Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Haath Uthae Sar Ko Jhukae

Haath uthae sar ko jhukae,
Aaye hein ya Rabb terei dar par,
Apna karam ki hum pe nazar kar,
Seedhi rah dikha de humko,
Such much naik bana de humko,
Qaum ko dil se piyar karein hum,
Qaum ka beirra paar karein hum,
Ilm wah hunar se shaad humein kar,
Fikron se azaad humein kar,
Naam pe terei jaan fida ho,
Nayyer ki poori yeh dua ho!

· 1 Like · Mar 08, 2018 at 13:03
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Rooh Ko Jism Kay Pinjray Se Rehai De De

Rooh Ko Jism Kay Pinjray Se Rehai De De
Charah Gar, Aisi Mujhay Ab Kay Dawai De De

Zulmaten Sari Mita Don Ga, Main Mazloom Sahi
Meray Maabood Zara Apni Khudaii De De

Teray Honay Peh Bhi, Ab Loog Jirah Kertay Hain
Apni Makhlooq Ko Tu Ab Tu Dikhai De De

Ashk Aankhoon Mai Nahi, Harf-E-Dua Bhi Napaid
Waqt-E-Rukhsat Ko Nai, Rusm-E-Judaii De De

Muflison Peh Ju Lutao Tu Kabhi Khatm Na Ho
Paalnay Walay Mujhay Aisy Kamai De De

· 2 Like · Feb 25, 2018 at 05:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Tu Raheem Hai, Tu Kareem Hai

tu raheem hai,tu kareem hai,teri zaat sab se azeem hai
main gadaa tera,tu khuda mera,teri zaat sab se azeem hai


mujhy thaam le zara iss tarah,k main hoo k rahon to faqt tera
main bhatak gia to bane ga kia,teri zaat sab se azeem hai


jo bhatak rahy hain ye chaar soo,aae mere khuda hai ye arzu
inhain raah dikha,mere kibriyaa,teri zaat sab se azeem hai


ye zulam zulam ye qiamtain,hain qadam qadam pe aziatain
hai kahan ruka,wo jo hai khuda,teri zaat sab se azeem hai


ye jo aaye hain sabhi ba-wuzzu;liye ashak hain tere rubru
ye hain ghamzadah,karain iltija,teri zaat sab se azeem hai


jo FAZAL pe tu ne fazal kiye,na shumaar mein kbhi aa saky
tera shukria,sa'd shukria,teri zaat sab se azeem hai..!!!!

· 1 Like · Feb 18, 2018 at 10:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Sub Ka Khuda Buzurg O Bar Tar Hay Tu

SUB KA KHUDA BUZURG O BAR TAR HAY TU
SHAKAL-E-QURAN MEIN BANDON KO AZ BAR HAY

TERAY NAAM SE HI MILTA HAY DIL KO SAKOON
JO DIL SE ROOH MEIN UTRAY WOH ASAR HAY TU

HAD TERI KIS TARAH HO BAYAN MUMKIN NAHI
K BANDA-E-GUNHAGAR SE BAKHABAR HAY TU

KHALIQ-E-DUNIYA HAY RANG E KAYNAT SUB TU HAY
AZAL SE HAY JO ROSHAN WOHI SEHAR HAY TU HAY...!

· 2 Like · Dec 22, 2017 at 12:12
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Soo Baras Ki Zindagi Main Aik Pal

Soo baras ki zindagi main aik pal
Tu agar kar le koy ache amal
Tuj ko duniya main mile ga us ka phaal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

gham ko sene se lagana sekh le
gair ko apna banana sekh le
Dard sah kar muskarana seekh le
Choar khudgarzi wafa ki rah chal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

Aik aadam ki sabhi olaad hain
Kuch to khush hain aur kuch naashaad hain
jurm un ka kiya hay jo barbaad hain
Tu zamane k asuloon ko badal

Dusaron k waaste zinda raho
Jaan bhi jaye to hans kar jaan do
Mout k aage bhi sharminda na ho
Tu sada insaniyat rah chal
Aaj jo kuch boye ga kate ga kal....!

· 3 Like · Nov 15, 2017 at 22:11
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Teri Azmaton Se Hoon Be Khabar

TERI Azmaton Se Hoon Be khabar
Ye Meri Nazar ka Qasoor Hai!
TERI Rah Guzar Me Qadam Qadam
Kahin Arsh Hai kahin Tour Hai!
Ye Baja Hai MALIK-E-DO JAHAN
Meri Bandagi Main Qasoor Hai!
Ye khata Hai Meri khata Mgr
TERA Naam B To GHAFOOR Hai
Ye Bata TUJH Se Miloon kahan
Mujhe TUJH Se Milna Zaroor Hai!
Kahin Dil ki Shart Na Daalna!
Abhi Dil Gunahon Se Choor Hai!
TU Bakhsh dey Mere Sub Gunah!
Teri Zaat Raheem o Ghafoor Hai!AMEEN

· 2 Like · Nov 12, 2017 at 04:11
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye

Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa Bhi Ho Bandagi Chahiye

Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye

Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye

Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaon Main
Mere Malik Aagahi Chahiye

Main Jhuko Or Jhuko Bus Jhuka He Rahun
Ibadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye

Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye...!

· 1 Like · Nov 11, 2017 at 09:11
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Aql Ke Madrasay Se Uth

Ishq mein tere koe gham sar pe liya jo ho so ho
aish o nishat zindagi chhod diya jo ho so ho

Aql ke madrasay se uth, ishq ke maikade mein aa
jaam e fanaa o bekhudi ab to piya jo ho so ho

hijr ki jo museebatein arz kein uske rubaru
naazo adaa se muskura kehne lagaa jo ho so ho

hasti ke es saraab mein raat ki raat bas rahe
subhe adam huaa numoo, paaon uthaa jo ho so ho...!

· 1 Like · Oct 22, 2017 at 09:10
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Zamany Ko Agr Muhammad (s.a.w) Se Pyaar Hota

Zamany ko agr MUHAMMAD (S.A.W) se Pyaar hota

To kyun sajde main ALI pe waar hota

Mil jaati HASSAN ko NANA ke pehlo main jaga

Zamana agr MUHAMMAD ka wafadar hota

Na looti jati ZAINAB o KULSOOM ki rida

Na Zanjiroon main jakra ABID BIMAR hota

Na Barchhi lagti AKBAR ke Seeny main

Na QASIM ka SEHRA taar taar hota

Na Cheani jaati SAKINA ke kanoo se baliyaan

Na teer ASGHAR ke galay se paar hota

Zamane ko agar MUHAMMAD(S.A.W) Se pyar hota.

· 1 Like · Jul 09, 2017 at 13:07
Category: relegious
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS