Search
Poetry / General
Maine Kaha Mere Lye Bhi Dua Kya Kro
Maine kaha mere lye Bhi dua kya kro
Us ne kaha es ki na fikar kya kro
Me ne kaha mere zehan pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha chuup k kahin ro lya kro
Maine kaha teray khwab jaga dete hen
Us ne kaha raaton ko socha na kro
Me ne kaha raaton ko neend nhi aati
Us ne kaha sone ki koshish to kya kro
Me ne kaha dil me teri yaaden hen
Usne kaha k dil ko samjhaya kro
Me ne kaha teray milne ki umeed hai kya?
Usne kaha qismat pe bharosa kya kro...!

·
1 Like ·
Nov 11, 2017 at 03:11
Category: general
Poetry / General
Es Baar Bhi Barish Khoob Khob Hui
Es baar bhi barish khoob khob hui aur baadal toot k barsa tha
gali koochy jal thal thy par soch ka darya pyasa tha
band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di
ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha...!
gali koochy jal thal thy par soch ka darya pyasa tha
band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di
ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha...!
·
1 Like ·
Nov 08, 2017 at 19:11
Category: general
Advertisement
Poetry / Sad
Guzarta Hoon Mein Jab Bhi Tere Sheher Ki Galiyon Se
Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se,
Beeti sadayen raqs karti hain tere ashiyanay se,
Karta hon yaad mein tujhe jab bhi,
Ik aah si uthti hai mere seeney mein,
Puchte hain log mujhse be basi ka sabab,
Kehta hon ke dil lagaya tha ek pathar se,
Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe,
Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se,
Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein Husnain,
Bahelta hai jo teri yaadon ke khilone se...!

Nov 06, 2017 at 08:11
Category: sad
Poetry / 24
Usne Jab Jab Bhi Mujhe Dil Se Pukara Mohsin
Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.
Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.
Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.
Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.
Jab agya ho ye yaqin ab woh nahin aega.
Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.
Woh tha jab paas to jeene ko bhi dil karta tha.
Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.
Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.
Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin...!

Nov 06, 2017 at 02:11
Category: 24
Poetry / Sad
Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai
Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai
Ye Dil Ke Tere Baad Sambhalta Bhi Nahi Hai
Ye Sheher Kisi Aina Kirdaar Badan Par
ilzam Lagate Howe Darta Bhi Nahi Hai
Ik Umar Se Hum es Ki Tamanna Mai Hain Be Khowab
Wo Chand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai
Phir Dil Mein Teri Yaad Ke Manzar Hain
Aisay Mein Koi Dekhnay Waala Bhi Nahi Hai
es Umar Ke Sehra Main Teri Yaad Ka Baadal
Tlta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai
Hamraah Bhi khwaahish Se Nahi Rehta Hamare
Aur Baam-e-Rafaaqat Se Utarta Bhi Nahi Hai...!

Nov 01, 2017 at 04:11
Category: sad
Poetry / Sad
Aik Mohabat Aur Wo Bhi Nakam Mohabat
Pani ankh main bhar k laya ja sakta hai
ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai
aik mohabat aur wo bhi nakam mohabat
lekin es se kaam chalaya ja sakta hai
Dil par pani penay ati hain umeeden
es chashmay main zeher milaya ja sakta hai
mujh benam se pughtay hain Farhad o Majnoo
ishq main kitna naam kamaya ja sakta hai
phatta purana khwab hai mera phir bhi Tabish
es main apna aap chupaya ja sakta hai...!

Oct 30, 2017 at 15:10
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Din Bhar Khatay Rahnay Se Bhi Mutapa
ماہرین کے مطابق صرف کھانے کی زیادہ مقدار ہی موٹاپے کا باعث نہیں بنتی بلکہ دن بھر کھاتے رہنے سے بھی موٹاپا ہو جاتا ہے۔ سابقہ تحقیق کے مطابق موٹاپے میں اضافہ کی وجہ فارغ اوقات کے دوران انرجی کا کم خرچ ہ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 27, 2017 at 01:10
Category: health
Poetry / 24
Husan O Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay
Husan o Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay
Aankhon Mein Oski Khwaab Suhanay Nahi Rahay
Milnay Ko Aa Hee Jata Hai Har Chund Roz Bad
Lagta Hai Os kay Paas Bahanay Nahi Rahay
Larzish Hai Hath Mein Tou Mein Tou Nazar Bhi Hai Dhundli
Pehlay Se Ab Wo Dil Ke Nishanay Nahi Rahay
Uthti Nahi Hain Shoq o Tajassus Ke Ba Wajood
Aankhon Ke Kitnay Kaam Puraanay Nahi Rahay
Kamray Se Bhar Gaye Hain Masaail Ki Gard Se
Dil Mein Tere Khayaal Ke Khaanay Nahi Rahay...!

Oct 23, 2017 at 04:10
Category: 24
Poetry / 24
Koi Raat Mere Ashna Mujhe Youn Bhi To Naseeb Ho
KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN Bhi TO NASEEB HO..
NA KHYAL HO LIBAS KA WO ITNA MERE QAREEB HO..
BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE..
MERA JOSH B BEHAK UTHAY MERA HAAL Bhi AJEEB HO..
TERAY CHASHNI WAJOOD KA MAIN SARA RASS NICHOR LOON..
PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEEB HO...!

2 Like ·
Oct 19, 2017 at 15:10
Category: 24
Sponored Video