Poetry / Sad

Madiha Shahid

Hum Labon Se Keh Na Paye Unse Haal E Dil Kabhi.

Hum labon se keh na paye unse haal-e-dil kabhi..

aur vo samjhe nahi ye khamoshi kya cheez hai !!

· 1 Like · Apr 26, 2018 at 06:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kashif Qureshi

Hasrat Hai Tujhe Saamne Baithe Kabhi Dekhun.

Hasrat hai tujhe saamne baiThe kabhi dekhuN
hasrat hai tujhe saamne baiThe kabhi dekhuN
main tujh se muKhaatib huN tera haal bhi pochhon
dil men hai mulaaqaat ki Khuwahish ki dabi aag
mehndii lage haathon ko chupaa kar kahaN rakhun
jis naam se tune mujhe bachpan se pukaaraa
ik umr guzarne pe bhi wo naam na bhuluN
tu ashk hi ban ke meri aaNkhon men samaa jaa
main aainaa dekhuN to tera aks bhi dekhuN
pochhuN kabhi Gunchon se sitaaron se hawaa se
tujh se hi magar aa ke tera naam na pochhu
Ayy meri tamannaa ke sitaare tu kahaN hai
tu aaye to ye jism shab-e-Gam ko na saunpun.

· 1 Like · Apr 26, 2018 at 00:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kamran Kaliya

Jo Beeti Hai Use Dhurane Main Kuch Waqat Lage Ga.

jo beeti hai use dhurane main kuch waqat lage ga.
es ghum ko ek yaad bnane main kuch waqat lage ga.
nind to ane ko thi per dil pachle qase le batha.
ub khud ko be waqat sulane main kuch waqat lage ga.
us ka sath ub tanhai ko kerta hai or zeyda.
per yeh baat samjhane main kuch waqat lage ga.
akhar humein bhi loot ker ek din gahar jana hai.
layken itni door se ane main kuch waqat tu lage ga.
itni jaldi kua hai ?sagar? tum ko wapais jane ki.
kaam yeh dunya k nabtane main kuch waqat tu lage ga.

· 0 Like · Apr 25, 2018 at 18:04
Category: sad
 
Poetry / Poetry Sms

Kamran Kaliya

Ishq Ka Apna Ghuroor.

Ishq ka apna Ghuroor , hussan ki apni anaa ..
Un sy aaya na gya , hum sy bulaya na gya ..

· 0 Like · Apr 25, 2018 at 12:04
Category: poetry-sms
 
Poetry / Sad

Sarmad Ali

Kab Tak Hum Apne Armaan Chipate Rahinge?

Kab tak hum apne armaan chipate rahinge?
Kab tak hum apni khwaishon par patthar barsaate rahinge?
Kya kuwe ke paani ki taqdeer mein khul kar behna likha nahi hota?
Kya jisne dariya ki kismet likhi thi??
Kya uske mann mein auron ke liye apna pan nahi hota?

· 0 Like · Apr 25, 2018 at 06:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Haseeb Raza

Zindagi Khawab E Pareshaan Se Zeyada To Nahin.

Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin,
Is main tabeer bhi mil jaye yeh waada to nahin,
Baat be’baat ulajhney ki yeh huu kesi hai,
Yeh bataa tera bicharrney ka iraada to nahin,
Kon khushbuu ke peechey geya door talak,
Log saada hain magar itney bhi saada to nahin,
Kis khushi se mujhe bheja hai bata surkh gulaab,
Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nahin,
Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,
Be’rukhi aap ki bhi hadh se zeyadaa to nahin...

· 0 Like · Apr 25, 2018 at 00:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Seddiq Al Khan

Yeh Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Hum.

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum,Lekin yeh kya ke tera sheher chorr jayen hum,Muddat huyi hai kuye bataan ki taraf gaye,Awaargi se dil ko kahan tak bachaayen hum,Be’noor ho chuki hai bohat sheher ki fizaa,Tareek raston par kahin kho na jayen hum,Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai,Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum.


· 0 Like · Apr 24, 2018 at 16:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dawood Ali

Woh Shakhss Zamaney Mein Sab Se Hi Juda Tha.

Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha,Woh shakhss zamaney mein sab se hi juda tha,Chahat ke khazaney they har lafz mein us ke,Daaman mera us ne duaaon se bhara tha,Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar,Baba mera duniya main mujhe aesa jo mila tha,Fikrain na zamaney ki kabhi paas bhi ayin,Har dard meri hasti se dartaa hi raha tha,Jab taka raha saanson ka basera mere baba,Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha,Us shaam ki shiddat mere dil se nahin jati,Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha.... !!

· 0 Like · Apr 24, 2018 at 10:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Uzma Shaheen

Tum jab ao gi to khoya hua pao gi mujhe.

Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe,Meri tanhai mein, khwaabon ke siwa kuch bi nahin,Mere kamrey ko sajaaney ki tamanna hai tumhe,Mere kamrey mein kitaabon ke siwa kuch bi nahin...!!


· 0 Like · Apr 24, 2018 at 04:04
Category: sad
 
Pehchan Zara Auqaat Apni
Posted by safia saeed
Posted on : Sep 16, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS