Poetry / Sad

Tumhara Dard Kai Kaam Lay Gaya Muj Say

Kabhi safar to kabi sham lay gaya muj say
tumhara dard kai kaam lay gaya muj say

mujey khabar na ho aur zamana jatay hoa
nazar bachaa kay tera naam lay gaya muj say

usay ziada zaroorat thi ghar basanay ki
wo aa k mere dar o baam lay gaya muj say

bhala kahan koi juz us kay milnay wala tha
bus ek jurat-e- nakaam lay gaya muj say

bus ek lamhay kay such jhot kay aiwz Farhat
tamam umar ka ilzaam lay gaya muj say

· 1 Like · Jul 13, 2017 at 19:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sooch Kay Wasee Samandar Main

Sooch Kay Wasee Samandar Main

Ihsas Ki Kishti Main Baith Kar

Mujhay Us Paar Jana Hai

Jaha Meri Janat Hai

Lekin

Tughyani Say Darr Lagta Hai

Us Tughyani Say Jis Main

Meri Kishti Kahin Gum ho Jati Hai

Aur Shayed Main Bhi.

· 2 Like · Jul 12, 2017 at 18:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai

Jab Tanhayi Raqs Karti Hai
Jab Waqt Tham Sa Jata Hai
Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai
Jab Naghmagi Bhi Shor Bannay Lagti Hai
Jab Unsiat Bhi Aziat Ban Jati Hai
Jab Khawb, Azaab Lagnay Lagtay Hai
Jab Ihsas Kay Samandar Ka
Har Moti Toot Toot Jata Hai
Jab Mout ,zidagi Ban Jati Hai
Aur Zindagi,mout Ban Jati Hai
Tab Aisay Main Jana

Teri Yaad Aur Bhi Stati Hai

· 1 Like · Jul 12, 2017 at 12:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jeenay Ka Zehar

Kab mein ne yeh kaha
Tairay bin main jee loon ga
Haan kaha tha to bus itna
Yeh zehar bhi pee loon ga
Aur jana
Tum to jaanti ho na
Jo jeenay ka zehar piya kartay hain
Woh bhala kab jiya kartay hain

· 1 Like · Jul 11, 2017 at 22:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Wo Janti Thi Ke Wafa Ka Ajar Nahi Hota

Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nahi hota
Wo janti thi
Muhabbat dukhon ka sehra hai
Jahan saraab si khushiyan hain
Aur azaab se gham
Jahan hai pyaas judaii ki be'tahasha magar
Milan ki barishein hoti hain jis dayar main kam
Wo janti thi
Muhabbat khiraaj mangti hai
Wo jis ko dil ka lahoo de ke jagmagaya ho
Andheri raah ke liye wo cheragh mangti hai
Wo janti thi
Muhabbat wo reh'guzar hai jahan
Bichay hain kanch judaii ke be'shumar magar
Burhana pa hi inhein paar karna paRta hai
Ghamon ki dhoop main ab sayebaan koi na ho
Kisi yaad ki chaadar ko taan kar khud par
Tammam aahein daba kar guzarna paRta hai
Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Mohabbat main sabar ka samar nahi hota
Hij'r ki raah main hoti hai be'tahasha ghutan
Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nahi hota
Wo janti thi phir bhi rog le bethi
Kisi ke pyaar main na jaane kyun jog le bethi

· 1 Like · Jul 10, 2017 at 14:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tum Mujh Ko Guria Kehtay Ho

Tum mujh ko guria kehtay ho
theek he kehtay ho
khailnay walay sab hathon ko
mein guria he lgty hon
jo pehna do, mujh peh sajay ga
mera koi rang nahi
jis bachay kay hath thaama do
meri kise say jung nahi
sochti jaagti ankhain meri
jab chahay benaye lay lau
kook bharo aur baten suno
ya meri goyaye lay lau
maang bharo, sindoor lagao
pyar karo, aankhon mein Basao
aur phir jab dil bhar jaye
dil say utha kay taq peh rakh do
tum mujh ko guria kehtay ho
theek he kehtay ho

· 1 Like · Jul 10, 2017 at 08:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Zakhm E Tanhai Mein Khushbu E Hina Kis Ki Thi

ZaKhm-E-Tanhai mein khushbu-e-Hina kis ki thi
Saya Deewar pr mera tha sada kis ki thi

Uss ki raftar sy lipti rahien Aankhein meri
Uss ny murr kr bhi na dekha wafa kis ki thi

Ansoon sy hi bhar gaya daaman mera
Hath to main ny uthaye thy Dua kis ki thi

Meri aankhon ki zuban koi samjhta kesy
Zindagi itni dukhi mery siwa kis ki thi

Aag sy dosti uss ki thi jala ghar mera
Dey gaya kis ko saza aur khataa kis ki thi.

· 1 Like · Jul 10, 2017 at 02:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aahat Pay Us Ki Chounk Sa Jata Hoon

Aahat Pay Us Ki Chounk Sa Jata Hoon
Na Chahatay Hoe Bhi Us Ko Bhool Jana Chahata Hoon

Na Janay Kyun Us Ki Yaadon Main Gum Ho Jata Hoon
Main Us Ki Yaadon Say Bhi Nikal Jana Chahata Hoon

Main Nay Us Ki Mohabbat Ka Khaya Hay Dhoka
Ab Main Mohabbat Kay es Dhokay Say Nikal Jana Chahata Hoon

Wo Jo Chehray Pay Dalay Bethay Hain Parda Masoomiyat Ka
Us Kay Chehray Say Wo Parda Uthana Chahata Hoon

Husan Parasti Nay Kiya Hay Ham Ko Barbaad
Husan Paraston Ko Ye Baat Samjhana Chahata Hoon

Ye Aag Hay es Say Mat Khailo Jal Jao Gaye
Mager Main Wo Parwana Hoon Jo Jal Jana Chahata Hoon

Zindagi Nay Jis Tarah Jhinjoora Hay Meri Zindagi Ko
Main Ab Us Zindagi Say Nikal Jana Chahata Hoon

Or Jab Kabhi Main Hota Hoon Tanha
Tu Dil Khool Kar Rona Chahata Hoon

Pyaar Mohabbat Koun Karta Hay Yaha Per Kise Ko
Main Ye Paigaam Aam Karna Chahata Hoon

· 1 Like · Jul 07, 2017 at 17:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Teray Paas Aane Ko Ji Chahta Hai

teray paas aane ko ji chahta hai
naye zakhm khanay ko ji chahta hai

idhar aaye shayad vo mauj-e-tarannum
Ghazal gungunane ko ji chahta hai

zamana mera aazmaya hua hai
tujhe azmane ko ji chahta hai

vohi bat reh reh k yaad aa rehi hai
jise bhul jaane ko ji chahta hai

laboon par mere khilta hai tabassum
jab aansu bahaane ko ji chahta hai

kai martaba dil pe bijli giri hai
magar muskurane ko ji chahta hai

takalluf na kar aaj barq-e-tajali
nasheman jalaane ko ji chahta hai

ruKh-e-zindagi se naqab ulaT kar
haqiqat dikhane ko ji chahta hai

· 1 Like · Jul 07, 2017 at 11:07
Category: sad
 
Mareez ki Ayadat
Posted by pinky queen
Posted on : Sep 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS