Archives

Please Login to Send Message.

Kashif Yaqoob

From : Pakistan
Followers : 0   Total Updates : 1675
Member Since : Aug 24, 2012
Jokes / Miscellaneous

Kashif Yaqoob

Kisi Ki Shakal Itni Buri Nhi Hoti.

Truth:
Kisi ki Shakal itni buri nhi hoti jitni
uske Identity card me hoti hai
.
.
.
.
.
.
.
Or itni khoobsoorat bhi nahi hoti jitni
Facebook ki profile me hoti hai

#truth #funny

· 2 Like · Mar 15, 2018 at 20:03
Category: miscellaneous
 
Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna
Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne

Kese Ban Gaye Hain TereMere Hathon Main
Apne Naam Ki Lakeer Dekhna

Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne

Kese Ban Gaye Hain Tere Pyar Mein Faqeer Dekhna
Boht Naaz Hy Na Tujy Apni Husn ki Dolat Per Dost
Mere Paas B Hy Zakhmon Ki Jageer Dekhna

Mere Ho Or Mere Hi Raho Ge Hamesha
Rang Laaye Gi Sachey Pyar Ki Taseer Dekhna

Bohat Zulm Sahey Hain Teri Judai K Ham Ne ""
Sada Ek Jesi Nhi Rehti Taqdeer Dekhna

· 6 Like · Mar 09, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Advertisement
Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Hum Sa Ho Nahi Sakta...

Zamane Me Bhi Dhoondo Ge...
To Hum Sa Ho Nahi Sakta...
Sada Us Ko Hi Chahte Hain...
Jo Apna Ho Nahi Sakta...
Bohut Ujra Huwa Dil Hai...
Magar Apna Aqida Hai...
Jahan Mehken Teri Yaadain...
Wo Sehra Ho Nahi Sakta...
Kisi Ki Yaad Ab Bhi...
Raat Ko Sooney Nahi Deti...
Shab_e Tnhai Se Keh Do...
Main Tanha Ho Nahi Sakta...
Kuch Us Ki Bhi Khatayen Thi...
Wabaal_e Zindgi K Saath...
Sabhi Kuch Hi Muqaddar Ka...
Likha To Ho Nahi Sakta...
Juda Ho Kar Bhi DONO...
Jee Rahey Hain 1 Muddat Se...
Kabhi DONO Hi Kehtey The...
K AISA HO NAHI Sakta...

· 2 Like · Mar 09, 2018 at 14:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Safar E Wafa Ki Raah Me Manzil

Safar-E-Wafa ki raah me manzil jafa ki thi.
Kaghaz ka ghar bana k bhi
Khawahish hawa ki thi.
Thi jugnuon k shehar mein
Taroon sy
dushmani,
Mashooq chaand tha aur tamana sub'ha ki thi.
Tumne to ibadt ka tamasha bana dia,
Chahat namaaz ki thi per aadat qaza ki thi.
Main ne to zindgi ko teray naam likha tha,
Shayed magar kuch aur hi marzi khuda ki thi.
Dard he dena tha to pehly bata dety,
Hum ko bhe azal se he tamana saza ki thi.

· 1 Like · Mar 09, 2018 at 08:03
Category: sad
 
Poetry / Poetry Sms

Kashif Yaqoob

Wo Mere Bare Me Sochta Hai


"Wo mere bare me sochta hai yehi bohat hai
"Use main dekhon to dekhta hai yehi bohat hai.
"Wo khud ko mera nhi smjhta to koi Gham nhi
"Wo mujhko apna to janta hai yehi bohat hai.
"Haqeeqton me milap uska nhi zarori
"Wo mujhe Khawabon me milta hai yehi bohat hai.
"Agr wo mera nhi hua ye mera Muqadar
"Mgr main to uska hon yehi bohat hai
"Wo mujhe nhi chahta to koi Gham nhi
"Meri Mohabat ko to manta hai yehi bhot hy.

· 3 Like · Mar 09, 2018 at 02:03
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Kashif Yaqoob

Wapsi Ki Tamam Raahein

Wapsi Ki Tamam Raahein
Khuli Hain Ab Bhi Tumahari Khatir
Ya Hai Behter Tumhare Haq Mein
Palat He Jao…
K Raahein,Meri Ujaar Raahein
K Shaamein,Meri Wairan Shaamein
K Charon Jaanib Hai Ghup Aandhaira
Nahi Kahi Pa Chamakta Suraj
Na Hai Sawaira
Hai Charon Janib Fasil(Firewall) Aysi
K Jis Ko Ubur Kerna
Tumare Bus Me Na Apny Bus Me
Palat He Jao…
k Meri Raahon Me Manzilo Ka Nisha Nahi Hai
Faqat Safer Hai
Kathin Safer Hai

· 2 Like · Mar 08, 2018 at 20:03
Category: poetry-sms
 
Poetry / Love

Kashif Yaqoob

Tumhay Zidd Hai K Main Keh Doon

Tumhay zidd hai k main keh doon
Mujhay zidd hai k tum keh dou
Mujhay tum say mohabbat hai
Kaho mujh say mohabbat hai
Nahin yeh jantay dono
Mohabbat kab bhala mohtaaj hai lafzo ki
Mohabbat tou hamari dharkano ki saaz main shamil
Sureeley geet ki manind
Mohabbat yaad ki devi
Jo tanha raat ko aksar utar aati hai aankho main
Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk say honto main
Mohabbat sandali haathon ki nazuk larzish main hai
Mohabbat soch ki gehraiyon say phootti khushboo
Hamesha saath rehti hai
Mohabbat aankh main palta woh pur-israr jazba hai
jisey ab tak nahin koi samajh paya
Na iss ki koi surat hai
Na iss ka koi paymana
Dhakay alfaaz main iss ka bohat izhar hota hai
Kuch aisay he k jaisay aab
Taha-e-dil say tou hum dono bohat iqrar kartey hain
Magar phir bhi na janay kiyon
Tumhayn zidd hai k main keh doon
Mujhey zidd hai k tum keh dou.

· 3 Like · Mar 07, 2018 at 19:03
Category: love
 
Poetry / Love

Kashif Yaqoob

Jo Humne Chupa K Rakhi Thi

Jo humne chupa k rakhi thi, us baat k charchay aam huway

Jo chori chori hoti thi mulaqaat k charchay aam huway

Ye soch b sakta tha koi tum chor k chal do gay kabhi

Is baar ki phiki phiki si barsaat k gul be naam huway

Ye wisal judai k qisay halaat ka hisa hotay hain

Yoon rishta tor k chal dena rishtay is se badnaamhuway

Kabhi dosti thi, mulaqaat b thi ik bohat hi payara rishta tha

Rahi ab to nahi koi dushmani bhi ye bohat puranay naam huway

Hum batain aap se kartay hain jab khuwaabo main a jatay ho

Bas tumko wapis lanay main seemab ji hum nakaam huway

· 3 Like · Mar 06, 2018 at 06:03
Category: love
 
Poetry / Love

Kashif Yaqoob

Jo Humne Chupa K Rakhi Thi

Jo humne chupa k rakhi thi, us baat k charchay aam huway

Jo chori chori hoti thi mulaqaat k charchay aam huway

Ye soch b sakta tha koi tum chor k chal do gay kabhi

Is baar ki phiki phiki si barsaat k gul be naam huway

Ye wisal judai k qisay halaat ka hisa hotay hain

Yoon rishta tor k chal dena rishtay is se badnaamhuway

Kabhi dosti thi, mulaqaat b thi ik bohat hi payara rishta tha

Rahi ab to nahi koi dushmani bhi ye bohat puranay naam huway

Hum batain aap se kartay hain jab khuwaabo main a jatay ho

Bas tumko wapis lanay main seemab ji hum nakaam huway

· 1 Like · Mar 06, 2018 at 00:03
Category: love
 

Kashif Yaqoob

Gender :
Country : Pakistan

Followers : 0  
Total Updates : 1675
Member Since : Aug 24, 2012

More Details

Educaiton : Masters
Religion : Islam
Caste : Chohan
Language : Urdu
Coming Soon!


This user has not uploaded any photo.
Coming Soon!
Sabr Ki 2 Surtein hain.
Posted by madiha sultan
Posted on : Sep 08, 2016

Random Post

Kashif Yaqoob Photos

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS