Poetry / General

Muzammil Shahzad

Sehra Mei Saaebaan Ki Surat

Sehra mei saaebaan ki Surat kahin to ho
Nafrat to her jagah hai muhabbat kahin to ho
Doori ki barf pighlay kisi tor hi sahi
Sardi ki dhoop jesi tamazat kahin to ho

· 1 Like · Feb 28, 2018 at 13:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Laga K Aag Shehar Ko

Laga k Aag Shehar ko ye Baadshah Ne Kaha,

Utha hai dil mein Tamashay ka Aaj Shoq Bohat,

Jhuka k Sir ko Sabhi Shah Parast Bol Uthay,

Hazoor Shoq Salamat Rahay, Shehar Aur Bohat.....!!!

· 1 Like · Feb 24, 2018 at 22:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Hum Kon Hain Kia Hain Baa Khuda Yaad Nahin

Hum Kon Hain Kia Hain Baa Khuda Yaad Nahin !!!
Apnay Aslaaf Ki Koi Bhi Adda Yaad Nahin !!!

Hain Yaad To Kafir K Taranay He Buss !!!
Hai Nahin Yaad To Masjid Ki Sada Yaad Nahin !!!

Bint-e-Hawwa Ko Nachate Hain Sar-e-Mehfil Ham !!!
Kitnay Sung Dil Hain K Rasm-e-Haya Yaad Nahin !!!

Aaj Apni Zillat Ka Sabab Ye He Hai Shayad !!!
Sub Kuch Hai Yaad, Magar, Sirf KHUDA Yaad Nahi ...!!!

· 1 Like · Feb 24, 2018 at 04:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Bus K Dushwar Hai Her Kaam Ka Aasaan Hona

Bas k dushwar ha har kam ka asan hona.
aadmi ko bhi mayassar nahi insan hona,


grya chahy ha kharabi mery kashanay ki,
dar o deewar se tapkay ha bayabaan hona,

wae dewangi e shouq k har dam mujh ko,
aap jana udhar or aap hi hairaan hona,

jalwa az bas k taqaza e nigah karta ha,
johar e ayena bhi chahiay mizghan hona,

isharat e qatl gah e ehl e tamanna mat pooch,
Eid nazzara ha shamsheer ka uryaan hona,

lay gaey khaak main ham dagh e tamanna e nishat,
tu ho or aap basad rang e gulistaan hona,

Ishrat e para e dil zakhm e tamanna khana,
lazzat e raish e jigargharq e namakdaan hona,

ki mery qatl k bad us ne jafa se tobah,
haey us zood e pashemaan ka pashaiman hona,

khaif us chara gra kapray ki qismat Ghalib,
jis ki qismat main ho aashiq ka girebaan hona,

· 1 Like · Feb 22, 2018 at 21:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kaash Hum Tum Ajnabi Hote

Kaash hum tum ajnabi hoty
Jis trha log hua krty hain
Be'taluq se
be ta'ruf se
Kaash hum tum ajnabi hoty

... Be'qarari
na be'kali hoti
Na mukam'mal na Zindagi hoti
Yon na hoti aziyatain Dil me
Zindagi b na hoti mushkil me



Aansoun se na dosti krty
Apne Dil se na dushmani krty
Dosron ki trha hum b khush rehte
Kaash hum tum ajnabi hoty

· 3 Like · Feb 20, 2018 at 01:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ham Tere Hijr Se

wa'ada-e-wasl ki umeed k bar aney tak

Ham tere hijr se hijrat nahi karne wale

· 2 Like · Feb 16, 2018 at 14:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Main Bhula Chuka Sabhi Waastey

Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Raah Aaye To Kya Karoon

Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jura Tha Dil Say Lari Lari
Koi Shaks Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Karoon

Kabhi Saath Tha Jo Ke Do baDo Tha Humesha Mairey Hi Ru baRu
Jo Barha Raha Tha Qadam Mairey Woh Hi Dagmaga jaye To Kya Karoon

Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Magar Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Karoon

Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

· 1 Like · Feb 16, 2018 at 08:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aik Mehtaab Saja Aankhon Mein

Aik mehtaab saja aankhon mein

phir hui raat busr aankhon mein

jab dareechay mein dikha chand koi

phir koi aks saja aankhon mein

phir terei yaad ki khusbhoo aai

phir koi phool khula aankhon mein

jab sar shaakh khula phool koi

aa agya roop tera aankhon mein

phir dareechay mein jalay deep jamal

phir koi aan basa aankhon mein

· 1 Like · Feb 15, 2018 at 07:02
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Aisa Kabhi Ho Sakta Nahi

Toota howa shesha phir jora nahi jata
Aankh say nikla howa ansoo phir wapis nahi ata.

Tum tu keh ker bhool chukay ho sab kuch
Lekin mujhsay wo pal bhoolaya nahi jata.

Teri mohobbat ne zanjeerey dali hain esi
Ke churana bhi chahoon to choraya nahi jata.

Mehfil main bhi mujh ko tanhai nazar ate hai
Teray bin ye dil kahi or lagaya nahi jata.

Mere dil ki deewaroo par sirf tera he nam likha hai
Mitana bhi chahoon to mitaya nahi jata.

Saans ruknay say pehlay aik jhalak dikha jana
bewafa zindagi ka aitbar kiya nahi jata.

· 3 Like · Feb 12, 2018 at 23:02
Category: general
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS