Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Malik_e_bandagi

Ya ALLHA teri azmaton se hon bekhabar
yeh meri nazar ka qasoor hai

Teri rah-guzar mai qadam qadam
kahin arsh hai khain toor hai

Yeh baja hai MALIK_E_BANDAGi
meri bandagi mai qasoor hai

yeh khataa hai meri khataa magar
tera naam bhi tu GHAFOOR hai

yeh bata tujh se miloon kahan
tujh se milna bhi zaroor hai

Kahin dil ki shart na dalna
Abhi dil ghunahoon se choor hai.........

· 1 Like · Feb 01, 2015 at 09:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Allah Janta Hai

jo bhi bura bhala hai Allah janta hai
bande ke dil mein kya hai Allah janta hai

yeh farsh-o-arsh kya hai Allah janta hai
pardon mein kya chupa hai Allah janta hai

jaakar jahaan se koi wapas nahin hai aata
woh kaunsi jagah hai Allah janta hai

neki-baddi ko apni kitna hi tu chupaye
allah ko sab pata hai Allah janta hai

yeh dhoop chaon dekho yeh subah-o-shaam dekho
sab kyon yeh ho raha hai Allah janta hai

kismat ke naam ko to sab jante hain lekin
kismat mein kya likha hai Allah janta hai

· 1 Like · Feb 01, 2015 at 02:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Sun Lo Islam K Dushmano

Sun lo ISLAM k Dushmano,

Islam ki Hifazat ko Tayyar hen Hum,

Shahadat k Jazbe se Sarshar hen Hum,

Zarurat pari jab bhi Hamare Lahoo ki,

Lahoo Apna dene ko Tayyar hen Hum,

Bohat hi Bahadur or Khuddar hen Hum,

Faqat aik Khuda k Wafadar hen Hum,

· 2 Like · Jan 31, 2015 at 14:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Maa

Khuda ne donon alam jub banaye
anokhe her taraf jalwey dikhaye
zameen-o-Aasmaan is main basaye
falak per kehkashan, tarey sajaye
chaman main nit naye sabzay ugaye
Khuda ne donon alam jub banaye

Bana ker us ne phir roye zameen per
janab hazrat-e-insaan ko bheja
khuda ka jis main sub ne aks dekha
jahan main khushbuon ko phir bakhera
andhera aur kahein roshan sawera !
gharaz her shey ko jub us ne bana ker
hamarey wastey duniya saja ker
khud apni ghour se takhleeq dekhi
phir us ne ek nai tasweer khenchi

woh aisi soch wala shaan wala
jahan main sub se ounchi aan wala
na mit pai jub us ki tashnagi phir
kahein mahsoos kerli ek kami phir
to Us ne chader-e-rahmat ko bun ker
hazaron chahaton ke phool chun ker
gulon se shabnam pakeeza le ker
dhanak ke khubsurat rung de ker
mohobat ke samander ko sameta
duaon ka khazana is main bher ker
taqaddus se hasein chehra banaya
ke jis ke her taraf ek noor chaya
ke jis ki ankhon main ansoo bhare they
ke jis ki palkhon pe sapney sajey they
umeed-e-subh roshan ki chamak thi
sitaron or charaghon ki damak thi
ke jis k honton peh larzaan kahein per
yaqeenan us samey koi sada thee
bohat masoom si koi dua thee

khuda ne lamhey bher ko phir se soucha!
aur apni is anokhi shey ko dekha
bohat hi naik pal aur saaton se
zameen-o-Aasmaan ki vusaton se
naye jazbon, anokhi chahaton se
hazaron naimaton aur rahmaton se
nai takhleeq ke seenay main us ne
umangon se bhara ek dil banaya
farishton ne bayak awaz mil ker
mohobat ka anokha geet gaya
khuda bhi dosto phir muskuraya

dur-e-khursheed se pehli kiran li!
aur us main chaand ki thandak bhi rakh di
phir us ne hosley,himmat bhi de ker
khuloos-o-rahmat-o-rahat bhi de ker
ebadat,barkat-o-azmat bhi de ker
mohobat,dard aur khidmat bhi de ker
kai jharnon ke behtey paniyun se
kai jazbon se aur qurbanion se
gharaz her rung se amaiz ker ke
her ek dolut se yun labraiz ker ke
bana ker jab sarapa yeh sajaya
aur ek alam ko jub us ne dekhaya
sub hi ne maan li us ki khudai
khuda ko apni ye takhleeq bhai
karam ki dil main phir chadar bichai
aur us main her taraf mamta sajai
phir un qadmon main ek jannat basai
khuda ne tab kahein ek MAA banai

khuda ne tab kahein ek MAA banai

· 1 Like · Jan 31, 2015 at 08:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Koi Zabt De Na Jalal De

Koi zabt de na jalal de,
Mujhe sirf itna kamal de,


Mai har ek ki sadaa banun,
K zamana meri misaal de,


Teri rehmaton ka nuzool ho,
Meri mehnaton ka sila milay,


Mujhe maal o zar ki hawas na ho,
Mujhe bas tu rizq e halal de,


Mere zehen mai Teri fikr ho,
Meri saans mai Tera zikr ho,


Tera khauf meri nijaat ho,
Sabhi khauf dilse nikaal de,


Teri bargaah mai Ae Khuda meri roz o shab hai yahi Dua,
Tu Raheem hai Tu Kareem hai,
Tu sabhi balaa’on ko taal de.


(AAMEEN)

· 1 Like · Jan 30, 2015 at 14:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Kal Fursat Na Mili

Kal fursat na mili to kya karo ge,
Itni mohlat na mili to kya karo ge,
Roz kehte ho kal padhonga namaz,
Kal agar saans na rahi to kya karo ge
Rasam se sunnat achi,
Neend se namaz achi,
Gunah se neki achi,
Bazar se masjid achi,
Fazool baton se quran ki tilawat achi,
Gheebat se zikar acha,
Delete se forward acha..
Namaz jo hum par farz kar di gayi hai.....
Fajar-bister main...
Zohar-naukri main...
Asar-chai main...
Maghrib-rastey main...
Esha-tv main
Jumma-sonay main
Eid-bazaaron main Na Durood,
Na Quran....
Yeh Kaisa Hai (Musalman)?
Phir kahtay ho q nahin hai Allah hum par meharban

· 2 Like · Jan 30, 2015 at 07:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Kaash Aaqa

Kash Aaqa Mein Tere Dour Mein Paida Hota
Meri Aankhoon K Muqabil Rukh-E-Zaiba Hota

Un K Seeney Se Laga Raaz Ki Baatin Karta
Kash Main Un K Haseen Jism Ka Kurta Hota

Kash Rukhsaar K Baloon Main Jagah Mil Jati
Un K Khushboo K Assar Se Main Mehakta Hota

Kash Jungle K Kisi Pair Se Kaata Jata
Un K Mimber K Qadamche Ka Main Takhta Hota

· 2 Like · Jan 29, 2015 at 19:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai

Mayoos Kabhi Hota Nahi Jisko Yakheen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai...

Machli Ka Pet Ban Gaya Insan Ka Saya...
Us Benayaz Zaat Ne Yunus ko Bachaya...

Jab Aag Se Namrud Ka Bazar Garam Tha...
Uske Karm Ne Aag Ko Murdaar Banaya...

Wo Dour Hai Kab Dil Mein Posha nasheen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai...

Mushkil Mein Jab Na Aya Nazar Koi Sahara...
Musa Ne Ankhein Band Ki Maula Ko Pukara...

Agay Tha Nil, Peeche Thi Firon Ki Faujein...
Kisne Banaya Nil Ki Maujon Ko Kinara...

Itna Kareem Rehnumaan Socho To Kaheen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai...

Halat Se Imaan Ko Tola Nahi Karte...
Allah Ke Bande Kabhi Shikwa Nahi Karte...

Ye Rasm Sikhayi Hai Hussain Ibn-e- Ali Ne...
Jidhar Sajde Mein Ho Teeron Ko Dekha Nahi Karte...

Sajdon se Jo Roshan Hai Wo Momin Ki Jabeen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hain Andher Nahi Hai...

Umeed Ka Daman Na Kisi Haal Mein Choro...
Ghabrao Nahi, Sabr Ki Deewar Na Tordo...

Taqwa Ho Agar Dil Mein To Milti Hai Khudai...
Us Zaat Bina Koun Sune Teri Duhai...

Wo Zaat Jo Har Shakhs Ki Shehrat Mein Makeen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai...

Mayoos Hota Nahi Jis Ko Yakheen Hai...
Allah Ke Ghar Deir Hai Andher Nahi Hai.........!!!!!

· 2 Like · Jan 29, 2015 at 09:01
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Allah Tere Liye

Ik Tu Jo Nahin To Kuch Bhi Nahin
Jise Tu Na Mila Use Kuch Na Mila
Chahe Mil Jae Us Ko Saari Zameen
Mera Kuch Bhi Nahin Ae Mere KHUDA
Mera Sab Kuch Hai ALLAH Tere Lye

Ye Jism O Jaan Tehreer O Qalam
Hathon Ki Harkat Dharkan e Qalb
Aankhon Ki Chamak Honton Ki Rida
Sab Teri Ataa Ae Mere KHUDA
Mera Sab Kuch Hai ALLAH Tere Lye

"Har Jor Peh Sadqa Wajib Hai"
Kya Jor Banae Hein Tu Ne
Ye Behr O Bar Ye Mauj O Saba
Sab Masroof e Sana Ae Mere KHUDA
Mera Sab Kuch Hai ALLAH Tere Lye

Kis Mun Se Kahein Hum laut Aae
Saari Dunya Se Kha Ke Chaut Aae
Na Ayen Yahan To jaein kahan
Hein Ummati UN K JO Hein TERE, KHUDA!
Mera Sab Kuch Hai ALLAH Tere Lye

· 2 Like · Jan 29, 2015 at 03:01
Category: relegious
 
Precious Gift.
Posted by asiya faheem
Posted on : May 12, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS