Poetry / Sad

Javed Ashraf

Di Tishnigi Khuda Ney To Chashmey Bhi Dey Diey.

Di tishnigi Khuda ney to chashmey bhi dey diey
seeney mey dasht ,aankh mein darya kia mjhey
mein yun sambhal gai k teri beywafai ney
beyaitebariyon se shanasa kia mjhey!

· 1 Like · Sep 22, 2018 at 09:09
Category: sad
 
Poetry / Friendship

Mahrukh Nida

Diyaar E Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya.

Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya
Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya
Wo Dosti Tou Khair Ab Naseeb-e-Dushmanaa.n Howi
Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhee Chala Gaya
Judayion Ke Zakham Dard-e-Zindagi Ne Bhar Dye
Tujhe Bhee Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar Aa Gaya
Pukaarti Hain Fursatain Kahan Gayin Wo Sohbatain
Zamee.n Nigal Gayi Unhain Ke Aasmaan Khaa Gaya.

· 3 Like · Sep 22, 2018 at 03:09
Category: friendship
 
Poetry / Sad

Owais Kareem

Anaa

· 1 Like · Sep 21, 2018 at 19:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Faisal Razzaq

Badnaam

· 0 Like · Sep 21, 2018 at 11:09
Category: sad
 
Poetry / Love

Amina Noor

Buhat Sa Maan Hai Tum Par

· 0 Like · Sep 21, 2018 at 05:09
Category: love
 
Poetry / Sad

Urooj Imran

Maseeha Ho??

MASEEHA ho??
Tabhi jazbaat ki dharkan ko fauran jaan lety
ho!
Kabhi alfaz ki nabzon ko apni narm sanson sy
choo kr bhool jaty ho!!
K in lafzon k seeny mein bhi akhir DIL
dharakty hain
Suno!
ye baat krty hain,
Ruko!
aawaz dety hain
Ye Jazbay saans lety hain
To jb tum door jaty ho
Jb inko bhool jaty ho
To dharkan rooth jati hy
To nabzein doob jati hain
Ye sansein toot jati hain
MASEEHA ho...
to phir inko shifa tum kyun nahi dety.

· 1 Like · Sep 20, 2018 at 22:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Safia Saeed

Phir Ajnabi Fizaon Se Jorra Gaya Mujhe

Phir ajnabi fizaon se jorra gaya mujhe,
Mein phool thi so shaakh se torra gaya mujhe,
Khushbu ki tarah jeena bhi asaan to na tha,
Phool se katra katra Nichorra gaya mujhe,
Mitti ke bartanon ki tarah sari zindagi,
Tora gaya mujhe, kabhi jorra gaya mujhe,
Hathon mein somp di mere kaghaz ki aik nao,
Darya ke tez dharey pe chora gaya mujhe…

· 0 Like · Sep 20, 2018 at 16:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Memoona Aqeel

Jahan Se Chali Thi Waheen Pe Kharri Hoon

Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon,
Mein teri mohabbat ki aesi gharri hoon,
Tere hath mein thi mohabbat ki gurriya,
Jahan pe rakha tha waheen pe parri hoon,
Tujhe bhool janey ka socha tha lekin,
Barri dair tak aaj khud se larri hoon,
Tere sang barish mein chhatri ke neechey,
Mujhe yoon laga jese mein bhi jharri hoon,
Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar,
Atoot ang hoon zindagi ki karri hoon,
Mera bachpna-pan hai mohabbat mein shamil,
Mohabbat mein qadd se zeyada barri hoon..

· 0 Like · Sep 20, 2018 at 10:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Usama Arshad

Mere Chehrey Pe Tera Naam

Kaamp uthti hoon main yeh soch kar tanhayi mein,
Mere chehrey pe tera naam na parrh le koi..

· 0 Like · Sep 20, 2018 at 04:09
Category: sad
 
Home Delivery
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 10, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS