Poetry / Sad

Samreen Anjum

Kya Ghazab Hai K Uss Ki Khamoshi...

Kya Ghazab Hai K Uss Ki Khamoshi.....

Hum Sey Baatian Hazaar Karti Hai... !!!!


· 0 Like · Aug 30, 2018 at 21:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sofia Abid

Karun To Kiss K Liye Aakhir Malaal Uss Ka.

Karun To Kiss K Liye Aakhir Malaal Uss Ka....
Ussay Nahi To Mujhay Bhi Nahi Khayaal Uss Ka,,,,

Meri Wafa Nay Banaya Hai Bey_Wafa Uss Ko....
Kisi Aadaa Par Nahi Hai Kamaal Uss Ka,,,

Meray Naseeb Ki Ye Bhi To Khush_Naseebi Hai...
K Mujh Ko Dekh Kar Sab Puchtay Hain Haal Uss Ka,,,

Yehi Dua Mian Karun Har Barass K Pehlay Din....
Meray Baghair Na Guzray Koi Bhi Saal Uss Ka,,,

Meray Urooj Ko Uss K Naseeb Mien Likh Day....
Khudaay-e-Paak Mujhay Sounp Day Zawaal Uss Ka,,,,

· 0 Like · Aug 29, 2018 at 18:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jalaluddin Ahmed

Saari Raat Guzarti Hai In Hisaabo''n Mien.

Saari Raat Guzarti Hai In Hisaabo''n Mien....

Ussay Muhabbat Thi.?
Nahi Thi.?
Hai.? Nahi Hai. ?


· 0 Like · Aug 27, 2018 at 05:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Asma Altaf

Utar Chukey Ho Samander Mein Hosla Rakhna.

Utar chukey ho Samander mein hosla rakhna
hawa chaley na chaley badban khula rakhna
kabhi na jaltey charaghoun ka silsila tutey
jo aik bhujney lagey sath dusra rakhna
yahee kamal hey barish mein beegtey rehna
aur apny jisam ki matii ko bhii bacha ker rakhna
hadud-e-zat key ander na koi jhank sakey
taluqat mein ik aisa fasla rakhna
kaheen pey donu kinarey zarur milty hein
bas apney app ko derya mein tum baha rakhna.

· 1 Like · Aug 26, 2018 at 23:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Iqra Raheem

Zikr E Shab E Firaq Se Wahshat Usey Bhi Thi.

Zikr-e-shab-e-firaq se wahshat usey bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka
Rasta badal ke chalane ki adat usey bhi thi
Us raat dair tak wo raha mahw-e-guftaguu
Masroof main bhi kam tha faraGhat usey bhi thi
Mujh se bichhar ke shehar mein ghul mil gaya wo shaKhs
Halanke shahar bhar se raqabat usey bhi thi
Woh mujh se barh ke zabt ka adi tha jee gaya
Warna har ek sans qayamat usey bhi thi
Sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zaroorat usey bhi thi
Tanha huwa safar mein tu mujh pe khula yeh bhaid
Saye se pyar, dhoop se nafrat usey bhi thi
Mohsin mein ousse keh na saka yun bhi haal-e-dil
Dar pesh aik tazaa musibat usey bhi thi.

· 0 Like · Aug 26, 2018 at 16:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hira Chaudhry

Kyun Shab E Gham Na Jalaoon Teri Yaadon Ke Chirag,

Kyun shab-e-gham na jalaoon teri yaadon ke chirag,
Unn se roshan meri manzil ke nishaan hote hain

· 0 Like · Aug 26, 2018 at 04:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abdul Basit

Main Ne Kab Kaha Aisa , Hamesha Sath Rehna Tum...

Main ne kab kaha aisa , hamesha sath rehna tum...
"
Jab tak sans chalti hai, tab tak pas rehna tum...!!!


· 2 Like · Aug 25, 2018 at 20:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abdul Basit

Chup Chup Se Na Raha Karo

!!...Suno...!!

Chup Chup Se Na Raha Karo,
Yoon Weham Sa Ho Jata Hai,

Kahin Khafa To Nahi Ho,
Kahin Uddas To Nahi Ho.

Tum Boltay Achay Lagtay Ho,
Tum Dant''tay Achay Lagty Ho,

Kabhi Shararat Se, Kabhi Ghussay Se,
Tum Hanstay Achay Lagtay Ho.

Suno!
Chup Chaap Se Na Raha Karo,
Tum Boltay Achay Lagtay Ho..!!

· 0 Like · Aug 23, 2018 at 23:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ebrahim Ali Ali

Mera Dard Naghma E Be Sada.

Mera dard naghma-e be sada
Meri zaat zara-e be-nishaan
Merey dard ko jo zubaan miley
Mujhe apna naam-o nishaa''n miley
Meri zaat ko jo nishaa''n miley
Mujhe raaz-e nazm-e jahaan miley
Jo mujhe ye raaz-e nihaan miley
Meri khamoshi ko beyaan miley
Mujhe kainaat ki sarwari
Mujhe dolat e do jahaan miley.

· 0 Like · Aug 23, 2018 at 17:08
Category: sad
 
Ashiqui 420
Posted by minu malik
Posted on : Aug 17, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS