Search
Social Wall / Photos
Madiha Sultan
Duniya Kaanton Se Bhar Jaygi.
·
0 Like ·
May 02, 2016 at 18:05
Category: photos
Articles / Featured
Ijunoon
Mulk Bhar Mein Aaj Yom E Difa Pakistan Manaya Ja Raha Hai
ملک بھر میں آج یوم دفاع پاکستان ملی جوش و جذبہ سے منایا جائے گا۔ملک بھر میں آج یوم دفاع پاکستان ملی جوش و جذبہ اور مادر وطن کیلئے ہر قربانی دینے کے عزم کے ساتھ منایا جائے گا۔ملک کے تمام اہم سرکاری عما...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
May 01, 2016 at 07:05
Category: featured
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai
Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai
Ab Bhi Jalta Shaher Bachaya Jaa Sakta Hai
Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Naa Kaam Mohabbat
Laikin Iss Se Kaam Chalaya Jaa Sakta Hai
Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedein
Iss Chashme Me Zaher Milaya Jaa Sakta Hai
Mujh Gumnam Se Puchte Hain Farhad Wo Majnu
Ishq Me Kitna Naam Kamaya Jaasakta Hai
Phataa Poorana Khawab Hai Phir Bhi
Issme Apna Aap Chupaya Ja sakta Hai,

Apr 12, 2016 at 19:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Na Jee Bhar K Dekha Na Kuch Bat Ki
Na Jee Bhar K Dekha Na Kuch Bat Ki
Barri Aarzu Thi Mulaqaat Ki
Shab_E_Hijer Tak Ko Ye Tashveesh Hai
Musafir Ne Janay Kahan Raat Ki
Muqaddar Meri Chashm_E_Pur Aab K
Barasti Hui Raat Barsaat Ki
Main Chup Tha To Chalti Hawa Ruk Gaie
Zuban Sab Samajhtay Hain Jazbaat Ki
Kaie Saal Say Kuch Khabar He Nahe
Kahan Din Guzra, Kahan Raat Ki... .
,
Barri Aarzu Thi Mulaqaat Ki
Shab_E_Hijer Tak Ko Ye Tashveesh Hai
Musafir Ne Janay Kahan Raat Ki
Muqaddar Meri Chashm_E_Pur Aab K
Barasti Hui Raat Barsaat Ki
Main Chup Tha To Chalti Hawa Ruk Gaie
Zuban Sab Samajhtay Hain Jazbaat Ki
Kaie Saal Say Kuch Khabar He Nahe
Kahan Din Guzra, Kahan Raat Ki... .
,
·
1 Like ·
Apr 10, 2016 at 05:04
Category: sad
Poetry / Sad
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
Dukh to yeh hay k zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko
Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehlo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko
kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

2 Like ·
Aug 28, 2015 at 04:08
Category: sad
Poetry / Sad
Sheher Bhar Ko Khafa Karounga Main
Sheher bhar ko khafa karounga main
Zikr itna tera karounga main
Khusk pattay hawa main urnay lagay
Ab koi faisla karounga main
Jane wale inhein bhi leta ja
Teri yaadoun ka kya karounga main
Marr nahee jaounga tumhare baad
Dekh lena jiya karounga main
Yaad bikhri hai sheher main us ki
Apne ghar main raha karounga main
Zikr itna tera karounga main
Khusk pattay hawa main urnay lagay
Ab koi faisla karounga main
Jane wale inhein bhi leta ja
Teri yaadoun ka kya karounga main
Marr nahee jaounga tumhare baad
Dekh lena jiya karounga main
Yaad bikhri hai sheher main us ki
Apne ghar main raha karounga main
·
2 Like ·
Aug 27, 2015 at 09:08
Category: sad
Poetry / 24
Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain
Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain
Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain
Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain
Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain
Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain
suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laal o gohar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain
ab usske shahar main tahren k kooch kar jayen
faraaz aao sitaare safar k dekhte hain

Jul 12, 2015 at 03:07
Category: 24
Articles / Health
Ijunoon
Pizza Aur Pasta Dunya Bhar Mai Pasandida Tareen Khoorak
ایک سیاحتی ویب سائٹ کے تحت کرائے گئے عالمی سروے میں دنیا بھر کے افراد نے اطالوی کھانوں پیزا اور پا ستا کو پسندیدہ ترین کھانے قرار دیا ہے۔ دنیا بھر کے مختلف مما لک گھو منے والے چا ر ہزار افراد نے اس سر...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jul 11, 2015 at 17:07
Category: health
Poetry / Poetry Sms
Zindagi Bhar Tumse Wafa Hum Karenge
zindagi bhar tumse wafa hum karenge,
yaad ko teri dil se juda naa karenge,
agar chod k chale gaye tanha raaho main,
phir aisi zindagi jee k hum kya karenge...
yaad ko teri dil se juda naa karenge,
agar chod k chale gaye tanha raaho main,
phir aisi zindagi jee k hum kya karenge...
·
1 Like ·
May 27, 2015 at 10:05
Category: poetry-sms
Sponored Video