Poetry / Sad

Abdul Karim Khan

Hijr Ki Raat

· 0 Like · Jul 25, 2018 at 16:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kashif Qureshi

Ye Aarzoo Hai Kay Jab Bhi Galay Lagaon Usay.

Ye aarzoo hai kay jab bhi galay lagaon usay
Hisaar-e-zaat se baahar nikaal laon usay
Woh aj raha tha kadi dhoop ki tamazat mein
Mila jo ab tou urhahonga apni chaaon usay
Ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-ahad-e-vafaa
Woh aazmaaye mujhe aur main aazmaaon usay
Woh shahar shahar-e-chiraaghan sahi magar ik din
Hawayein yaad dilayengi apna gaaon usay
Woh apnay khwaab mein shayad mujhay ko dekhta ho
Main tishna lub sahi sotay mein kya jagaon usay.

· 1 Like · Jul 25, 2018 at 09:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Faiz Ahmed Khan

Kabhi Ye Dawa K Wo Mera Hai Faqat Mera.

Kabhi Ye Dawa K Wo Mera Hai Faqat Mera....
Kabhi Ye Dar K Wo Mujh Sey Judaa To Nahi.?

Kabhi Ye Dua K Ussay Mil Ja''ien,
Saaray Jahaa''n Ki Khushiyaa''n....
Kabhi Ye Kha''uf K Wo Khush Meray Bina To Nahi.?

Kabhi Ye Tamanna K Bass Ja''on Uss Ki Nigaaho''n Mien....
Kabhi Ye Dar K Uss Ki Aankhoo''n Ko Kisi Nay Dekha To Nahi.?

Kabhi Ye Khawahish K Zamana Ho Muntazir Uss Ka....
Kabhi Ye Weham K Wo Kisi Sey Mila To Nahi.?

Kabhi Ye Aarzoo K Wo Jo Maangay Mil Jaaye Ussay....
Kabhi Ye Waswasa,
K Uss Nay Meray Siwaa Kuch Maanga To Nahi.?

· 1 Like · Jul 25, 2018 at 02:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Pinky Queen

Sach Baat Maan Lijiye Chehre Pe Dhool Hai.

Sach baat maan lijiye chehre pe dhool hai
Ilzaam aaino''on pe lagana fazool hai
Teri nawazishein hon tu kaanta bhi phool hai
Gham bhi mujhe qabool, Khushi bhi qabool hai
Uss paar ab tu koi tera muntazir nahi
Kacche ghare pe tair kar jana fazool hai
Jab bhi milaa hai, zakhm ka tohfa diya mujhe
Dushman zaroor hai woh magar Baa-usool hai.

· 0 Like · Jul 24, 2018 at 12:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Gulzar Ahmed

Jo Bhi Dukh Yaad Na Tha Yaad Aya.

Jo bhi dukh yaad na tha yaad aya
Ajj kya janiye kya yaad aya
Phir koi hath hai dil par jaise
Phir tera ahd-e-wafa yaad aya
Jiss tarah dhund main liptey huwe phool
Aik aik naqsh tera yaad aya
Aisi majboori kay aalam main koi
Yaad aya bhi tu kya yaad aya
Aye rafiqoon sar-e-manzil ja kar
Kya koi abla''pa yaad aya
Yaad aya tha bicharna tera
Phir nahi yaad kay kya yaad aya
Jab koi zakhm bhara daagh bana
Jab koi bhool gaya yaad aya
Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz
Jis ko bhoole woh sada yaad aya.

· 2 Like · Jul 24, 2018 at 03:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sarmad Ali

Teri Yaad Main Jeetey Jeetey Aik Zamana Beet Gaya.

Teri yaad main jeetey jeetey aik zamana beet gaya
Humko apne app se bichrey zamana beet gaya
Pani kay pardey per tumne naam wafa ka likha tha
Pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya.

· 0 Like · Jul 23, 2018 at 14:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sana Dimple

Kahan Qatal Badlte Hain Faqat Chehray Badalte Hain.

Kahan Qatal Badlte Hain Faqat Chehray Badalte Hain
Ajab Apna Safar Hai Fasle Bi Sath Chalte Hain
Bahut Kam Zarf Tha Jo Mehflon Ko Kar Gya Weran
Na Pocho Hal-e Yaran Sham Ko Jab Saye Dhalte Hain
Wo Jis Ki Roshni Kache Gharon Tak Bi Pahunchti Hai
Na Wo Suraj Niklta Hai Na Apne Din Badlte Hain.

· 0 Like · Jul 23, 2018 at 07:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Amir Rasheed

Tum Bin !na Rung Na Roshni Haitum Bin.

TUM BIN !

Na Rung Na Roshni Hai
TUM BIN !

Waqt Apni Raftaar Se Chal
Raha Hai,

Bas Dharkan Thami si hai
TUM BIN !

Na Barish Hai Na Dhuwaan,
Phir bhi Dil may Tapish si
Hai TUM BIN !

Bahot Roka Hai Baadal Ko
Barasne Se,

Phir bhi Aankhon Me
Nami si Hai "TuM Bin.

· 0 Like · Jul 22, 2018 at 18:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jalaluddin Ahmed

Is Shehr E Khrabi Main Gham E Ishq K Mare.

Is Shehr-e Khrabi Main Gham-e Ishq K Mare
Zinda Hain Yehi Baat Bari Baat Hai Pyare
Hasrat Hai Koi Ghuncha Hmain Pyar Se Dekhe
Arman Hain Koi Phol Hmain Dil Se Pukare
Har Subah Meri Subah Pe Roti Rehi Shabnam
Har Raat Meri Raat Pe Hanste Rahe Tare
Kuch Aur Bi Hain Kam Hmain Ae Gham-e Jana
Kab Tak Koi Ulji Hui Zulfon Ko Sanware.

· 0 Like · Jul 21, 2018 at 10:07
Category: sad
 
Room for Girls....
Posted by neelum chaudhry
Posted on : Apr 03, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS