Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Samait Lay

sameyt lay chaahe jitna sameyt lay
abhi bhi hai kuch waqt lapait lay

janay keb chali jaye ye ajarah daari
dair nah kar abb ، utha apni ye plate lay

khud kha baryani qorma aur taftaan
doosron ko keh sirf aamlait lay

abb janay kaun aaye ticket milay nah milay
kuch parh lay uttha takhti slate lay

armaan phir kabi poora ho nah ho
bistar par ja kar jitna chaahe late lay

· 1 Like · Jan 14, 2015 at 22:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Yeh Loug

Naa Kho jayen Yeh Loug Phir Is Gulshan Main
Ho Jaye Aaj Phir Ujre Hue Mosmoon Ki Baat

Unhain To Yeh Jaan Kar Wahem Hi Lage Ga
Baharoon Main Sun Kar Ujre Hue Mosmoon Ki Baat

Yeh Musa-O-Noh Ka Kisa Khulla Hai Kahin
Yeh Ho Rahi He Kidher Ujre Hue Mosmoon Ki Baat

Jar Se Hi Ukhaar Kar Le Gae Hain Yeh Toofan
Sun Ke Zara Dar Ujre Hue Mosmoon Ki Baat

Hamain Dekh Rahin Hoon Ge Wo Bozurag Bhi Kahin Se
Jo Kar Gaye Bey-Fikar, Ujre Hue Mosmoon Ki Baat

Ab Yeh Zeest Na Hi Dekhe Is Haqeeqat Ko
K Manti Nahin Nazar Ujre Hue Mosmoon Ki Baat

· 1 Like · Jan 14, 2015 at 16:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Watan Tu Azeem Hai

ae watan to azeem hai
mera jaan o maal tujh par qurbaan hai

azadi ki shaan o aan barhana humara imaan hai
iss ko taraqqi ki raah par dorana hai

iss ki matti ko khoon paseenay say saincha hai
koi mushkil ai to dat kar iss say nipatna hai

watan humara sab ki ankhon ka taara hai
iss par apni jaa be nisar hai

dushmanon ki koshish tujhey bardaad karnay ki hai
allah kay fazal say duniya kay naqshe par to mojood hai

· 1 Like · Jan 14, 2015 at 10:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Mein Pakistan Hoon

duniya mein aankh kholi to baap ka saya sar say gaya
maan ki shafqat say mahroom tha phir be mein ji gaya

aik chahnay walay nay mjhy jab sahara dena chaha
zalim ki goli ka nishana bana woh aur hum say bicher gaya

kisi nay mairay sar peh haath rakha aur bagal mein daba liya
mein sisakte reha ، kuch keh nah saka ، woh mera aaqa ban gaya

woh chhota saanyi to tha he ، magar mairay bal botay peh
kisi ko apni raah say hataya aur khud choudhari ban gaya

meri wafadari ki gawah to ، aaj be duniya saari hai
usakaa hukam jab be mila ، mein pal bhar mein haazir ho gaya

mein nay apni aur usakee baqa mein dost be bana daalay
kaam nikal gaya jab ، mairay hathon sab ko zibah karata gaya

mera aaqa mujh peh dalaron ki barish be khoob karta hai
har dollar rangin hai ، dalaron say zyada to khoon beh gaya

javed kahta hai ! keh mairay wajood ko bohat khatraa hai aaj
mein pakistan hoon ، mera shikari samjhoo apni jaan say gaya

· 1 Like · Jan 14, 2015 at 04:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Hukmuranon Say

apnay hukmran say
iqbal nay parhaya tha jo sabaq to woh bhala baithaa hai
khudi ka mafhoom apni lughat say mita baithaa hai
jung nahi aman to hum sab bhi chahtay hain
magar to kiyon khud ko itna gira baithaa hai

awam say
humaray abb kaam kiyon nahi karti
jo karnay ka kaam hai woh awam kiyon nahi karti
jo mulk aur qoum ka zara wafadar nahi
aisay leader ka kaam tamam kiyon nahi karti


hukmraanon say
meri arzi suno thode say samajhdaar bano
hab guftaar nahi hab qirdar bano
bay shakk america say dosti karo
magar khuda ra thora sa mulk kay bhi to wafadar bano

· 0 Like · Jan 13, 2015 at 22:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

O Hukmrano

Meray Chaman Ko Kardia Hay Kis Nay Aisa
Is Guthi Ko Ab Tou Suljha Lainay Do

Banaya Bhai Ko Bhai Ka Dushman Kis Nay
Khudara Nafratoon Ki Aarh Ko Ab Tou Mita Lainay Do

Masal Rahay Hain Hathoo Main Aghyar Hum Ko
Watan Ko Apnon Say Ab Tou Saja Lainay Do

Chakhay Hum Nay Mazay Bahut Hain Aamriat Kay
Jamhoriat Ki Bhi Hawa Ab Tou Chala Lainay Do

Hay Arzoo Sub Ki Apnay Watan Ki Khushhali
Jama-E-Amli Isay Ab Tou Pehna Lainay Do

Jangoo Main Hi Guzri Hay Zindagani Ab Tak
Kuch Amn-O-Sukoon Ka Ab Tou Maza Lainay Do

Ho Har Taraf Hi Kamraniyoo Kay Chiragh
Nakamiyoo Ki Aag Ko Ab Tou Bujha Lainay Do

Haan Is Guthi Ko Ab Tou Suljha Lainay Do
O Hukmranoo!Aman Ko Ab Tou Aa Lainay Do

· 2 Like · Jan 13, 2015 at 15:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Salam Hai Bibi

hayat cheennay walay siyah hathon ki
ye arzu thi tujhey qatl kar diya jaye

har aik chowk mein tera jawaan jisam giray
tamam shehar khuun say bhar diya jaye

iss arzu mein kai baar mout bheji gayi
har aik baar magar to nay zindagi payi

aur abb ki baar andheray jo kamyaab huay
hayat nay khuun say he roshni payi

lahoo rulati rahay gi jo ko sada
ye roshni he tiraa intiqam hai bii bii

yazid waqt say lartay huay shaeed hui
salam hai tujhey bii bii ، salam hai bii bii

· 1 Like · Jan 13, 2015 at 09:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Benazir K Naam

Khayal Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai
Nigah Ko Kisi Surat Ki Pyaas Rehti Hai

Tere Bin Kisi Cheez Ki Kami To Nahi
Tere Bin Tabiyat Udas Rehti Hai

· 1 Like · Jan 13, 2015 at 03:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Ae Ameer Shehar Zara Neechay Utar

ae ameer shehar zara neechay utar
roz log yeha gayab hute hain

bachon ko papa nahi milta
tairay kuttay bargar khaty hain

hum ghareebon ko aata nahi milta
ae ameer shehar zara neechay utar

tairay raste saaray roshan hain
aur mairay liht nahi

kya mein tax ada nahi karta
kya iss peh mera right nahi

ae ameer shehar zara neechay utar

sab qaiday qanoon hain mairay liye
to iss say balatar kiyon hai

hamein kahin insaaf nahi milta
k haalat abtar kiyon hai

ae ameer shehar zara neechay utar

· 1 Like · Jan 12, 2015 at 21:01
Category: political
 
Preparedness
Posted by amina noor
Posted on : Aug 22, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS