Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Aye Khuda

ae khuda
aaj ik gunehgaar
apnay kiye peh
reham ki bhik mangene
teree bargah mualla mein
apni kotahiyon par sharminda
teree naimaton ka nashukra
haazir hai
tujhey apna khaaliq o maalik jaan kar
tamam gunahon ko apni ghalti maan kar
tujh say maghfirat ki bhik mangene
teree bargah mualla mein
saraapaa sharminda khara hai
usay bakhsh day

· 1 Like · Feb 03, 2015 at 17:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Allah Kay Siwa

allah kay siwa kisi kay agay haath phelata nahi hoon
kisi aur kay agay mein ghargharata nahi hoon

apnay maalik ki raza peh raazi rehta hoon sada
aaqa kay siwa kisi dur peh sar jhukta nahi hoon

allah taala khud hukam kartay hain mujh say dua karo
allah ki baat kisi ghair allah kay muqabil thukrata nahi hoon

isy hasti say mangta hoon jo shay rug say qareeb hai
kisi ghair allah kay samnay ansooo bahata nahi hoon

· 1 Like · Feb 03, 2015 at 10:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Ramzan Aya Hai

Samaitlo Rahmatain K Aya Hai
Ramazan Rahmat Ban K

Jhoka Lo Pelkain Ke Rahehaq Mein
Ke Aya Ramazan Mahfaize Ban K

Ruk Joau Tum Gaflatoon Ke Karine Se
Aya Hai Ramazan Pegamein Khudawand Leke

Bhulado Sab Zulem Or Jhoom Jaou Zikarey Khudawand Mein
Ke Aya Hai Ramazan Bakhsesh Sang Le K

· 1 Like · Feb 03, 2015 at 03:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Alwida Alwida Mahe Ramadan

Qalb E Ashiq hai ab parah parah
Alwida Alwida Maahe Ramadan

kulfat e hijrat o furqat ne mara
Alwida Alwida Mahe Ramadan

Tere Ane se dil khush howa tha
aour zoq e ibadat barha tha

Aah!ab dil peh hai gham ka ghalba
Alwida Alwida maahe Ramadan

Masjidon men bahaar aa gai thi
joq dur joq aatay Namazi

ho gya kam namazon ka jazba
Alwida Alwida Maahe ramadan

Tere deewane ab ro rehy hain
muztarib sab k sab ho rehy hain

haay ab waqt e rukhsat hai aaya
Alwida Alwida Maahe Ramadan

tera gham sab ko tarrpa reha hai
atishe shoq bharka reha hai

phat reha hai tere gham men seena
Alwida Alwida Maahe Ramadan

Bazme Iftar sajti thi kaisi!
khoob Sehri ki ronaq bhi hoti

sab saman ho gya soona soona
Alwida Alwida Maahe Ramadan

yaad Ramadan ki tarrpa rehi hai
aansuon ki jharri lag gai hai

keh reha hai yeh her aik qatra
Alwida Alwida Maahe Ramadan

Dil k tukkre howe ja rehy hain
tere Ashiq maray ja rehy hain

ro ro kehta hai her ik becharaa
Alwida Alwida Maahe Ramadan

Tum pe lakhon salam Maahe Ramadan
Tum pe lakhon salam Mahe Ghufran

jaao hafiz khuda ab tumhara
Alwida Alwida Maahe Ramadan

Nekiyan kuch na ham ker seky hain
Aah! isiyan men hi din katay hain

Haay! ghaflat men tujh ko guzara
Alwida Alwida Maahe Ramadan

wasita tujh ko Meethy Nabi ka
Hasher men ham ko mat bhool jana

Roz e Mehshar hamen bakhshawana
Alwida Alwida Maahe Ramadan

Jab guzer jain ge Maahe gyarah
Teri Aamad ka phir shor ho ga

kya meri zindagi ka bharosa
Alwida Alwida Maahe Ramadan

· 1 Like · Feb 02, 2015 at 22:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Zulmat Me Kya Ujala

zulmat mein kya ujala app nay
toheed ka kya bol baala app nay

jhote khudaon ki pujari thi duniya
deloon say booton ko nikala app nay

jo bhatkay thay siraat mustaqim say
unhain seedhi raah peh dala app nay

yatimon o miskeeno ka koi tha nahi
aisay ghareebon ko sanbhala app nay

har janib andhera tha jahaalat ka
islam mein sab ko dhala app nay

· 2 Like · Feb 02, 2015 at 16:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Jalwa Ayan Tera Hi Hai

ji rahay hain jis mein hum yarab jahan tera he hai
jlwo har ik shay mein raksaan fishan tera he hai

nafs kay har taar mein bhi bass reha hai to he to
azam lab peh jaudan tera he hai

qalam ki hai abroo tairay he dam say ya khuda
shayiri kay fikar o fun ka gulista tera he hai

ikram kay paighaam mein to jlwo gir
ae marey sachey khuda sachcha bayaa tera he hai

taa kiyamat dil mein yoon jalti rahay
dekhti hoon jis taraf jlwo ayaan tera he hai

· 2 Like · Feb 02, 2015 at 09:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Amal

Amal se zindagi banti hai... jannat bhi , jahannum bhi
Yeh khaaki apni fitrat main nah noori hai nah naari hai...

· 1 Like · Feb 02, 2015 at 03:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Yeh Kaisa Moujza

Ye Kasa Moujza Mere Khuda Ne Ker Diya
Seenay Mein Mere Noore Khuda
Ankhain Ashkon Se Hain Purnom Merr Hi Noor Bhar Diya

Rooh Tarapti Hai Meri Jab Sochon Jahannum Ka
Hum Ko Nek Bana Ghaflat-E-Neend Se Tu Jaga

Gunahon Se Hum Bharpur Hain Ae Khuda
Nekian Jo Ki Thin Wo Bhi Bathay Gawa

Rahm Ker De Tu Rahim-O-Karim Hai Mola
Gunahon Se Tu Bacha Yun Na Hamaim Azma

Nadamatoon Se Ser Mera Hai Jhoka Hoa
Chashm-E-Karm Kar De Hum Pe Ai
Ser Ko Tabassum Ne Sajde Mein Rakh Diya

· 1 Like · Feb 01, 2015 at 21:02
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Dur E Nabi(s.a.w.w)

Yay sarwari he bhala kya sikandari kya hai

Dur e NABI(S.A.W.W) ka gadaa huun mujhay kamii kya hai

Fida nah ho jo nabi par wo ummati kya hai

Jo geet gaye na un kay wo aadmi kya hai

Dur e rasool pay lay chal janoon e ishq mujhay

Bagheyr aaqa kay guzray wo zindagi kya hai

Tarrap raha hai jo rozay ki haazri kay liay

Ussi ghareeb say pucho kay bay basi kya hai

Nabi ki shaan e karimi na mannay waalo!

Mujhay bas itna bata do kay kaafri kya hai

Bada karam hai niyaazi madinay waalay ka

Karam na ho jo nabi ka to zindagi kya hai

· 1 Like · Feb 01, 2015 at 15:02
Category: relegious
 
Ameen
Posted by sana dimple
Posted on : Aug 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS