Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Pakistan Meri Jaan

Izat Mili Pehchan Bhe Poray Hoay Armaan Bhe
Ye Dharti Pakistan Ki Hy Hamari Jaan Bhe

Is Ki Himat Hy Jo Dykhy Maily Ankh Sy Essay
Es Ki Khatar Lain Gy Jaan Aur Kr Dain Gy Qurban Bhe

Ye Dharti Pakistan Ki Hy Hamari Jaan Bhe

· 1 Like · Sep 20, 2015 at 15:09
Category: political
 
Poetry / Political

Ay Janoon E Ishq Bata Zara

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia
Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia
Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai
Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia
Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi
Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia
Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba
Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!!!

· 4 Like · Jun 23, 2017 at 01:06
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Aey Chand Yahan Na Nikla Kar

Aey Chand Yahan Na Nikla Kar,
Be Naam Se Sapnay Dikhla Kar,

Yahan Ulti Ganga Behti Hai,
Is dais Mein Andhay hakim Hain,

Na Dartay Hain Na Nadim Hain,
Na Logon K woh Khadim Hain,

Hai Yahan Par Karobar Buhat,
Is Dais Mein Gurday Biktay hain,

Kuch Log Hain Aali Shan Buhat,
Aur Kuch Ka Maqsad Roti Hai,

Woh Kehtay Hain Sab Aacha Hai,
Aur kufr Ka Raj Hi Sacha Hai,

Yeh Dais Andhay Logon Ka,
Aey Chand Yahan na Nikla Kar......!!!!,

· 4 Like · Apr 21, 2016 at 10:04
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Zulm Ki Raat K Baad

Nisf Sadi Hone Ko Aaei
Mera Ghar Aur Meri Basti
Zulm Ki Aag Mein Jal Jal k Raakh Mein Dhalte Hain
Mere Log,Mere Bache
Khuwabon Aur Sarabon Ke Ik Jaal Mein Uljhe
Kattay Marte Jate Hain
Charon Janib Lahoo Ki Daldal Hai
Gali Gali Tazeer Ke Pehre,Koocha Koocha Maqtal Hai
Aur Yeh Dunya
Aalamgeer Akhuwat Ki Taqdees Ki Pehredar Yeh Dunya
Hum Ko Jalte,Kattay,Marte
Dekhti Hai Aur Chup Rehti Hai
Zor Aawar Ke Zulm Ka Saya Pal Pal Lamba Hota Hai
Wadi Ki Har Sham Ka Chehra Khoon Mein Lathra Hota Hai
Lekin Yeh Jo Khoon-E-Shaheedan Ki Shamen Hain
Jab Tak In Ki Loien Salamat
Jab Tak In Ki Aag Farozan
Dard Ki Aakhri Hud Peh Bhi Yeh Dil Ko Sahara Hota Hai
Har Ik Kali Raat Ke Peeche Ek Sawera Hota Hai

· 1 Like · Jan 11, 2015 at 10:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Main Yeh Kis Key Naam Likhoon Jo Alam Guzar Rahay Hain


Main yeh kis key naam likhoon Jo alam guzar rahay hain
Meray shehar jal rahay hain, Meray log mar rahay hain

Koi ghuncha ho kay gul ho, Koi shaakh ho shajar ho
Woh hawa-e-gulistan hain kay sabhi bikhar rahay hain

Kabhi rehmatain thein nazil is hi khitta-e-zameen par
Wohi khitta-e-zameen hai kay aazaab uttar rahay hain

Wohi taroun ke jhurmat jo hawa main jhooltay thay
Woh fiza ko tak rahay hain tu aah bhar rahay hain

Koi aur to nahin hai pas-e-khanjar aazmai
Ham hi qatal ho rahay hain Ham hi qatal ker rahay hain

· 2 Like · Nov 06, 2015 at 21:11
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Mein Pakistan Hoon

duniya mein aankh kholi to baap ka saya sar say gaya
maan ki shafqat say mahroom tha phir be mein ji gaya

aik chahnay walay nay mjhy jab sahara dena chaha
zalim ki goli ka nishana bana woh aur hum say bicher gaya

kisi nay mairay sar peh haath rakha aur bagal mein daba liya
mein sisakte reha ، kuch keh nah saka ، woh mera aaqa ban gaya

woh chhota saanyi to tha he ، magar mairay bal botay peh
kisi ko apni raah say hataya aur khud choudhari ban gaya

meri wafadari ki gawah to ، aaj be duniya saari hai
usakaa hukam jab be mila ، mein pal bhar mein haazir ho gaya

mein nay apni aur usakee baqa mein dost be bana daalay
kaam nikal gaya jab ، mairay hathon sab ko zibah karata gaya

mera aaqa mujh peh dalaron ki barish be khoob karta hai
har dollar rangin hai ، dalaron say zyada to khoon beh gaya

javed kahta hai ! keh mairay wajood ko bohat khatraa hai aaj
mein pakistan hoon ، mera shikari samjhoo apni jaan say gaya

· 1 Like · Jan 14, 2015 at 04:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Main Pakistani Hun

Tauheed ka Naara hai, Umeed ka Parcham hai
Apni meri Dharti, Apna Mera Mausam hai
Iss Khhak peh main Qurbaan, Iss ki hi Deewani hun

Main Pakistani Hun..
Main Pakistani Hun..!!

In Paak Fizaon main goonjay gi meri Dhaarkan
Chamkay gi meri chokhat, mehkay ga mera aangan
Main Apnay Buzurgo k, Khwabon ki Nishani hun

Main Pakistani Hun..
Main Pakistani Hun..!!

Dushman keliye Shola, Apno keliye Shabnam
Baatil keliye bijli aur Haq keliye Sir' khum
Jazbon ka Samandar hun, Maujon ki Rawani hun

Main Pakistani Hun..
Main Pakistani Hun..!!

Meri Zaat k Angan main, jo Sabz Ujala hai
Iss Chaand Sitaray k, Parcham ka hawala hai
Main Iss k hawalay se, Khud ko Pehchani hun

Main Pakistani Hun..
Main Pakistani Hun...!![

· 1 Like · Feb 06, 2015 at 20:02
Category: political
 
Poetry / Political

Ay Chand Yahan Na Nikla Kr

Ay chand yahan na nikla kr,
Be naam se sapne dikhla kr,

Yahan ulti ganga behti hai,
es dais main andhe hakim hain,
Na darte hain na nadim hain,
Na logon k wo khadim hain,

Hai yahan pe karobar boht,
es dais main gurday biktay hain,

Kuch log hain alli shan boht,
Aur kuch ka maqsad rotti hai,

Wo kehtay hain sab achha hai,
Maghrib ka raaj he sacha hai,

Ay chand yahan na nikla kr,
Be naam se sapne dikhla kr...!

· 4 Like · Dec 29, 2017 at 08:12
Category: political
 
Poetry / Political

Nafrat Ka Zahar

Arbaab Artaqaa Ka Ye Kaisa Asool Hai

Sehra Me Hai Gulaab Chaman Me Babool Hai

Sehra Me Kho gayi Hai Baharoun Ki Sar Zameen

Gulbaar Mousamoun Ki Tamanna Fuzool Hai

Jis Ko Saleeb Waqt Par Latka Diya Gaya

Shayed K Sach Kaha Hai Yahi Iski Bhool Hai

Apni Anaa Ke Saamne Majboor Hogaya

Hota Jo Sar Ka Taaj Woh Qadmoun Ki Dhool Hai

Apni Hayath Ko Koi Unwaan Na Desaka Dil Ke Lahoo Se Likh Ke

Kahani Malool hai Lamhoun Ki Udti Gird Le

Ab Kis Jagah Panah Jab Gaoun Gaoun Murda Rutoun
Ka Nuzool Hai

khud Apne Jism Wo Ruhh Ka Le Kaise Jaizah Jab

Nafratoun Ka Zahar Lahoo Me Halool Hai

· 1 Like · Jun 19, 2015 at 00:06
Category: political
 
Poetry / Political

Tumhain Kaisay Kahain Aazaad Hain Hum

Tumhain kaisay kahain Aazaad hain hum
Us nagri mein Aabaad hain hum
Jahan soch pe Pehray hotay hain
Jahan jeetay hain na martay hain
Jahan sog na sehray hotay hain
Jahan taaqat andhi hoti hy
Jahan munsif behray hotay hain...!

· 4 Like · Jan 01, 2018 at 06:01
Category: political
 
Pineapple
Posted by Usaman Khan
Posted on : Jul 22, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS