Poetry / Sad

Manzil Mil Gai Mujh Ko

Chalo hum MAAN laitay hain
Tumhain hum KHO chukay lakin
Tumhari YAAD ab tAk hmain BAYTAB rkhti he
Hmari SAANS ab tak b Tumhari AAS rkhti he
Mgr ab ye bhi SUNTY hain Tumhari raah ROSHAN hay
Tumhain MIL jay ga koi Mgr AFSOS...
Hum JAISA...
Agr PAO kahin tum to
Mjhy do harf likh dena
K
MANZIL mil gai mujh ko...

· 1 Like · Jul 02, 2017 at 04:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Farz Karo

Farz karo ham ahl-e-wafa hon, farz karo deewaane hon,

Farz karo yeh dono baatain jhooti hon, afsane hon

Farz karo yeh nain tumhare, sach much ke mekhane hon,

Farz karo tumhen khush karne ke dhoondhe ham ne bahane hon

Farz karo yeh jog be jog ka, dhong hi ham ne rachaya ho

Farz karo bas yahi haqeeqat, baqi sab kuch maaya ho

Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti preet hamari ho,

Farz karo es preet ke rog mai saans bhi ham pe bhari ho.

· 1 Like · Jun 30, 2017 at 12:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ik Shakhs Paas Reh Ke Bhi Samjha Nahi Mujhay

Ik Shakhs Paas Reh Ke Bhi Samjha Nahi Mujhay
es Baat Ka Malal He Shikwa Nahi Mujhay

Mein Os Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisy Doon
Os Ne To Ibtada Se Hi Chaha Nahi Mujhay

Kya Kya Umeedein Baandh ke Aya Tha Samnay
Os Ne To Aankh Bhar k Bhi Dekha Nahin Mujhay

Pathar Samajh K Paon Ki Thokar Liya
Afsoos Teri Ankh Ne Parkha Nahi Mujhay

Kab Taherna Tha Mujhko Hasan Aj Os K Pass
Acha Howa K Os Ne Bhi Roka Nahi Mujhay

· 1 Like · Jun 30, 2017 at 00:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tumhari Yadoon Ke Zakhm

Tumhari yadoon ke zakhm
Jab bharne lagte hein
Kisi bahane se tumhein
Yaad karne lagte hein
Bhoolne ki koshish jaari hai lekin
Yaad karne ke bahane milne lagte hein
Dosti, mohabbat be matlab hi sahi
Zindagi mei n iski kami mehsoos karne lagte hein
Zindagi udaasi ka doosra naam sahi
Khushiyon ki raah hum aaj bhi taktay hein
Tum ne waada to nahin kiya
Mujhse milne ka
Hum phir bhi ek aas kyon dil mein rakhte hein
Kisi bahane se tumhein
Yaad karne lagte hein

· 1 Like · Jun 29, 2017 at 05:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abhi Wo Sham Thehri Hay

ABHI WO SHAM THEHRI HAY
JIS SHAM K HATHON MAAT HOI

ABHI WO MAAT GHRI HAY
WO DARWAZY PR LIKHY HOWY
KUCH LAFZ ABHI TK BAAKI HAIN
UN LAFZON PR ZANGERAIN HAIN
KUCH ANKAHI C BATON KI
MEHVE TAMASHA TASVERAIN HAIN
WO ROOG LAGA JO JEEWAN KO
WO ROOG ABHI TK BAKI HE
KUCH RUH KI GEHRAIYOUN ME
WO SOOG ABHI TK BAKI HAY..

· 1 Like · Jun 27, 2017 at 20:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Phir Se Mausam Bahaaron Ka Aane Ko Hai

phir se mausam bahaaron ka aane ko hai
phir se rangeen zamana badal jayega
ab ke bazm charaGhoon sajaa lenge ham
ye bhi araman dil ka nikel jayega

aap kar de jo mujh pe nigaah-e-karam
meri ulfat ka reh jayega kuch bharam
ye fasana to mera rahegaa yahin
sirf unvan us ka badal jayega

pheeki pheeki si kyu sham-e-maiKhana hai
lutf-e-saaqii bhi kam Khali paimana hai
apni nazaron se hi kuch pila dijiye
rang mahafil ka Khud hi badal jaayegaa

mere mitne ka un ko zara Gham nahi
zulf bhi un ki ai dost barham nahi
apne hone na hone se hota hai kya
kaam duniyaa kaa yuu hi to chal jayegaa

aap ne dil jo Zahid ka tora to kya
aap ne us ki duniyaa ko chora to kya
aap itane to aaKhir pareshaan na hon
vo sambhalte sambhalte sambhal jayega

· 1 Like · Jun 27, 2017 at 14:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ijunoon

Jo Dil Ne Kahi Lab Pe Kahaan Aai Hai Dekho

jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho
ab mahafil-e-yara me bhi tanhai hai dekho

phuulon se havaa bhi kabhi ghabrai hai dekho
Ghunchoon se bhi shabanam kabhi katraai hai dekho

ab zauq-e-talab vajah-e-junoon Thair gayaa hai
or arz-e-vafaa baais-e-rusvaai hai dekho

Gam apne hi ashkoon ka Kharidar hoa hai
dil apni hi halat ka tamashai hai dekho

· 1 Like · Jun 27, 2017 at 07:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Meri Tarah Wo Bhi Tanha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

Khamoshi Khud apni sadaa ho aisa bhi ho sakta hai
sanata hi gounj raha ho aisa bhi ho sakta hai

mera mazi mujh se bichhar kar kya jaane kis haal me hai
meri tarah wo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai

sahara sahara kab tak main Dhondoun ulfat ka ek aalam
aalam aalam ik sahara ho aisa bhi ho sakta hai

ahl tuufaan soch rahe hain saahil Dooba jata hai
Khud un ka dil Doob raha ho aisa bhi ho sakta hai

· 1 Like · Jun 27, 2017 at 01:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Munsifon Saliibon Par Faisale Nahi Hote

munsifon saliibon par faisale nahi hote
besabab baghavat ke sanihay nahi hote

jhooth or sadaaqat ki jang to azal se hai
phir bhi sach pe jiine ke hausale nahi hote

soch ke judaa honaa phir ke mil na paayenge
kyu ke es zamaane me moajezay nahi hote

jo bhi the gile shikave duur kar ke jana tha
kam se kam bichernay par dil bure nahi hote

chaand se kaha ham ne tum hi raat bhar jaago
ham se us ki yaadon me rat jage nahi hote

· 1 Like · Jun 26, 2017 at 19:06
Category: sad
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS