Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Is Arz E Pak Pe Vehshi Na Chal Saken Ge Kabhi

Jawan raat key seeney pey dhoodhiya aanchal
Machal raha hai kisi khuwab-e-Marmareen ki tarha
Haseen phool, haseen Pattiyan, haseen shakhein
Lachak rahi hain kisi jism e nazneen ki tarha
Fiza mein khil sey gaye hain ufaq key narm khutoot
zameen haseen hai khuwabon ki sarzameen ki tarha
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

Kabhi gumaan ki surat kabhi yaqeen ki tarha
woh paidr jin key taley hum panah letey they
kharey hain aaj bhi sakit kisi ameen ki tarha

Unheen key saaye mein phir aaj dou dharaktey dil
khamosh honton sey kuch kehney sun-ney aye hain
najaney kitni kishakash sey, kitni kawish sey
yeh sotey jagtey lamhey chura key laye hain

yahi fiza thi, yahi rut, yahi zamana tha
yaheen sey hum ney mohabbat ki ibtida ki thi
dharaktey dil sey, larazti hui nigahon sey
huzoor-e-ghaib mein nanni sey ilteja ki thi

keh aarzu key kanwal khil key phool ho jayein
dil-o-nazar ki du'ain qabool ho jayein
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

tum a rahi ho zamaney ki aaankh sey bach kar
nazar churaye huey aur badan churaye huey
khud apney qadmon ki aahat sey jheenpti, darti
khud apney saaye ki junbish sey khof khaye huey
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

rawaan hai choti si kashti hawaon key rukh par
nadi key saaye pey mallaah geet gata hai
tumhara jism har ik lehr key jhakoley sey
meri khuli hui baahon mein jhool jata hai
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

mein phool taank raha hoon tumharey jorey mein
tumhari aankh musarrat sey jhukti jaati hai
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

merey galey mein tumhari gadaaz baahein hain
tumharey honton pey mairey labon key saaye hain
mujhay yaqeen key hum ab kabhi na bichraingey
tumhein gumaan key hum mil key bhi paraye hain
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

merey palang pey bhikri hui kitabon ko
adayey ijz-o-karam sey utha rahi ho tum
suhaag raat jo dholak pey gaye jatey hain
dabey suron mein wohi geet ga rahi ho tum
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain

Woh lamhey kitney dilkash they, Woh garhyaan kitni pyari theen
woh sehrey kitney nazuk they, Woh laryan kitni pyari theen
Basti ki har ik shadaab gali, khuwabon ka jazeera thi goya
har moj e nafas haz moj e saba, naghmon ka zakheera thi goya

Nagaah lehektey khaiton sey taapon ki sadayein aaney lageen
Barood ki bojhal boo leykar picham sey hawayein aaney lageen
Tameer key roshan chehrey par takhreeb ka badal phail gaya
har gaon mein vehshat naach uthi, har sheher mein jangal phail gaya

Maghrib key muhazzib mulkon sey kuch khaki wardi posh aye
ithlatey huey maghroor aye, lehratey huey madhosh aye

Khamosh zameen key seeney mein khaimon ki tanabein garhney lageen
makhan si mulayim raahon par booton ki kharashein parney lageen
faujon key bhiyanak baind taley charkhon ki sadayein doob gayeen
jeepon ki sulagti dhool talley phoolon ki qabayein doob gayeen

Insaan ki qeemat girney lagi, ijnaas key bhao charney lagey
chopal ki ronaq ghatney lagi, bharti key dafatir badrhney lagey
basti key sajeeley shokh jawaan ban ban key sipahi janey lagey
jis raah sey kam he lot sakey us raah pey raahi janey lagey
Un janey waley daston mein ghairat bhi gayee barnai bhi
maaon key jawaan betay bhi gaye, behnon key chaheetey bhai bhi

Basti pey udhasi chaney lagi, mailon ki baharein khatm hueen
Aamon ki lachakti shakhon sey jhoolon ki qatarein khatm hueen
dhool udrney lagi bazaron mein, bhook ugney lagi khalyanon mein
har cheez dukanon sey uth kar ruposh huee teh-khanon mein
badhaal gharon ki badhaali barhtey barhtey janjaal bani
mehengai barh kar kaal bani, sari basti kangaal bani

charwahian rasta bhool gayeen, pinharian panghat chor gayeen
kitni he kanwari ablayein maan baap ki chokhat chor gayeen

Aflaas zada dehqanon key hal bail bikey, khalyaan bikey
jeeney ki tamana key haaton, jeeney k

· 1 Like · Jan 10, 2015 at 03:01
Category: political
 
Know / When

Bollywood Movies Release Dates

Bollywood Movie Badmashiyan Release Date

Badmashiyan is releasing on 27 Feb 2015
#bollywood #movies #ReleaseDate

· 0 Like · Jan 10, 2015 at 03:01
Category: when
 
Wallpapers / Miscellaneous

Javed Ashraf

Western Cowboy At Sunset

Others wallpapers

· 5 Like · Jan 10, 2015 at 03:01
Category: Miscellaneous Tags: Hd wallpaper Wallpaper
 
Sms / Friendship

Asma

Buttrflies Dont Know

Buttrflies dont know

In what color their wings r,

but human eyes know

How nice it is.

Likewise u dont know

How sweet u r,

but I know how sweet u r.

· 2 Like · Jan 10, 2015 at 00:01
Category: friendship
 
Articles / Health

Ijunoon

Daanton Ki Sargery Se Heart Attack Ka Khatra

· 1 Like · Jan 09, 2015 at 21:01
Category: health
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Ae Watan Kay Azeem Hukmuranon

ae watan kay azeem hukmraanon
ae watan kay azeem hukmraanon

saaray qarzay tumahray liye hain
ai aim f bhi tumahray liye hai

ai aim f bhi tumahray liye hai
ae watan kay azeem hukmraanon

baityon maaon behnon ki nazneen
in ko dekhin to yoon

lay kar in ko woh bazaar say phir
chaawal dal aur aata he layein

ae musharaf aur shaukat kahan ho
saaray karnay tumahray kiye hain

saaray karnay tumahray kiye hain
ae watan kay azeem hukmraanon

tum peh jo kuch likha sahafion nay
iss mein shaamil hai awaaz meri

urr kay ponchho gay tum jis mulk mein
saath jaye gi har aah meri

qoum kay ae azeem hukmraanon
saaray tumahray liye hain

ai aim f be tumahray liye hai
ae watan kay azeem

· 1 Like · Jan 09, 2015 at 21:01
Category: political
 
Sms / Friendship

Syed Ali

Sitaron Ki Bheed Se Churaya Hai Aapko

Sitaron ki bheed se churaya hai aapko,

Dil se dost banaya hai apko.

Is dil ko kabhi tootne mat dena

Kyonki issi dil me humne basaya hai aapko.

· 1 Like · Jan 09, 2015 at 19:01
Category: friendship
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ajeeb Shakhs Tha

Ajeeb shakhs tha aisey wo pyar mangta tha.
Jahaan naa dard ho aisaa diyaar mangta tha.

jo maangta tha wo dena meri bisaat naa thii.
woh meri rooh ka mujh se qaraar mangta tha.

oosey gharaz thi guloon se na bulbuloo se zara.
wo fasl-e-ranj main Fasl-e-bahar mangta tha.

oosey talab thi kooyi toott kar osey chaahey.
woh haath joor kar ulffat hazaar mangta tha.

mere khuloos peh shayad tha shakk oosey Shahzad.
wafaa ki raah main woh Aitibbaar mangta tha.

· 2 Like · Jan 09, 2015 at 15:01
Category: love
 
Sms / Smile

Mohammad Asif

U R Receiving This Msg From Smiles & Co.

U r receiving this msg from Smiles & Co.

We r just cheking

If all good people r happy & smiling.

Hey thats such a cute smile u hav!

Keep Smiling...!

· 1 Like · Jan 09, 2015 at 14:01
Category: smile
 
Izat ki Zindagi
Posted by asma altaf
Posted on : May 12, 2021

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS