Search
Poetry / Sad
Muhabbat Heer Aur Ranjha Tak Hi To Mahdood Nahi
Teri baat mukammal thi na meri baat adhuri thi
ye takmeel adhore pan ki payar main buhat zarori thi
to ne yon mehsoos kiya he warna dil main kuch bhi na tha
bas ik teri chahat thi or wo bhi ghair shaori thi
payar k deep jalaye rakhna apni apni rahon par
teri bhi majbori thi or maire bhi majbori thi
mere samne beth k jaise us ne nazar andaaz kiya
kon kahe ga apne dil ki us k dil se doori thi
muhabbat heer aur ranjha tak hi to mahdood nahi
na mare kano main bali na us k haath main chorri thi...!

·
1 Like ·
Sep 05, 2017 at 16:09
Category: sad
Poetry / Sad
Hai Aur Kya Jisay Dekhien Teray Jamaal Key Bad
hai aur kya jisay dekhien teray jamaal key bad
tamam umr katti intezar mein apnii
koii bhi dukh na milla phir teray malal key bad
jawaab mil gya mujhey teri khamoshi sey
tumharey lafz kyoun khoye meray sawaal key bad
tumharey meray taaluq pey youn khizaan chaye
kabhi urooj nahi hai jisay zawaal key bad
main teri yaad key chehray ko dhaanp doon lekin
bachay ga kya meri jholi mein es kamaal key bad
wo ab kii baar milla es qadar takaluf sey
k kuch bhii na pooch paya main us sey haal key bad...!

2 Like ·
Sep 02, 2017 at 14:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Dhoop Aur Chhaon Ke Nazare Thay
Dhoop aur chhaon ke nazare thay
Dil ki daulat jahan pe harray thay
Bewafaai ka ab gilaa kaisaa
Aap pehle bhi kab hamare thay
Bewafaai ka ab gilaa kaisaa
Aap pehle bhi kab hamare thay
Meri aankhon mai phailte huye rang
Kal talak aapko bhi pyare thay
Hai gharonda mera to mitti ka
Teri raahon mai chand tarey thay
Chhoo liya tha gulon ko chahat se
Jal gaye haath wo sharare thay...!
Dil ki daulat jahan pe harray thay
Bewafaai ka ab gilaa kaisaa
Aap pehle bhi kab hamare thay
Bewafaai ka ab gilaa kaisaa
Aap pehle bhi kab hamare thay
Meri aankhon mai phailte huye rang
Kal talak aapko bhi pyare thay
Hai gharonda mera to mitti ka
Teri raahon mai chand tarey thay
Chhoo liya tha gulon ko chahat se
Jal gaye haath wo sharare thay...!
·
1 Like ·
Aug 26, 2017 at 02:08
Category: sad
Poetry / Love
Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi Kuch To Karo Mera Khayal
Aankhon Men Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad o Khaal Sey
Lab Pey Hain Kuch Sawal Sey,Dil Men Hain Kuch Malaal Sey
Tu Jo Gaya To Youn Laga, Tanha Hoon Kainaat Main
Raatain Thaki Thaki Meri, Din Bhi Meray Nidhaal Sey
Itney Qareeb Hoon Teray, Rasta Na Wehem Ko Milay
Soun Teray Hisaar Main, Jagoon Teray Jamal Sey
Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal
Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Sey
Tujh Si Haseen Ghazal Koi, Mujh Sa Ghazal Sara Koi
Duniya Main Ho Ager Kaheen, Waazeh Karo Misaal Sey
Uss Se Gila Ay Dosto, Itna Sa Hai K Wo Mujhey
Samjha Nahi Hai Aaj Tak, Ghaafil Hai Meray Haal Sey...!

Aug 24, 2017 at 10:08
Category: love
Poetry / Sad
Raastay, Manzilain, Justaju Aur Main
raastay, manzilaiN, justaju aur maiN
ham nafas, ik teri aarzu aur maiN
koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahiN
aaina hai mere rubaru, aur maiN
jugnuoN ki talab ka sila yeh mila
teergi hai mere chaar su, aur maiN
khwaab ki titliyaN jab urain aankh se
reh gai khwahish-e-rang-o-bu, aur maiN
raat bhar jaagtay haiN sitaroN talay
tera lehja, teri guftagu, aur maiN
aankh maiN khwaab ki kirchiyaN reh gayeeN
hath meiN qismatoN ka lahu, aur maiN
sochti hooN kahaN jaooN, kis se kahooN
shehr dushman, Faza bhi raqeeb, aur maiN
daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
ro diye haiN, teri aarzu, aur maiN
raig-e-sehra huwe haiN tere ishq maiN
mere ehsas ki aabru, aur maiN
mere saahir, bichaRtay samay reh gayeeN
teri aankhaiN mere chaar su, aur maiN
kaash aisa ho, saahil kinaray kabhi
aur koi na ho, sirf tu, aur maiN...!

Aug 20, 2017 at 10:08
Category: sad
Poetry / Sad
Wo Kisi Aur K Aangan Me Ha Chaaon Ki Tarha
karri dhoop me jaltey hue paon ki tarha..
wo kisi aur k aangan me ha chaaon ki tarha
wo to waqif ha mere jazbon ki sacchai se
phir kyu khamoosh ha pathar k khudaon ki tarha
main to khooshbu ki tarha sath raha hon us k
wo bhatakti rahi bechain hawaon ki tarha
hum jo barbaad hue thy hm jo badnaam hue
wo to masoom rahi apni aadaon ki tarha
gham to ye ha k hame koi khushi raas na aai
zindigi kaat rahey hain ham sazaon ki tarha....!

Aug 13, 2017 at 21:08
Category: sad
Social Wall / Text
Pinky Queen
Paani Zyada Piye Aur Honton Ko Phatnay Se Bachayen
·
0 Like ·
Aug 09, 2017 at 10:08
Category: text
Articles / Featured
Ijunoon
Shamsi Tavani Ka Kal Aur Aaj
بنیادی طور پر سولر انرجی یا شمسی توانائی کے استعمال کا نظریہ قریب ڈھائی سو سال پرانا ہے۔ دن بھر سورج کی توانائی کو ذخیرہ کرکے شب کے اندھیرے میں اس کا استعمال بیسویں صدی میں شروع ہوا۔
تجرباتی مرحلے...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Aug 02, 2017 at 07:08
Category: featured
Social Wall / Text
Samra Mushtaq
Karachi Ka Businessman Aur American Businessman
·
0 Like ·
Jul 21, 2017 at 09:07
Category: text
Sponored Video