Search
Poetry / Love
Umar Bhar Apni Muhabbat Par Raha Naaz Mujhe
har tarannum me mile he teri awaz mujhe
ek hii naghma sunata hai har ek saaz mujhe
ishq ka bhi koi anjaam hua karta hai
ishq me yaad hai aghaz hi aghaz mujhe
jaise virani se Takaraa ke palatti hai sadaa
dil ke har goshe se aye terii aavaaz mujhe
jo kisi ko bhi na chaahe usay chahana
umar bhar apni muhabbat par raha naaz mujhe

·
1 Like ·
Jul 03, 2017 at 06:07
Category: love
Social Wall / Photos
Sadaf Butt
Apni Aur Dost Ki Pehchaan
·
0 Like ·
Jul 02, 2017 at 11:07
Category: photos
Advertisement
Poetry / Love
Apni He Rawani Men Behta Nazar Aata Hai
apni he rawani men behta nazar aata hai
yeh shehar bulandi say darya nazar aata hai
deta hai koi apnay daaman ki hawa isko
shola sa meray dil men jalta nazar aata hai
us haath ka tohfa tha ik daagh meray dil par
wo daagh bhi ab lekin jata nazar aata hai
aankhon kay muqabil hai kesa yeh ajab manzar
sehra to nhi hai lekin sehra nazar aata hai
ik shakal see banti hai her shab meri neendon men
ik phool sa khowaboon men khilta nazar aata hai
aankhon nay nhi dekhi us jism ki ranaie
yeh chaar taraf jis ka saya nazar aata hai
darya ko kinaray say kya dekhtay rehtay ho
ander say kabhi dekho kesa nazar aata hai

Jun 22, 2017 at 12:06
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Apni Mohabbat Mein Dil Ko Thora Khula Rakhna
Tumhein yaad kar lein to sabar haar jaatay hain
Hijer ke musaafir apna safar haar jaatay hain
Thori duur tak teri tamanna le ke chalte hain
us se aagay phir apnay muqaddar haar jaatay hain
Haey wo husn ki chamak, aur dekh raha hoon
isi shauq mein deewane, nazar haar jaatay hain
pehli mulaqaat mein sach wo meri ho gai thi
laikin taez dornay walay aksar haar jatay hain
tamaam umar chah kar bhi aaj tum se duur hoon
raat saari jaag kar hum, sehar haar jaatay hain
Achanak sath chhor kar be bas kar gia aisay
urran mein jaisay parinday, par haar jaatay hain
apni mohabbat mein dil ko thora khula rakhna
tang dareechon walay loag, aakhir haar jaatay hain

Jun 07, 2017 at 04:06
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Yahaan Apni Apni Baari Par
Yahaan apni apni baari par…
Sab hanstay hain…
Sab rotay hain…
Dil to sab k hee hotay hain…
Dukh bhi sab ko hotay hain…
Kuch ashk dilon par girtay hain…
Kuch mitti main mil jaatay hain…
Kuch lafz adaa ho jaatay hain…
Kuch honton main sil jaatay hain…
Maana k adhooray rehtay hain…
Par khuwaab to sab k hotay hain…
Kuch kho kar bhi paa laitay hain…
Kuch paa kar bhi kho daytay hain…
Yahaan apni apni baari par…
Sab hanstay hain…
Sab rotay hain…!
Sab hanstay hain…
Sab rotay hain…
Dil to sab k hee hotay hain…
Dukh bhi sab ko hotay hain…
Kuch ashk dilon par girtay hain…
Kuch mitti main mil jaatay hain…
Kuch lafz adaa ho jaatay hain…
Kuch honton main sil jaatay hain…
Maana k adhooray rehtay hain…
Par khuwaab to sab k hotay hain…
Kuch kho kar bhi paa laitay hain…
Kuch paa kar bhi kho daytay hain…
Yahaan apni apni baari par…
Sab hanstay hain…
Sab rotay hain…!
·
1 Like ·
May 21, 2017 at 14:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Sitara Apni Bhi Tabandagi Na Dekh Saka
Wo DhoondTi K Ye Manzar Koii Na Dekh Saka
Talash Kartay Howay Ungliyaan Jala Daalain
Wo Tirgi Thi Keh Main Shama Bhi Na Dekh Saka
Mila Tha Shaam Mujhay Ak Bujha Howa Sooraj
Main Us Kay Baad Phir Roshni Na Dekh Saka
Jo Rabt Baaki Tha Sab Qata Kar Liya Us Nay
Wo Meharbaa Meri Be Chaargi Na Dekh Saka
Nigah Wesay Tu Baam -e- Falak Ko Choo Aaii
Mager Jis Zameen Pay Khara Tha Wahi Na Dekh Saka
Wahi Hay Aaina Khaana Wahi Hain Tasveerain
Main Umar Bhar Koii Soorat Naii Na Dekh Saka
Tamaam Shaher Main Wo Deedawar Howa Mashoor
Wo Apni Naak Say Aagay Kabhi Na Dekh Saka

May 04, 2017 at 04:05
Category: sad
Poetry / 0
Ijunoon
Mein Nay Apni Mihabbat Sapurd Ki Hai Tujhay
MEIN NAY APNI MIHABBAT SAPURD KI HAI TUJHAY
SO DEKH! MERI AMAANAT SANBHAAL KE RAKHNA
ISAY BAHAARON KE NARM HATON NAY PAALA HAI
SOO ES KO GARAM HAWA SAY BOHAT BACHA KE RAKHNA
MIZAAJ ISKA HAWAAON KI TARHA SARKASH HAI
SO ISKI JUNBISH E ABROO KO DEKHTAY REHNA
NAHIN YEH SUNNAY KA AADI NHI RAHA HAI KABHI
SO ISKI BAAT!WO KESI HO,MANTAY REHNA

Apr 29, 2017 at 17:04
Category: 0
Social Wall / Text
Asiya Faheem
Apni Kharabion Ko Pas E Pusht Daal Kar
apni kharabion ko pas e pusht daal kar har shakhs keh raha hai zaman kharab hai
·
2 Like ·
Mar 05, 2017 at 05:03
Category: text
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apni Har Baat Main De De K Hawalay Mere
Apni Har Baat Main De De K Hawalay Mere
Uss Se Kehna K Na Yun Dard Uchalay Mere
Main Ne Palkon Se Chunay Khaar Bhi Jis Ki Raah K
Uss Sitamgar Ne Bhi Kantay Na Nikalay Mere
Main Lahoo Dun Ga Charaghon Ko Magar Woh Aa Kar
Apne Daghoon Main Saja Le Ga Ujalay Mere
Kuch Na Paon Ga Saraabon K Siwa Main Lekin
Dasht Main Phool Khila Jain Gay Chaalay Mere
Kitnay Pur-Noor Haqaaiq Ka Pata Detay Hain
Daikhnay Ko To Yeh alfaaz Hain Kaalay Mere
Baant Letay Hain Yeh Ashaar Mere Har Ghum Ko
Yeh Mere Lakht-E-Jigar , Laad K Palay Mere
Lamha Lamha Dil-E-Anwar Dua Deta Hai
Tu Salamat Rahay , Ay Bhoolnay Walay Mere

Feb 28, 2017 at 05:02
Category: sad
Sponored Video