Search
Poetry / Sad
Kia Khuda Bhi Us Ka Tha?
Manzilain Bhi Us Ki Thein
Rasta Bhi Us Ka Tha
Sath Sath Chalnay Ka Fesla Bhi Us Ka Tha
Aik Mai Akela Tha Qafla Bhi Us Ka Tha
aur Phr Achanak Hi
Rasta Badalnay Ka Fesla Bhi Us Ka Tha
Aj Mai Akela Hon
Aj Mera Dil Mujh Say Yeh Sawal Karta hai
Log Tu Sab Us K Thay
Kia KHUDA Bhi Us Ka Tha?

·
1 Like ·
May 07, 2017 at 02:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Wo DhoondTi K Ye Manzar Koii Na Dekh Saka
Talash Kartay Howay Ungliyaan Jala Daalain
Wo Tirgi Thi Keh Main Shama Bhi Na Dekh Saka
Mila Tha Shaam Mujhay Ak Bujha Howa Sooraj
Main Us Kay Baad Phir Roshni Na Dekh Saka
Jo Rabt Baaki Tha Sab Qata Kar Liya Us Nay
Wo Meharbaa Meri Be Chaargi Na Dekh Saka
Nigah Wesay Tu Baam -e- Falak Ko Choo Aaii
Mager Jis Zameen Pay Khara Tha Wahi Na Dekh Saka
Wahi Hay Aaina Khaana Wahi Hain Tasveerain
Main Umar Bhar Koii Soorat Naii Na Dekh Saka
Tamaam Shaher Main Wo Deedawar Howa Mashoor
Wo Apni Naak Say Aagay Kabhi Na Dekh Saka

May 04, 2017 at 04:05
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mutaalba Hamara Un Say Kuch Bhi Ziada Nahi
Mutaalba Hamara Un Say Kuch Bhi Ziada Nahi
Marta Tu Hay Hum Pay Wo Or Kabhi Jatata Nahi
Hum Nay Kab Chaha Jee Jaan Say Chahay Humay Bhi
Per Wo Tu Itna Zalim Hay Dekh Kay Bhi Muskurata Nahi
Karta Tu Hay Roshiniyon Ki Barish Ka Waada Aksar
Fil Haal Tu Andheray Main Haath Bhi Barhata Nahi
Ay DIL Tu Hi Yaqeen Dila Us Kay Ahad -e- Wafa Ka
Jo Hay Sang Zamanay Kay Or Hum Say Nazar Bhi Milata Nahi

May 03, 2017 at 22:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho
Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho
Kabhi Barastay Ho Kabhi Ak Boond Ko Tarsatay Ho
Pal Main Kehtay Ho Zamanay Main Faqat Teray Hain
Pal Main Izhaar -e- Mohabbat Say Mukar Jatay Ho
Bhari Mehfil Main Dushmano Ki Tarah Miltay Ho
Or Duaon Main Mera Naam Liye Jatay Ho
Dayaar -e- Ghair Main Mujh Ko Talash Kartay Ho
Milon Tu Pass Say Chup Chaap Guzar Jatay Ho
Laakh Mousam Ki Tarah Rang Badaltay Raho
Aaj Bhi Toot Kay Shiddat Say Humay Chahatay Ho

May 03, 2017 at 15:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Teri Tarha Malal Mujhay Bhi Nahi Raha
teri tarha malal mujhay bhi nahi raha
jaa ab tera khayal mujhay bhi nahi raha
tu ne bhi mosmon ki pazeerai chorr di
ab shauq e mah e visaal mujhay bhi nahi raha
mera jawab kia tha tujhay bhi khabar nahi
yaad ab tera sawal mujhay bhi nahi raha
jis baat ka khayaal na tu ne kabhi kia
us baat ka khiyal mujhay bhi nahi raha
tora hai tu ne jab se meray dil ka aaina
andaza e jamal mujhay bhi nahi raha

Apr 21, 2017 at 12:04
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Whi Khwaab Ab Bhi Azeez Hai
MERAY HAMSAFAR TERI NAZAR HAIN MERAY JAZBA E DIL KI SHIDDATAIN
MERI CHAH MERI MOHABBATAIN MERAY SAJDAY MERI IBADATAIN
WOH JO SATH CHALNAY KA KHWAAB THA,KAHIN REH GAYA KAHIN KHO GAYA
KHO GAYA MERA HAMSAFAR,RAHAIN PAAS AB NA WO CHAHATAIN
WO GULAB THAY KE KHITAB THAY,TERAY HARF HARF MEI KHAAB THAY
TERA TAZA KHAT BHI MILA MGAR NHI ES MEI PEHLI C SHIDDATAIN
MERAY CHAND TU HE BATA MUJHAY KAHAN HAI WO MERA ZAMANA SAAZ
KAHAN THAK K REH GAYA KARWAN KAHAN REH GAEEN MERI SANGATAIN
WO JO MoUSOMON KA HABEEB THA MERI PAYASI AANKH KA KHAAB THA
WoHI KHAAB AB BHI AZEEZ HAI,KARAY AB BHI DIL PAY HUKOMATAIN

Apr 21, 2017 at 06:04
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kia Tum Bhi Afsorda Ho Jatay Ho
Kia Tum Bhi
Aansoo Roknay Ki Koshish Main
Palkain Teez Teez Jhapaktay Ho
Or
Kise Sendesay Ki Aas Main Baar Baar
Darwazay Ki Janib Lapaktay Ho
Kia Tum Bhi
Phool Pe Girti Barish Ki Aawaz Say
Or
Dur Kahi Bajnay Walay Almiya Saaz Ki Aawaz Say
Afsorda Ho Jatay Ho

Apr 16, 2017 at 22:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ye Barishain Bhi Tum Say Hain
Ye Barishain Bhi Tum Say Hain
Jo Baras Gaii Tu Bahaar Hay
Jo Thehar Gaii Tu Qaraar Hay
Kabhi Aa Gaii Yon Hi Be Sabab
Kabhi Cha Gaii Yon Hi Roz o Shab
Kabhi Shorr Hay Kabhi Chup See Hain
Ye Barishain Bhi Tum Say Hain
Kise Yaad Main Kise Raat Ko
Ak Dabi Hoi See Raakh Ko
Kabhi Yon Hawa Say Bujha Dia
Kabhi Khud Say Khud Ko Jala Dia
Kabhi Boond Boond Main Ghum Say Hain
Ye Barishain Bhi Tum Say Hain
Jo Baras Gaii Tu Bahaar Hay
Jo Thehar Gaii Tu Qaraar Hay
Kabhi Aa Gaii Yon Hi Be Sabab
Kabhi Cha Gaii Yon Hi Roz o Shab
Kabhi Shorr Hay Kabhi Chup See Hain
Ye Barishain Bhi Tum Say Hain
Kise Yaad Main Kise Raat Ko
Ak Dabi Hoi See Raakh Ko
Kabhi Yon Hawa Say Bujha Dia
Kabhi Khud Say Khud Ko Jala Dia
Kabhi Boond Boond Main Ghum Say Hain
Ye Barishain Bhi Tum Say Hain
·
1 Like ·
Apr 06, 2017 at 16:04
Category: sad
Poetry / 0
Ijunoon
Mera Aaina Mera Aks Bhi
Mera Aaina, Mera Aks Bhi
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan
Meri Aarzu, Meri Justajoo
Meri Chashm-e-Tar
Mera Har Safar
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya
Meri Hastiyan, Meri Bastiyaan
Meri Shairy, Meri Raagni
Mere Saath Jinka Guzar Howa
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa!!
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan
Meri Aarzu, Meri Justajoo
Meri Chashm-e-Tar
Mera Har Safar
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya
Meri Hastiyan, Meri Bastiyaan
Meri Shairy, Meri Raagni
Mere Saath Jinka Guzar Howa
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa!!
·
1 Like ·
Apr 02, 2017 at 23:04
Category: 0
Sponored Video