Search
Articles / Featured
Ijunoon
Neend Kyu Raat Bhar Nahi Ati
اگر آپ کو نیند نہیں آتی تو آپ کو یہ جان کر ضرور ڈھارس ہوگی کہ اس مشکل میں آپ اکیلے ہی گرفتار نہیں۔ ایک نئی تحقیق سے انکشاف ہوا ہے کہ دنیا بھر کی آبادی کا ایک بڑا حصہ بے خوابی کا شکار ہے اور اس عارضے ک...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 11, 2017 at 13:10
Category: featured
Poetry / Sad
Pal Bhar Mein Tamam Umer Ki Sochein Badal Jati Hain
Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin raahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain
karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain
woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar saatain badal jati hain
sochti hoon jane kaisay keh paoon gi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain
chahe Manzil Dushwar ho or Duur bhi
humsafer us jaisa ho to musaftain badal jati hain
yun to Raat ka aalam haseen hota hai, madhosh bhi
magar chand dekhoon to meri ratein badal jati hain
mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi aadatain badal jati hain...!

Sep 30, 2017 at 10:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Lambay Safar Ki Oat Mein Pal Bhar Nahi Ruka
Lambay safar ki oat mein pal bhar nahi ruka
Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka
Phir aa gaya aik naya sal dosto...
es baar bi kisi say december nahin ruka
Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia k kahin per nahin ruka
Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay paas aa kay jo pathar nahin ruka
Chalta raha adoo ki safin rondta howa
Lakhon ka khoun-e-jigar kar k bhi lashkar nahi ruka
Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka...!

Aug 29, 2017 at 12:08
Category: sad
Poetry / Love
Ye Sach Hai Umer Bhar Pehli Muhabbat Yaad Rehti Hai
Safar Mein Apne Hisse Ki Musafat Yaad Rehti Hai
Kahin Abaad Honay Par Bhi Hijrat Yaad Rehti Hai
Wo Chahe Dosti Ho Dushmani Ho Ya Muhabbat Ho
Yahan Har Haal Mein Apni Zarurat Yaad Rehti Hai
Kisi Sehra Ko Pyasa Chorr Jata Hai Kabhi Darya
Kabhi Pyase Ko Darya Ki Sakhawat Yaad Rehti Hai
Ye Sach Hai Pehla Pyaar Hi Basa Rehta Hai Sanson Mein
Ye Sach Hai Umer Bhar Pehli Muhabbat Yaad Rehti Hai...!

Aug 23, 2017 at 22:08
Category: love
Poetry / Love
Umar Bhar Apni Muhabbat Par Raha Naaz Mujhe
har tarannum me mile he teri awaz mujhe
ek hii naghma sunata hai har ek saaz mujhe
ishq ka bhi koi anjaam hua karta hai
ishq me yaad hai aghaz hi aghaz mujhe
jaise virani se Takaraa ke palatti hai sadaa
dil ke har goshe se aye terii aavaaz mujhe
jo kisi ko bhi na chaahe usay chahana
umar bhar apni muhabbat par raha naaz mujhe

Jul 03, 2017 at 06:07
Category: love
Poetry / Sad
Dil K Aatishdan Main Shab Bhar
Dil k aatishdan main shab bhar
Kaisay kaisay gham jaltay hain!!!
Neend bhara sanata jis dam
Basti ki ik ik gali main
Khirki khirki tham jata hai
Dewaron per dard ka kohra jum jata hai
Rasta taknay wali aankhen or qindelain bujh jati hain
To us lamhay,
Tery yaad ka endhan ban kar
Shola shola hum jaltay hain
Doori k mosam jaltay hain
Tum kya jano,
Qatra qatra dil main utarti or pighalti
Raat ki sohbat kya hoti hai!
Ankhen saray khawab bujha den
Chehry apnay naqsh ganwa den
Or ainay aks bhula den
Aisay main umeed ki wehshat
Dard ki sorat kya hoti hai
Aise tez hawa main piyaray,
Barray barray muunh zor diye bhi kam jaltay hain
Dil k aatishdan main shab bhar
Teri yaad ka eendhan ban kar
Hum jaltay hain ...!

Jun 14, 2017 at 02:06
Category: sad
Poetry / Love
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain

So Hum Bhi Hoslay Apnay Jigar Kay Dekhtay Hain
Ragon Men Dourta Phirta Hai Wo Lahu Ban Kar
Usay Hum Apnay He Dil Men Utar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Sabr Say Jo Bhi Milay Wo Nourus Hai
So Hum Bhi Zaiqay Apnay Samar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Us Kay Bhi Dil Men Khayal Paltaay Hain
So Es Khayal Ko Tehreer Kar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ki Maseehai Ka Hai Rang Juda
So Aaj Hum Bhi Hawa Men Bikhar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Uski Nigaahen Bhi Shair Kehti Hain
So Aaj Hum Bhi Qareenay Nazar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Zoam Hai Usko Kuch Apnay Khowabon Par
So Us Kay Khvab Ko Tabeer Kar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Muunh Say Jo Niklay Qabool Hota Hai
So Hum Bhi Moajzay Lail e Qadr Kay Dekhtay Hain
Wo BayWafa Hai Usay Pas e Ishq Raas Nahi
Muhabbaton Say Hum Apni Mukar Kay Dekhtay Hain.

Jun 13, 2017 at 08:06
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujhay Aarzo e Sehar Rahi Yon Hi Raat Bhar
Mujhay Aarzo -e- Sehar Rahi Yon Hi Raat Bhar Bari Dair Tak
Na Bikhar Sakay Na Simat Sakay Yon Hi Raat Bhar Bari Dair Tak
Hay Bohat Aazab Or Akelay Hum, Shab -e- Ghum Bhi Meri Taveel Tar
Rahi Zindagi Bhi Saraab Or Rahi Aankh Tar Ba Tar Dair Tak
Yaha Har Taraf Hay Ajeeb Samaan, Sab Hi Khud Pasand, Sab Hi Khud Numa
Dil -e- Be Qaraar Ko Na Mila Koii Chara Gar Bari Dair Tak
Mujhay Zindagi Hay Azeez Tar, Isi Wastay Meray HumSafar
Mujhay Qatra Qatra Pila Zehar Jo Karay Asar Bari Dair Tak

Apr 27, 2017 at 11:04
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Umr Bhar Jaagay Mgar Us Shab Ki Qasam
DIL JALOON SAY DIL JALOON KA RAABTA ACHA LAGA
DO GHARRI MIL BAITHNAY KA SILSILA ACHA LAGA
KOI KHOOBI TO NA THEE MUJH MEI KE CHAAHA JAAUN
PHIR NAJANAY KYUN USAY CHEHRA MERA ACHA LAGA
RAAT SAARI JAGNAY K BAAD MUJH KO SUBHA
NEEM BAAZ AANKHON SAY US KA DEKHNA ACHA LAGA
BAAT MERI AUR MUKHATAB US KA HONA GHAIR SAY
USKA YEH TARZ E TAKKALUM BHI BARA ACHA LAGA
SIR MERAY SEENAY PAY RAKH K US NAY SHARMATAY HUAY
SATH JEENAY MARNAY KA WAADA KIYA ACHA LAGA
APNAY CHEHRAY PAr JO DEKHAY US K HONTON K NAQOOSH
MUDDATON K BAAD MUJH KO AAINA ACHA LAGA
UMR BHAR JAaGAY MGAR US SHAB KI QASAM
SATH UN KO BHI JaGAA KAR JAAGNA ACHA LAGA

Apr 20, 2017 at 16:04
Category: love
Sponored Video