Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ap Duniya Bhar Se Ulfat Kejiye
Ap duniya bhar se ulfat kejiye
mujh ko mera dil inayat kejiye
zabt se kya Khuun-e-hasrat kejiye
aik nala kar ke fursat kejiye
zoaq kahta hai ke manzil duur hai
shauq kahta hai ke himmat kejiye
gharq hi hona tha manzoor-e-Khuda
naa Khudaa ki kya shikayat kejiye
hazrat-e-Natiq jahan tak ho sake
apne dil meN zabt-e-ulfat kejiye
mujh ko mera dil inayat kejiye
zabt se kya Khuun-e-hasrat kejiye
aik nala kar ke fursat kejiye
zoaq kahta hai ke manzil duur hai
shauq kahta hai ke himmat kejiye
gharq hi hona tha manzoor-e-Khuda
naa Khudaa ki kya shikayat kejiye
hazrat-e-Natiq jahan tak ho sake
apne dil meN zabt-e-ulfat kejiye
·
1 Like ·
Jan 19, 2017 at 10:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zamanay Bhar Ke Nigahon Main Jo Khuda Sa Lagay
Zamanay Bhar Ke Nigahon Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hay Mager Mujh Ko Aashna Sa Lagay
Na Janay Kab Meri Dunya Main Muskuraye Ga
Wo Ak Shaks Kh Khuwabon Main Bhi Khafa Sa Lagay
Ajeeb Cheez Hay Yaaron Yeh Manzilon Ki Hawas
Keh Rehzan Bhi Musafir Ko Reh-Numa Sa Lagay
Dil Tabah ! Tera Mashwara Kia Kh Mujhay
Wo Phool Rang Sitara Bhi Be Wafa Sa Lagay
Hoti Hay Jis Say Munawar Har Ak Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kam-numa Sa Lagay

Oct 26, 2016 at 23:10
Category: sad
Advertisement
Articles / Featured
Ijunoon
Duniya Bhar Me Talaq Ki Aik Tehai Wajah Facebook
ایک حالیہ رپورٹ کے مطابق گزشتہ دو سالوں میں دنیا بھر میں ہونے والی ایک تہائی طلاقوں کا سبب کسی نہ کسی طرح فیس بک رہا ہے۔ رپورٹ کے مطابق گزشتہ سال برطانیہ میں فائل کیے گئے پانچ ہزار طلاق کے کیسوں میں س...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 25, 2016 at 19:10
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Yahi Aarzoo Rahi Umr Bhar K Muhabatain Meray Sath Hon
Yahi aarzoo rahi umr bhar k muhabatain meray sath hon..
Koi aisa jurm nahi kia k wazahatain meray sath hon...
Faqat ek shaks ki aarzoo mai guzar rahi hy zindagi..
Yeh talab nahi k tamam shehar ki chahatain meray sath hon...
Yeh nahi keh raha mai jo milay usay hamsafar hi banaon mai...
Jo tamam umr nibah sakay woh rafaqatain meray sath hon...

Oct 02, 2016 at 20:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aansu Bhar Aaye Aankh Main Har Ik Hansi Ke Baad
Aansu Bhar Aaye Aankh Main Har Ik Hansi Ke Baad
Gham Ban Gaya Naseeb Mera Har Khushi Ke Baad
Nikla Tha Kaarwaan Mohabat Ki Rah Main
Har Morh Peh Nafrat Khari Thi Har Gali Ke Baad
Socha Tha Piyar Ka Main Sajaoun Ga Gulsitaan
Har Phool Jal Gaya Mera, Bankar Kali Ke Baad
Chahat Ki Bebasi Ka Ye Qissa Hay Muktasar
Dil Ne Sakoon Na Paya Kabhi Dil Lagi Ke Baad
Ab Raakh He Samait Ta Hoon Aashiyane Ki
Khud Hi Jala Diya Tha Jisey Aajazi Ke Baad
Suntey Hain Baad Marne Ke Milta Hai Sab Sila
Dekhain Ge Kia Milega Humain Zindagi Ke Baad

Sep 08, 2016 at 20:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Phir Daaman E Ummiid Vo Pholon Se Bhar Gayaa
Phir Daaman-E-Ummiid Vo Pholon Se Bhar Gayaa
Jaaduu Bhari Nigaah Se Jadu Saa Kar Gayaa
Bas Dekhate Hii Dekhate Duniyaa Badal Gaii
Kuchh Sochate Hii Sochate Cheharaa Utar Gayaa
Betaab Beqaraar Thaa Pahale Hii Dil Bahut
Phir Aap Kaa Aanaa Aur Bhii Betaab Kar Gayaa
Ik Bekhudi Kaa Naam Muhabbat Hai Dosto
Chaahat Main Kis Ko Khabar Hai Kyaa Kyaa Guzar Gayaa
Kuchh Bhii Pataa Nahin Hai Muhabbat Main Ay Dost
Kab Raat Subah Ban Gai Kab Din Guzar Gayaa..

Sep 05, 2016 at 20:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko
Din Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh Ko
Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko
Uoon To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko
Bewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Sar-E-Sham Bujhaya Mujh Ko
Kaisay Bhoolon Ga Wohi Wasl Kay Lamhay
Yad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko..

2 Like ·
Sep 03, 2016 at 23:09
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Pait Bhar Kar Nasht Din Bhar Ki Thakan Se Nijat
اکثر لوگوں کو دوپہر کے اوقات میں شدید تھکن کا احساس ہوتا ہے جس کی وجہ سے ان کے گھریلو اور سماجی امور متاثر ہوتے ہیں۔ ماہرین نے چند ایسے طریقے اپنانے کا مشورہ دیا ہے جو اس تھکن سے نجات دلا سکتے ہیں۔ صب...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Aug 01, 2016 at 16:08
Category: health
Poetry / Love
Mohammad Asif
Na Jee Bhar Ke Dekhaa Na Kuch Baat Ki
Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...,
·
1 Like ·
May 12, 2016 at 07:05
Category: love
Sponored Video