Archives

Please Login to Send Message.

Zahid Mahmood

From : Pakistan
Followers : 0   Total Updates : 67
Member Since : Mar 17, 2014
Poetry / Sad

Zahid Mahmood

Ye Dil Barbaad Karke Su Mein Kyun Abaad Rehte Ho.

Ye Dil Barbaad Karke Su Mein Kyun Abaad Rehte Ho
Koi Kal Keh Raha Tha Tum AllahabadRehte Ho
Ye Kaisi Shohratein Mujhko Ata Kar Di Mere Maula
Main Sabh Kuch Bhool Jaata Hoon Magar Tum Yaad Rehte Ho
Panahon Mein Jo Aaya Ho To Us Par Vaar Kya Karna
Jo Dil Hara Hua Ho Us Pe Fir Adhikaar Kya Karna
Mohabbat Ka Maza To Doobne Ki Kashmakash Mein Hai
Jo Ho Maloom Gehrayi To Dariya Paar Kya Karna
Hamare Sher Sun Kar Bhi Jo Khamosh Itna Hai
Khuda Jaane Guroor-e-Husn Mein Madhosh Kitna Hai
Kisi Pyale Se Poocha Hai Suraahi Main Sabab Mein Ka
Jo Khud Behosh Ho Wo Kya Bataye Ke Hosh Kitna Hai
Wo Jiska Teer Chupke Se Jigar Ke Paar Hota Hai
Wo Koi Gair Kya Apna Hi Rishtedaar Hota Hai
Kise Se Apne Dil Ki Baat Tu Kehna Na Bhoole Se
Yahan Khat Bhi Thodi Der Se Akhbaar Hota Hai
Jab Aata Hai Jeevan Mein Halaaton Ka Hungama
Jazbaton, Mulakaton, Haseen Baaton Ka Hungama
Jawani Ke Qayamat Daur Mein Ye Soch Te Hain Sabh
Ye Hungame Ki Raatein Hain Ya Raaton Ka Hungama
Na Paane Ki Khushi Hai Kuch
Na Khone Ka Hi Kuch Gam Hai
Ye Daulat Aur Shohrat Sirf
Kuch Zakhmo Ka Marham Hai
Ajab Si Kashmakash Hai
Roz Jeene,Roz Marne Me
Mukkammal Zindagi To Hai
Magar Poori Se Kuch Kam Hai
Koi Khamosh Hai Itna, Bahane Bhool Aaya Hoon
Kisi Ki Ik Taranum Mein Taraane Bhool Aaya Hoon
Meri Ab Raah Mat Takna Kabhi e Aasmaan Walo
Main Ik Chidiya Ki Aankhon Mein Udaane Bhool Aaya Hoon.

· 0 Like · Jul 03, 2018 at 04:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Zahid Mahmood

Abhi Ik Hijr Baaqi Hai.

Abhi Ik Hijr Baaqi Hai ....
Abhi Ik Hijr Baaqi Hai.
Abhi Toh Bas Aziat Hai.
Aziat Dar Aziat Hai.
Abhi Kuchh Talkhia''n Bhi Hein.
Abhi Takleef Ke Manzar.
Bohot Pursoz Hein Lekin
Abhi Rastay Bhi Baaqi Hein.
Abhi Pa''on Salamat Hein.
Abhi Aankhen Nahin Thehri.
Abhi Manzil Se Mayoosi Nahin.
Umeed Toh Kuch Hai.
Abhi Tareekh Lamho''n Ne.
Seher Ki Baat Toh Ki Hai.
Abhi Zindah Hein Hum Lekin.
Kabhi Jab Hum Nahin Hon Ge.
Toh Ab Samjhe.
Abhi Ik Hiijr Baaqi Hai ...

· 0 Like · Jun 15, 2018 at 17:06
Category: sad
 
Advertisement
Poetry / Sad

Zahid Mahmood

Na Jane Kia Kaha Tha

· 1 Like · May 19, 2018 at 00:05
Category: sad
 
Jokes / Miscellaneous

Zahid Mahmood

Gumshuda Biwi

· 2 Like · May 13, 2018 at 06:05
Category: miscellaneous
 
Poetry / Poetry Sms

Zahid Mahmood

Jo Kabhi Ho Tere Dil Main Sawal,

"Jo kabhi ho tere dil main sawal,
K kitni h mujhe zarurat teri"
"To zara apni sans rok''kar, sanson ki talab mahsoos kar lena...!!!

· 1 Like · May 04, 2018 at 19:05
Category: poetry-sms
 
Jokes / Miscellaneous

Zahid Mahmood

You Have 10 Fish, 5 Drown, 3 Come Back To Life.

You have 10 fish, 5 drown, 3 come back to life. How many fish do you have?
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
...
Stop counting smart one. Fish can''t drown

· 1 Like · Apr 23, 2018 at 09:04
Category: miscellaneous
 
Jokes / Baap Aur Beta

Zahid Mahmood

Ghar Mai Chakkar

Bacha: Abbu kia aap kisi se pyat karte hain?
Abbu: Haan Tumhari ammi se.
Bacha: Abbu Buhat Chalak ho, ghar mai hi chakkar chalaya hua hai.

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 22:03
Category: baap-aur-beta
 
Jokes / Baap Aur Beta

Zahid Mahmood

Sari Mehnat Zaya Hojati

Baap: Beta koi baat nahe tumhari qismat mai Fail hona hi likha tha

Beta: Jee Papa, acha howa mai ne pura saal parha nahe ki warna sari mehnat zaya hojati

· 3 Like · Mar 09, 2018 at 12:03
Category: baap-aur-beta
 
Social Wall / Photos

Zahid Mahmood

Single And Married Girls Vs Single And Married Boys

· 0 Like · Sep 23, 2017 at 04:09
Category: photos
 

Zahid Mahmood

Gender : Male
Country : Pakistan

Followers : 0  
Total Updates : 67
Member Since : Mar 17, 2014
    This user has no friend
Coming Soon!


This user has not uploaded any photo.
Coming Soon!
aameen :)
Posted by eshwa khan
Posted on : Aug 07, 2016

Random Post

Zahid Mahmood Photos

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS