Archives

Poetry / Sad

Mahu Arish

Hum Se Bahal Rahe Hain Aap Aap Bahut Ajeeb Hain.

hum se bahal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dard mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
saya-e-vasl kab se hai aap ka muntazir magar
hijr mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
apne khilaf faisala khud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
waqt ne aarzoo ke lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
zahamat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahi
gir ke sambhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dayera waar hi to hain ishq ke raste tamam
rah badal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dasht ke sari raunaqen khair se ghar mein hain to q
ghar se nikal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khwab mein chal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain.

· 2 Like · Sep 09, 2018 at 10:09
Category: sad
 
Quotes / Urdu Quotes

Shaista Anam

Rishton Ki Khoobsurti

· 3 Like · Sep 09, 2018 at 10:09
Category: urdu-quotes
 
Quotes / Urdu Quotes

Amin Lakhan

Aitraf

Buray aamaal ka aitraf ache kamon ki ibteda.

· 0 Like · Sep 09, 2018 at 06:09
Category: urdu-quotes
 
Jokes / Miscellaneous

Usaman Khan

Inshallah

mareeez doctor se: doctor saaab khansi to band ho gayi hai lekin sans rukh rukh ker a raha hai
doctor: ghabraoo nahi,inshallah woh bhi band ho jaye ga

· 3 Like · Sep 09, 2018 at 04:09
Category: miscellaneous
 
Social Wall / Photos

Mahu Arish

Le Me Dukhi Poet

· 5 Like · Sep 09, 2018 at 04:09
Category: photos
 
Poetry / Sad

Sehar Saeed

Khwab Ke Tarah Se Hai Yaad Ke Tum Aaye The.

khwab ke tarah se hai yaad ke tum aaye the
jis tarah daman-e-mashriq mein sahar hoti hai
zarre zarre ko tajalli ke khabar hoti hai
aur jab nur ka sailab guzar jata hai
raat bhar ek andhere mein basar hoti hai
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the
jaise gulashan mein dabe paon bahar aati hai
patti patti ke liye leke nikhar aati hai
aur phir waqt wo aata hai ke har mauj-e-saba
apne daman mein liye gard-o-gubar aati hai
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the
jis tarah mahv-e-safar ho koi virane mein
aur raste mein kaheen koi khiyaban aa jaye
chand lamhon mein khiyaban ke guzar jane par
samane phir vohi duniya-e-biyaban aa jaye
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the.

· 2 Like · Sep 09, 2018 at 03:09
Category: sad
 
Quotes / Urdu Quotes

Amin Lakhan

Aitraf

Buray aamaal ka aitraf ache kamon ki ibteda.

· -1 Like · Sep 09, 2018 at 03:09
Category: urdu-quotes
 
Quotes / Urdu Quotes

Amin Lakhan

Aitraf

Buray aamaal ka aitraf ache kamon ki ibteda.

· 0 Like · Sep 09, 2018 at 00:09
Category: urdu-quotes
 
Jokes / Miscellaneous

Imran Khan

Greedy

teen dost mil kar kher pakate hain teeno ki laraye ho jati hai k main zayada khaon ga is baat par akhir faisla hota hai k subha wo zayada kher khaye ga jo sab say acha khoab dekhe ga
teeno so jate hain aik uth kar sari kher kha jata hai subha teeno uthtey hain pehle wala kehta hai yaar main raat ko chand par gaya tha khoab main 2sra kehta hai k ye to kuch nahi main raat ko sitaroon par tha 3sre ki bari ati hai to wo kehta hai ke yaar ""raat ko aye they 5 daku unhon ne mujhe kaha key kher kha loo warna dande mar mar ke marr dain gey tumko""baqi dono ne kaha tum ne hamain kyon nahi uthaya us ne kaha ke tum loog itni door gaye they main kaisay uthata
main ne apko hansane ki koshish ki hai plz mera dil mat toriye ga

· 5 Like · Sep 08, 2018 at 20:09
Category: miscellaneous
 
Hazrat Anas (R.A) se riwayat hai.
Posted by neelum chaudhry
Posted on : May 03, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS