Poetry / Relegious

Shoaib Khan

Ishq E Haqiqi


Ho ke Sharminda Gunahon se kabhi ja to sahi

Wo kare ga Muaf tujhe do ashk baha to sahi

Rahe gi chandani qabar mein bhi sath tere

Tu uski yaad ko dil se zara laga to sahi

Na rahe ga tu mohtaaj kabhi kisi ka

Kia hai jo Allah se ehad wo nibha to sahi

Wo hai Ghafoor Raheem sunta hai Dua sab ki

Nidaamat ke alam mein hath utha to sahi

· 3 Like · Aug 03, 2015 at 00:08
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Sukun Milta Hai.

Sukun milta hai
Maal jama karnay se nahi,
Khairaat karne se!

Awara gardi karne se nahi,
Muhabbat karne se

QurAan ko saja kar rakhne se nahi,
pabandi se uski tilawat karne se!

Chori karne se nahi,
Halaal rozi kamane se!

Garibon ko dhakay dene se nahi
unko khana khilane se

Bure kaam karne se nahi,
Achhe kaamon se!

Insaniyat ko dukh dene se nahi, balki..
Insaan ke saath nek sulook karne se

Maa Baap ko tang rakhne se nahi,
unki duwayen lene se!

bahin bhaiyon se lad kar nahi,
unki maddad karke!

Doston se Nazren Chura kar nahi,
Waqt par unke kaam aane par!

Khuda ko bhoolne se nahi,
Uski ibadat karne se!

Dunia ke faraiz (Farz) se bhag kar nahi,
unhe pura karne se!

· 1 Like · Jun 11, 2015 at 11:06
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Shaista Anam

Ramzan Ki Amad

Ramzaan Ki Amad
Ramzaan Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai
Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein
Dur-e-Tauba Khula Hai Is Mahine Mein

Firdous Ki Khusboo Ati Hai
Woh Naseeb Wala Hai Jise Mile Firdous
Ao Aaj Hum Koshish Karein
Usse Paane Ki, Jise Hum Ne Abhi Talak Paya Hi Nahin

Ibadatoon Ke Is Door Mein
Ao Maangein Sub Ke Liye Magfarat
Maangtein Hain Hum Kuch Na Kuch Apne Liye
Chalo Aaj Doosroon Ke Liye Maangein

Ramzaan Ki amad Ki Khusi Hai Bahut
Saath Hi Is Ke Jald Rokhsat Ho Jaane Ka Ghum
khuda Kare Waqt Tham Jaein Us Waqt
Jab Baras Rahi Ho Khuda Ki Rehmat Hum Par

Ramzaan Ke Rokhsat Hone Se Pehle
Dur-e-Tauba Band Hone Se Pehle
Is Mubarak Mahine Ki Har Fazilat Hasil Kar Lein
Jo Hum Ghuzishta Saaloon Mein Hasil Na Kar Sake

Ramzaan Mubarak... Ramzaan Mubarak.. Too All.
Ramzaan Mubarak... Ramzaan Mubarak... Too All

· 1 Like · Jun 08, 2015 at 22:06
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Mohammad Ali Shah

Regzaaron Mein Nazar Aati Hai

REGZAARON MEIN NAZAR AATI HAI
KABHI BAHARON MEIN NAZAR AATI HAI
WAHDAHU LA SHAREEK TERI SANNAAI
DOOR TAARON MEIN NAZAR AATI HAI

· 2 Like · May 17, 2015 at 23:05
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Shama Qadir

Ger Koee Pooche K Kirdaar Ki Azmat Kyaa Hai

ger koee pooche k kirdaar ki Azmat kyaa hai
kahoN insaaniyat se badi reffat kyaa hai?

deen ki rakhi hai bunyaad esi per Rabb ne
ain fitrat hi hai yehi, aur sahuulat kyaa hai?

Duub k mann maiN jo sochaa tau dikhaa aur jehaaN
"aaj mujh peh yeh khulaa raaz k jannat kyaa hai"

paa liyaa jisne tujhe uski tau ban aaee Khudaa!
phir kisee aur k dur ki usae Haajat kyaa hai

Khatm hoN tafruqe Allah! ab is ummat k
dekh le dunyaa k Islam ki waHdat kyaa hai

hai Khudaa aik Nabi (s.a.w) aik aur aik kitaab
hoN muslamaaN bhi kabhi aik yeh Hasrat kyaa hai

koN kehtaa hai k hoti nahiN maqbuul duaa
wAdah eejaab kaa aur iskee ijaazat kyaa hai

· 2 Like · Apr 28, 2015 at 09:04
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Owais Kareem

Mere Malik Ae ! Sab Ke Khaaliq

Yeh Teri Duniya Mere Liye Toh Bohut Ajnabee Hai
Hai bohut Begana Isiliye Toh..
Mein Hairaan Hoon
Mein Hirasaa Hoon Mein Bekull Hoon
Mein Pareshan Hoon
Nahi Raastoun Ka Koi Idraak Mujhko
Khadi Mein Ab Kahan Hoon ....!!!
Naa Jaane Mein Ab
Kistaraf Aagayi Hoon
Jahan Aakar Mein Larzaa Hoon
Nahi Ye Baar Zeesat Uthaya Jaraha
Tujhe Hai Ilm Kitni Naatawaa Hoon
Toh Phir Kisliye Aazmayesh Itni
Chatt Hokar Bhi Besayeban Hoon
Teri Iss Wasee Kayenaat Me
Tere Hote Hue Beamaan Hoon
Tuje Hai Ilm ke Tuqaiber Bhi Hai
Kitni Majboor Kitni Bebass Hoon
Bachale iss Baar-e-Gham Se Mujhko
Ke Mein lab Kushadah Damaa Hoon !

Aaye Allah Humari Saari ibadatoun aur jayez Duaoun Ko

Qabool Farmaa........ Ameeeeeeeeen



· 1 Like · Mar 16, 2015 at 07:03
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Anam Lateef

Mere Malik Ae ! Sab Ke Khaaliq

Yeh Teri Duniya Mere Liye Toh Bohut Ajnabee Hai
Hai bohut Begana Isiliye Toh..
Mein Hairaan Hoon
Mein Hirasaa Hoon Mein Bekull Hoon
Mein Pareshan Hoon
Nahi Raastoun Ka Koi Idraak Mujhko
Khadi Mein Ab Kahan Hoon ....!!!
Naa Jaane Mein Ab
Kistaraf Aagayi Hoon
Jahan Aakar Mein Larzaa Hoon
Nahi Ye Baar Zeesat Uthaya Jaraha
Tujhe Hai Ilm Kitni Naatawaa Hoon
Toh Phir Kisliye Aazmayesh Itni
Chatt Hokar Bhi Besayeban Hoon
Teri Iss Wasee Kayenaat Me
Tere Hote Hue Beamaan Hoon
Tuje Hai Ilm ke Tuqaiber Bhi Hai
Kitni Majboor Kitni Bebass Hoon
Bachale iss Baar-e-Gham Se Mujhko
Ke Mein lab Kushadah Damaa Hoon !

Aaye Allah Humari Saari ibadatoun aur jayez Duaoun Ko

Qabool Farmaa........ Ameeeeeeeeen



· 1 Like · Mar 16, 2015 at 01:03
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Sooz E Jahanum

Kuch iski khabar Bhi hai tujhko


Wo sooz-e- jahanum kia hoga,.?


Jis aag ka indhan insan hai,


Us aag ka aalam kia hoga,


Yeh Jism gawahi khud dega,


Har hisa Badan ka Boley ga,


Khamosh zuban ho jayegi,


Us waqt ka aalam kia hoga,


Kuch iski khabar bhi hai tujhko,


Wo sooz-e- jahanum kia hoga..?

· 1 Like · Mar 03, 2015 at 03:03
Category: relegious
 
Poetry / Relegious

Muzammil Shahzad

Parwardigaar


Ik rat da jaagan bot okha.

ik jaagda dukhi bimar rati.

ya jaagda choor te thug rati.

ya jaagda pehredar rati.

ya jagda ISHQ di ramz wala

ya jagda yar da yar rati

Waris miyan sb so jandy

Bs ik jagda PARWARDIGAR rati.

· 1 Like · Feb 14, 2015 at 05:02
Category: relegious
 
Funny Birds
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 17, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS