Poetry / Sad

Ab To Tabeer Ki Hasrat Hi Nahi Hai Mujh Ko

Mit gaya hun mujh ko mita rehnay do
Meray jazbat k sholon ko bujha rehnay do

Dard sehnay ki ho gai hai ab aadat mujh ko
Meray rastay hoe zakhmon ko haraa rehnay do

Ab to tabeer ki hasrat hi nahi hai mujh ko
Meri ankhon mein mera khawab chupa rehnay do

Muskurahat pe mera haq he nahe hai yaaro
Meray honton say tabassum ko khafa rehnay do

Dil jo toota hai to ankhein na chalak jayen
Aaj ankhon ko in ashkon say bhara rehnay do... .

· 1 Like · Jul 07, 2017 at 05:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suna He Aaj Kal Woh Pareshan Rehti Hay

Suna he aaj kal woh pareshan rehti hay
us se kehna befikar hm bhi nahi hain

suna he woh gum sum rehti hay
us se kehna hosh me hm bhi nahi hain

suna he woh raaton ko jaaga karti hay
us se kehna sote hm bhi nahi hn

suna he woh chuup chuup k roti hay
us se kehna hanste hm bhi nahi hain

suna he woh mujhe bohat yaad karti hay
us se kehna bhoole hum bhi nahi hain

suna he us ne wafa ka daawa kiya hay
us se kehna bewafa hum bhi nahi hain...

· 1 Like · Jul 06, 2017 at 23:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suno !

Suno !
hum tott jayen gaay kay doori sah nahi payen gaay
judaie maar daaley gi
suno !
ya ankhain boujhal hain
inhay kis tarah bhulaayen
suno !
hum so na payen gaay
kabhi khush ho na payen gaay
judaie maar daaley gi
suno !
ya dil tumhara hai
na tum ban ab guzaraa hai
suno !
kuch waqt do hum ko
bana lein dost es gham ko
hamein maloom hai aakhir
judaie maar daaley gi !

· 1 Like · Jul 05, 2017 at 21:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhaane Ke Liye Aa

ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhor ke jaane ke liye aa
pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-e-duniya hi nibhanay ke liye aa
kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa
ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi mehroom
ay raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khush feham ko tujh se hain umeedain
ye aakhri shammen bhi bujhaane ke liye aa
maana ki muhabbat ka chupana hai muhabbat
chup ke se kisi roz jatane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aisay hi kisi roz na jaane ke liye aa

· 1 Like · Jul 05, 2017 at 08:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muhabbat Choar Di Hum

abi jo laut k phir tum humare dar pe aye ho
ye tum se keh diya kis ne k...
tum bin reh nahi sakte?
ye dukh hum seh nahi sakte?
agar tum janna chaho k
aisa kyun kiya hum ne?
ye dukh kyun seh liya hum ne?
to sun lo ghaur se jana
porani ehd-e-rafta ki
riwayat toOr di hum ne
MUHABBAT CHOAR DI HUM

· 1 Like · Jul 04, 2017 at 20:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Phir Ek Cigrate Jala Raha Hoon

phir ek cigrate jala raha hoon
phir ek teeli bujha raha hoon
teri nazar me ye mashghala hai
me to us ka wada bhula raha hoon.
samjhna mat isko meri aadat
ye dhuan jo me urra raha hoon
ye teri yadoon k silsilay hain
me teri yaadain jala raha hoon.

main to aaj itna behek chuka hoon
k gham k qissay suna raha hoon
agar tumhain bhi gham hai to paas aoo
me pee raha hoon pila raha hoon.

hain meri ankhain to aaj purnam
magar me sub ko hansa raha hoon
tumhe kya matlab hamaray gham se pagli
me to yun hi tumko suna raha hoon.

agar bura laga to maaf karna
me dil k qissay suna raha hoon.
phir ek cigrate jala raha hoon
phir ek teeli bujha raha hoon

· 1 Like · Jul 04, 2017 at 02:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tanhaai Ko Ghar Se Rukhsat Kar To Don

mere baad kidhar jay gii tanhaai
main jo maraa to mar jay gii tanhaai

main jab ro ro ke dariya ban jaon gaa
us din paar utar jaay gi tanhaai

tanhaai ko ghar se rukhsat kar to don
socho kis ke ghar jaay gi tanhaai

virana hon abadi se aya hun
daikhe gi to Darr jaay gi tanhaai

yun aao ke paaon ki bhi aavaaz na ho
shor hoa to mar jaay gi tanhaai

· 1 Like · Jul 03, 2017 at 18:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ajeeb Hijar Parasti Thi Us Ki Fitrat Mai

Ajeeb hijar parasti thi us ki fitrat mai
Shajar k tutay pattay talash karta tha

tamam raat wo parday hata k chand k sath
Jo kho gaye wo lamhe talash karta tha

Duaen karta tha ujray hue mazaron per
Barray ajeeb saharay talash karta tha

Mujhay to aj btaya hai badlon ne faraz
Wo lot aanay k rastay talash karta tha.

· 1 Like · Jul 02, 2017 at 16:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Woh Pyar K Jazbay Ko Gunah Likh Raha Tha

WOH PANI KI LEHRON PE KIYA LIKH RAHA THA?
KHUDA JANAY HARF-E-DUA LIKH RAHA THA

LIKHAY THAY JISNAY WAFA K MAIENAY ADHURAY
WOH SHAKHS PYAR KI INTEHA LIKH RAHA THA

ZARA USKI AANKH EK AANSU NA NIKLA
WO JIS WAQT LAFZ-E-SAZA LIKH RAHA THA

MOHABBAT MEIN NAFRAT MILI THI USAY
WOH HAR SHAKHS KO BEWAFA LIKH RAHA THA

ES QADAR ZAMANAY WALON NAY USAY SATAYA
WOH PYAR K JAZBAY KO GUNAH LIKH RAHA THA

· 1 Like · Jul 02, 2017 at 11:07
Category: sad
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS