowab Daikhain Gay
Tamaam Raat Mera Iztaraab Daikhain Gay
Jahan Hurf -e- Mainay Main Jis Nay Uljhaya
Hum Us Kay Haath Main Apni Kitaab Daikhain Gay
Wo Meray Shaher Aaye Ga Or Milay Ga Nahi
Wo Kar Sakay Ga Bhala ijtanab Daikhain Gay
Tamaam Umar Dua Kay Liye Uthaya Haath
Hain Khush guman, Khushi Say Aazab Daikhain Gay
Milain Gay Us Say Kahin Dosray Kinaray Per
Saraab Paar Karay Gaye, Saraab Daikhain Gay
Wo Marhala Bhi Sar -e- Rah -e- Ishq Aaye Ga
Sawal Karnay Say Pehlay Jawab Daikhain Gay
Churra Kay Haath Kise Roz Apni Wehshat Say
Faseel -e- Shaher -e- Tamanah Ka Baab Daikhain Gay
Yahi Yaqeen Humay Saanp Ban Kay Duus Lay Ga
Ye Jantay Hain Mager Hum Bhi Khowab Daikhain Gay

2 Like ·
Mar 03, 2017 at 13:03
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apne Usool Yun Bhi Kabhi Tornay Parray
Apne usool yun bhi kabhi tornay parray
Uski khata thi hath mujhe jornay parray
Aya na jab qarar dil-e-beqarar ko
Yaadon k rukh tumhari taraf mornay parray
Usko to meri yaad bhi aai na aik din
Apne paraye jis ke liye chornay parray
Mohsin wo shakhs khud bara be usool tha
Apny usool jis k liye hum tornay chalay

Feb 27, 2017 at 17:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ye Aankh Bhi Ye Khuab Bhi Ye Raat Bhi Uski
ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski
har baat pe yaad aati hai har baat bhi uski
jugno se chamaktay hain usi yaad ke dam se
aankhon men liey phirtay hain soghaat bhi uski
har sholay ke peechay hai usi aag ki sorat
har baat ke parday men hekiyaat bhi uski
lafzon men sajatay hain usi husn ki khusbo
aankhon men chupatay hain shekiyaat bhi uski
kya kijiey achi hamen lagti hai hamesha
dewaangi e dil men har baat bhi uski
jis shakhs ne manzar ko naey phool diye thay
hain dour e khizan par anayaat bhi uski
aata hai nazar majma e ahbaab men Adil
lakhon men akali hai mgr zaat bhi uski

Feb 17, 2017 at 10:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ana Ki Baat Hay Warna Mohabbat Ab Bhi Baki Hay
Ana Ki Baat Hay Warna Mohabbat Ab Bhi Baki Hay
Usay Meri Mujhay Us Ki Zarorat Ab Bhi Baki Hay
Koii Mushkil Ager Darpesh ho Lout Aana Tum
Tumharay Wastay DIL Main Aqeedat Ab Bhi Baki Hay
Bala Ki Sard Mehri Hay Meri Har Baat Main Lakin
Meray Seenay Main Chahat Ki Hararat Ab Bhi Baki Hay

Feb 17, 2017 at 03:02
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Judai Say Mra Wo Bhi Nahi Mein Bhi Nahi
Judai Say Mra Wo bhi Nahi Mein bhi Nahi
Dono Insan Hain KHUDA Wo bhi Nahi Mein bhi Nahi
Wo Mujhe Aur Mein Ossay Ilzam Daitay Hein Magar
Apne Andar Jhankta Wo bhi Nahi Mein bhi Nahi
kamzarf Logo Ny Kar Dia Dono Mein Paida Ikhtalaf
Warna Fitrat Ka Bura wo bhi Nahi Mein bhi Nahi
Mukhtalif Simtoon Mein Dono Ka Safar Jari Raha
Ek Lamhey Ko Ruka wo bhi Nahi Mein bhi Nahi
Chahtey Dono Buhat Hain Ek Dosray ko faraz
Mgar Yeh Haqiqat Manta wo bhi Nahi Mein bhi Nahi

Feb 16, 2017 at 04:02
Category: sad
Sponored Video