Search
Poetry / Sad
Us Ne Door Rehnay Ka Mashwara Bhi Likha Hai
us ne door rehnay ka mashwara bhi likha hai
sath hi muhabbat ka wasta bhi likha hai
us ne ye bhi likha hai mere ghar nahin ana
saaf saaf lafzon main rasta bhi likha hai
kuch haroof likhay hain zabt ki naseehat main
kuch haroof main us ne hosla bhi likha hai
shukria bhi likha hai dil se yad karnay ka
dil se dil ka hai kitna faasla bhi likha hai
kya usay likhain Mohsin kya usay kahain Mohsin
jis ne kar ke be jan phir jaan bhi likha hai...!

·
1 Like ·
Sep 19, 2017 at 06:09
Category: sad
Poetry / Sad
Aaya Naa Tujhe Raas Koi Ghar Bhi Qafas Bhi
Aaya Naa Tujhe Raas, Koi Ghar Bhi Qafas Bhi
Ab Aae Dil-e-Kam Zarf, Kisi Shehar Mein Bass Bhi
Thukra Ke Jo Aaya Hai, Samandar Ki Sakhawat
Ab Dasht-e-Musaafat Mein, Ghataon Ko Taras Bhi
Mohsin Mujhe satayen Gay Bohat Chand, Nadi, Phool
Aaya Naa Meraa Yaar, Aggar Ab K Baras Bhi...!

Sep 15, 2017 at 06:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Jo Bhi Kehna Hay Kaho Phir Ankaha Reh Jaay Ga
jo bhi kehna hay kaho phir ankaha reh jaay ga,
qurbaton k darmyan bhi faasla reh jaay ga.....,
wo guzar jaay ga in rastoon say misl e baad e saba,
or tou in rehguzaaron me khara reh jaay ga....
band kanon say sunay ga tou khanakti guftugu,,
bheegi aankhon say usy bus daikhta reh jaay ga..
chean lay ge subh ik aahat ka jhoota khuab bhi,,
aankh ki soni gali me rat jaga reh jaay gaa,,
titlian hijrat karein gi mosamon k sath sath,
or shehr e gul me aashob e hawa reh jaay ga,,
baadlon say aag barsy gi fiza e shehr per,
naqsh mit jaein gay ik naqsh e fana reh jay ga...!

Sep 15, 2017 at 00:09
Category: sad
Poetry / Love
Chaman Mein Jab Bhi Saba Ko Gulaab Pochte Hain
chaman mein jab bhi saba ko gulaab pochte hain
Tumhari ankh ka ehwaal,khwab pochte hain
Kahan kahan hoye roshan humare baad charagh
Sitaray deeda e tar se hisaab pochte hain
Woh tishna lab bhi ajub hain ju moj e sehra se
suraag e habs mizaaj e saraab pochte hain
Kahan basi hain woh yaadain,ujaarna hay jinhain?
Dilon ki baanjh zameen se azaab pochte hain
Baras pare teri ankhain tou yeh bhaid khula
Sawal khud se bhi apna jawab pochte hain
Hawa ki humsafari se ab aur kya hasil
Bus apne shaher ko khaana kharab pochte hain
Ju be nayaz hain khud apne husn se Mohsin
Kahan woh mujh se mera intikhab pochte hain...!

Sep 13, 2017 at 01:09
Category: love
Poetry / Sad
Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Yeh Hua Ke Mar Gaye

Terey Bhi Din Guzar Gaye Merey Bhi Din Guzar Gaye
Terey Liay Chaley Thay Hum Terey liye Theher Gaye
Tuu Ney Kaha To Jee Uthay Tuu Ney Kaha To Mar Gaye
Waqt Hi Kuch Judai Ka Itna Taweel Ho Gaya
Dil Men Terey Wisaal K Jitney Thay Zakhm Bhar Gaye
Hota Raha Muqabla Paani Ka Aur Piyaas Ka
Sehra Umad Umad Parray Darya Biphar Biphar Gaye
Woh Bhi Ghubar-e-Khuwab Tha Hum Bhi Ghubar-e-Khuwab Thay
Woh Bhi Kahin Bikhar Gaya Hum Bhi Kahin Bikhar Gaye
Raah Men Milay Thay Hum Raahain Naseeb Bann Gaeen
Tuu Bhi Na Apney Ghar Gaya Hum Bhi Na Apney Ghar Gaye
Koi Kinar-e-Aab-e-Joo Betha Hua Hay Sar Nigo
Kashti Kidhar Chali Gai Janay Kidher Bhanwar Gaye
Aaj Bhi Intizar Ka Waqt Hanoot Ho Gaya
Aisay Laga Ke Hashr Tak Saray Hi Pal Theher Gaye
Barish-e-Wasal Wo Hui Saraa Ghubaar Dhul Gaya
Woh Bhi Nikhar Nikhar Gaya Hum Bhi Nikhar Nikhar Gaye
Aab-e-Muheet-e-Ishq Ka Beher Ajeeb Beher Hay
Tairay To Gharq Ho Gaye Doobay To Paar Utar Gaye .. !

2 Like ·
Sep 12, 2017 at 18:09
Category: sad
Poetry / Sad
Shayad Hum Bhi Azad Ho Jate
Aj dil ka dukh kisi ki zuban par tha.
Ansoo us k nikalne ko betab the.
Hum se raha na gaya hum ne bat badal de.
Hum un ashkon ko dekhna na chahte the.
Jab bhari hoi ankhen itna dukh de rahi thin.
To wo ansoo ki larian hum ko toor daltin.
Magr ab dukh hota he us lamhe ko yad kar k.
Kash!
Hum us k dil ki bat sun lete.
Pehle us ka dil bhaari tha.
Ab hamara dil bechen hay.
Kash!
Wo larian toot jatin.
Shayad hum bhi azad ho jate...!

Sep 12, 2017 at 06:09
Category: sad
Poetry / Sad
Suraj Bhi Thak Haar Ke Aakhir Doob Gaya Armanon Ka

Koi Madaawa Kar Na Saka Tootey Hoye Insanoon Ka
Khud Gham Ki Tasveer Baney Thay Shehr Ke Hanstey Bastay Laug
Zikr Bhala Ham Kis Se Kartey Dard Bharey Afsanoon Ka
Tark-e-Taalluq Par He Aakhir Ahl-e-Wafa Majboor Hoye!
Kaun Uttha Sakata Tha Kab Tak Baar Terey ehsaanon ka
Jism Ke Ander Ek Basti Hey, Uss Basti Ka Naam Hey Dil
Yeh Basti Veerana Bhi Hey, Shehr Bhi Hey Armanon Ka
Mera Naam Jali Huroof Mein Terey Saamney Aayega
Zikr Teri Mehfil Mein Hoga Jab Bhi Sokhta Jaanon Ka
Toor Diya Hey Mein Piyar Ke Saarey Jhootey Rishtoun Ko
Jab Se Naseer Ho Gaya Hey Khoon Merey Armanoon ka...!

Sep 10, 2017 at 02:09
Category: sad
Poetry / Sad
Hum Sheher Ke Logon Se Bhi Anjaan Hein Mohsin
Her Simt Ghum-E-Hijr Ke Toofaan Hein MOHSIN
Matt Pooch Ke Hum Kitne parishan Hein MOHSIN
Her Chehra Nazar Aata Hai Tasweer Ki Soorat
Hum Sheher Ke Logon Se Bhi Anjaan Hein MOHSIN
Jis Shehr-e-Muhabbat Ne Humein Loot Lia Hai
Us Sheher Se Ab Kooch Ke Imkaan Hein MOHSIN
Kashti Abhi Umeed Ki Doobi Tou Nahi Hai
Phir Kyun Teri Aankhoon Mein Ye Toofaan Hein MOHSIN....!

Sep 09, 2017 at 00:09
Category: sad
Poetry / Sad
Zakham Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Par
Zakham muskurate hen ab bhi teri aahat par
Dard bhool jate hen ab bhi teri aahat par
Shabnami sitaron par phool khilne lagte hen
Chand muskurate hen ab bhi teri aahat par
Umar kaat di lakin bachpana nhi jata
Hum diye jalate hen ab bhi teri aahat par
Teri yad aye to neend jati rehti he
Hum khushi manate hen ab bhi teri aahat par
Ab bhi teri aahat par chand muskurata hay
Khwab gungunate hen ab bhi teri aahat par
Tere hijar min hum par ik azab taari hay
Chonk chonk jate hen ab bhi teri aahat par
Ab bhi teri aahat par aas lout aati hay
Ashk hum bahate hen ab bhi teri aahat par...!

Sep 05, 2017 at 04:09
Category: sad
Sponored Video